Tuesday, September 29, 2009

Shers.In

Shers.In


Ghum Ko Chhupane Ke Liye Muskurate Hai

Posted: 28 Sep 2009 06:20 AM PDT

Ghum Ko Chhupane Ke Liye Muskurate Hai
Aansoo Ko Chupane Ke Liye Palke Jhukate Hai
Hans Khel Kar Hum Dil Ko Behlate Hai
Aur Khushi Samajhkar Dard Ko Yu Hi Pi Jate Hai


Dil Mein Hai Ghum Aur Hume Hai Ghum Se Pyar

Posted: 28 Sep 2009 06:19 AM PDT

Dil Mein Hai Ghum Aur Hume Hai Ghum Se Pyar
Aankhon Mein Hai Nami Aur Wahi Hai Apna Shringar
Dard Ka Hai Kuch Aisa Alam Ki Jeena Hai Dushvar
Aur Saanse Kab Tak Chalegi Woh Bhi Nahi Raha Aitbar


Bar Bar Unhone Dil Hai Mera Toda

Posted: 28 Sep 2009 06:19 AM PDT

Bar Bar Unhone Dil Hai Mera Toda
Har Bar Mila Hai Na Jayada Na Thoda
Kismat Ne Humse Hai Is Kadar Mu Moda
Jaise Kisiki Jaan Ne Hai Ruh Ka Saath Chhoda


Dil Pe Chalati Ho Kainchi Aur Churiyaan

Posted: 28 Sep 2009 06:18 AM PDT

Dil Pe Chalati Ho Kainchi Aur Churiyaan
Tailor Se Banwati Ho Kurte Aur Kurtiyaan

Kapde Toh Phir Bhi See Diye Jaate Hain
Dil Ke Ghaav Khule Hi Reh Jaate Hain

Aake Lagado Apne Pyaar Ki Malham
Hum Bhi Zinda Ho Lenge Phir Sanam


Zindagi Nahi Doston Se Pyari

Posted: 28 Sep 2009 06:14 AM PDT

Zindagi Nahi Doston Se Pyari
Doston Pe Haazir Hai Jaan Hamari
Aankhon Mein Aansoon Hai To Kya Hua
Jaan Se Bhi Pyari Hai Muskan Tumhari


Ye Dosti Chirag Hai Isse Jalaye Rakhna

Posted: 28 Sep 2009 06:13 AM PDT

Ye Dosti Chirag Hai Isse Jalaye Rakhna
Ye Dosti Gul Hai Isse Khilaye Rakhna
Hum Rahe Na Rahen Is Jahan Mein
Bas Hamari Yaad Dil Mein Basaye Rakhna


Milna Bichadna Sab Kismat Ka Khel Hai

Posted: 28 Sep 2009 06:12 AM PDT

Milna Bichadna Sab Kismat Ka Khel Hai
Kahi Nafrat To Kahi Dilo Ka Male Hai
Bik Jata Hai Har Rista Is Duniya Mein
Sirf Dosti Hi Yhan “Not For Sale Hai”


Haqeeqat Ho Tum Kaise Tumhe Sapna Kahun

Posted: 28 Sep 2009 06:12 AM PDT

Haqeeqat Ho Tum Kaise Tumhe Sapna Kahun,
Tere Har Dars Ko Main Apna Kahoon.
Sab Kuch Qurbaan Hai Mere Yaar Tujh Par,
Kaun Hai Tere Siwa Jise Main Apna Kahun


Chale Gaye Door Kuch Pal Ke Liye

Posted: 28 Sep 2009 06:11 AM PDT

Chale Gaye Door Kuch Pal Ke Liye.
Door Rehkar Bhi Kareeb Ho Harpal Ke Liye.
Kaise Yaad Na Aaye Ek Pal Ke Liye,
Jab Dil Mein Ho Aap Har Pal Ke Liye


Dosti Wo Anmol Ratan Hai

Posted: 28 Sep 2009 06:09 AM PDT

Dosti Wo Anmol Ratan Hai
Jo Bade Yatno Se Khoji Jati Hai
Prem Mukt Komal Dhage Mein Piro Kar Moti
Haar Gale Ka Ban Jati Hai


Koshish Kijiye Hame Yaad Karne Ki

Posted: 28 Sep 2009 06:08 AM PDT

Koshish Kijiye Hame Yaad Karne Ki,
Lamhe To Apne Aap Hi Mil Jayenge,
Tamanna Kijiye Hame Milne Ki
Bahane To Apne Aap Hi Mil Jayenge


When I Was Little And I Cried

Posted: 28 Sep 2009 06:07 AM PDT

When I Was Little And I Cried
You Lovingly Held Me, And Let The Last Tear Fall,

When I Would Scrape My Knee
You’d Bandage It Up And Say “Be Careful”.

When My Birthday Was Horrible, You Smiled
And Promised The Next Would Be Perfect.

When I Would Lose My Temper,
You Had A Way To Calm Me Down.

When My Friends Left Me Behind,
You Gave Me Ice Cream And Said

“They’ll Come Around”
When I Had A Nightmare

You’d Tuck Me In Your Bed And

Reassured Me You’d Never Let Harm Find Me.
When My 7th Grade Crush Liked Another,

You Made Me See It Was His Loss.
When It Was My Sweet 16

You Threw Me A Party Fit For A Princess.
And Made It A Day I Would Always Remember.

When The Love Of My Life Left Me Alone,
So Sweetly You Said, “This Too Shall Pass.”

When I Broke Your Heart With Disappointment
You Came To Me And Said, “I Still Love You”.

I Know That You Think That I Forgot All This,
And Take All You Sacrificed For Granted,

But That’s Just Not True.
At Times I’m Stubborn, As Well As You,

But Never Doubt For Half A Second That
I Love You.

Although I Am Growing Up And Someday Soon,
I’ll Have To Bandage My Own Knee,

You’ll Always Be The Bet Mother.
And I’ll Always Be Your Little Girl.


From The Distance Of Our Separation

Posted: 28 Sep 2009 06:05 AM PDT

From The Distance Of Our Separation,
I See The Whole Of Which I Was A Part;

I See The Way My Temper Tore Your Heart,
And Then The Love Beneath The Laceration.

I See The Landscape Shaping Our Relation:
Your Fear That I Might Choose With Little Art,

My Anger At The Dreams You Would Impart,
The Ancient Paths That Lead To Confrontation.

But Knowledge Needn’t Linger In Regret,
Nor Wait Upon Some Wind To Clear It’s Sky.

We Are None The Worse For What Is Gone.
The Moments That I Never Will Forget,

Are Those Whose Careless Grace Must Make Me Cry,
Safe Within A Heart Forever Won.


My Life Is All Urs

Posted: 28 Sep 2009 06:04 AM PDT

My Life Is All Urs
Nothing Compares To U.

I Always Thank God ,
To Have Dad Like U.

Life Is A Struggle, I Take It Light,
As I Have U By My Side.

What I Am Today Is All Because Of U,
Nothing Gonna Change My Love For U.

U Are The One Who Hold My Fingure,
And Make Me Stand

What Life Is All About
You Make Me Understand

You Always Give Me A Reason To Smile
I?m Blessed Because
I Am Having You And Mama By My Side.


Born In Separate Wombs Away

Posted: 28 Sep 2009 06:03 AM PDT

Born In Separate Wombs Away
Came To Know My Sis One Day

To Love And Care A Lot For You
Born Am I Your Brother Big Guy

Sometime Would Life Be Deserted
And At Times Be Really Weird

Life Is All Of Ups And Downs
But Full Of Hopes With You By My Side

Your Laughter A Gentle Breeze
And Your Smile A Sweet Comfort

Your Dimples Speak Your Love
And Make Me Feel A Proud Sibling

Ever You Feel At Blues All Day
Free Are You To Come Near Me

Shoulders All Stretched For You To Cry
And In There Would You Find Solace

Would’ve Never My Life Been So Full
Without An Angel So Close To Me

To Share A Smile And Wipe A Tear
Is What We Do As Brother And Sis


Raat Phir Khawaab Mein Aa Kar Mujhse

Posted: 28 Sep 2009 06:02 AM PDT

Raat Phir Khawaab Mein Aa Kar Mujhse
Meri Maa Ne Kuchh Sawaal Kiye
Usse Pehle Mujhe Dua Ye Di
Khuda Kare Ki Tu So Saal Jiye

Unki Aankhon Mein Mahobbat Bhi Thhi
Afsos Bhi Thha
Ek Aansu Bhi Thha Un Aankhon Mein
Jo Chillata Bhi Thha, Khamosh Bhi Thha

Mujhse Poochha Ki Bete Kaise Ho
Koi Diqqat To Nahin Hai Tumko
Phir Kaha Tumko Maloom Hai Kya
Main Badi Takleef Mein Hoon

Jabse Leti Hoon So Nahin Payi
Tumhari Wajah Se Main Khul Ke Ro Nahin Payi
Tere Gunaah Mujhko Saanp Banke Daste Hain
Farishte Aake Har Roz Fiqre Kaste Hain

Tumhi Bataao Beta Maine Kya Kami Ki Thhi
Mere Samjhane Mein Kami Thhi Kya
Ya Meri Tarbiyat Adhoori Thhi
Kyon Bure Kaam Roz Karte Ho

Kyon Nahin Us Khuda Se Darte Ho
Jisne Tumko Ye Jaan Bakshi Hai
Jisne Tumko Amaan Bakshi Hai
Laut Kar Jiske Paas Jaana Hai

Kya Use Munh Nahin Dikhana Hai
Kya Tumhein Is Liye Padaya Thha
Kya Tumhein Yehi Sab Sikhaya Thha
Ki Apne Ilm Par Guroor Karo

Apne Nafs Ko Masroor Karo
Jab Bhi Bolo To Bas Galat Bolo
Zulm Dekho To Lab Nahi Kholo
Chhodkar Deen Bhool Kar Mazhab

Apni Auqaat Noton Mein Tolo
Sach Batao Ki Kya Ye Qissa Hai
Kya Ye Andaaz Meri Tarbiyat Ka Hissa Hai
Mujhko Afsos Nahin Ki Tu Mujhe Bhool Gaya

Ranj Ye Hai Ki Mera Jeena Hi Fizool Gaya
Main To Marke Bhi Roz Marti Hoon
Main Tujhe Roz Yaad Karti Hoon
Jis Tarah Jeene Ka Agaaz Kiya Hai Tune

Uske Anjaam Se Main Darti Hoon
Khuda Kare Ki Tujhe Ab Bhi Samajh Aa Jaye
Koi To Aake Tujhe Seedhee Raah Dikhlaye
Ki Ikhtitaam Ho Teri Gunah Ki Shaamon Ka
Mujhe Bhi Ajr Mile Tere Nek Kaamon Ka


No comments:

Post a Comment