Friday, September 18, 2009

Shers.In

Shers.In


Pyar Karke Teri Bewafai Dekh Li

Posted: 17 Sep 2009 06:03 AM PDT

Pyar Karke Teri Bewafai Dekh Li
Jahan Ki Dard Bhari Khudai Dekh Li

Tujhe Pana Chaha Ye Mumkin Na Tha
Tujhse Bichhad Ke Ye Judai Dekh Li

Dard Bahut Gehra Hai Saha Nahin Jata
Deke Tujhe Payar Ki Duhai Dekh Li

Tu Khamosh Khadi Rahi Mera Ashiyan Ujad Gaya
Tu Phikar Na Kar Maine Sapne Hi Sahi

Par Is Duniya Se Bidai Dekh Li


Behte Huye Paani Ko Rokne Mein

Posted: 17 Sep 2009 06:02 AM PDT

Behte Huye Paani Ko Rokne Mein
Ham Khud Beh Gaye

Wo Hamare Ham-Rah Banenge
Is Ummid Mein Ham Tanha Reh Gaye

Par Karte Bhi Kya Ham Iske Siwa
Unki Chahat Ki Aarzoo Liye

Ham Har Dard Seh Gaye


Hum Kar Denge Aapke Pyar Ko Dafan

Posted: 17 Sep 2009 06:02 AM PDT

Hum Kar Denge Aapke Pyar Ko Dafan
Aur Na Hi Nasib Hoga Usko Kafan
Har Dukh Ko Kar Lenge Sehan
Par Nahi Rahega Aapke Pyar Ka Veham


Dil Ko Aadat Hai Zakhm Khane Ki

Posted: 17 Sep 2009 06:01 AM PDT

Dil Ko Aadat Hai Zakhm Khane Ki
Aakhon Ko Aadat Hai Ghum Chupane Ki
Par Ye Bhi Sach Hai Ki
Hum Ji Sakte Hai Aapke Bagair Bhi
Hume Jarurat Nahi Kisi Bahane Ki


Zakhm Phoolo Ke Sil Gaye Hote

Posted: 17 Sep 2009 06:01 AM PDT

Zakhm Phoolo Ke Sil Gaye Hote
Rang Se Jab Rang Mil Gaye Hote

Tum To Aaye Nahi Baharo Mein
Warna Kaante Bhi Khil Gaye Hote

Tum To Gairo Ki Baat Karti Ho
Humne To Apne Hi Aazmaye Hai

Tum Kaanto Se Bach Ke Chalti Ho
Humne To Phoolo Se Zakhm Khayein Hai


Kis Tarah Wo Juda Huye Hain

Posted: 17 Sep 2009 05:56 AM PDT

Kis Tarah Wo Juda Huye Hain
Hum Nahi Keh Sakte Hain
Bas Unki Hi Judai Mein
Hum To Jalte Rehte Hain


Ye Aansu Meri Judaai Ke Nahi

Posted: 17 Sep 2009 05:56 AM PDT

Ye Aansu Meri Judaai Ke Nahi
Judaai Mein Bhi Teri Yaad Ke Hai

Ye Yaad Meri Tanhai Ki Nahi
Tanhai Mein Bhi Tere Intezaar Ke Hai

Ye Intezaar Meri Aankhon Ka Nahi
Raste Pe Tiki Nazron Mein Aansu Ka Hai

Aur Ye Aansu Meri Judaai Ke Nahi
Judaai Mein Bhi Teri Yaad Ke Hai


Thak Gaya Hu Tujhe Yaad Karte Karte

Posted: 17 Sep 2009 05:55 AM PDT

Thak Gaya Hu Tujhe Yaad Karte Karte
Ab Main Tujhko Yaad Ana Chahta Hu
Tham Gaye Hai Meri Ankho Mein Aansu
Ab Main Teri Aankho Se Bhena Chahta Hu


Pakar Tumhe Sapne Sach Lagne Lage

Posted: 17 Sep 2009 05:55 AM PDT

Pakar Tumhe Sapne Sach Lagne Lage
Ajnabi Se The Jo Kabhi Aaj Apne Lagne Lage
Hota Nahin Yakin Khud Ki Kismat Par
Dhadkane Hote Bhi Woh Jaan Lagne Lage


Dil Mein Mujhe Basa Ke To Dekh

Posted: 17 Sep 2009 05:51 AM PDT

Dil Mein Mujhe Basa Ke To Dekh
Sine Se Apne Laga Ke To Dekh
Chalti Si Lagegi Zindagi
Hath Mera Kabhi Tham Ke To Dekh


Dosti Wo Anmol Ratan Hai

Posted: 17 Sep 2009 05:51 AM PDT

Dosti Wo Anmol Ratan Hai
Jo Bade Yatno Se Khoji Jati Hai
Prem Mukt Komal Dhage Mein Piro Kar Moti
Haar Gale Ka Ban Jati Hai


Teri Har Subah Muskurati Rahe

Posted: 17 Sep 2009 05:50 AM PDT

Teri Har Subah Muskurati Rahe,
Teri Har Shaam Gungunati Rahe,
Tu Jise Bhi Mile Is Tarah Se Mile,
Ki Har Milne Wale Ko Teri Yaad Aati Rahe


Pyaar Ki Wo Misaal Banayenge Hum

Posted: 17 Sep 2009 05:50 AM PDT

Pyaar Ki Wo Misaal Banayenge Hum,
Aankhen Band Karoge To Nazar Aayenge Hum.
Bhar Denge Itna Pyaar Dil Mein Ki,
Khud Se Pehle Yaad Aayenge Hum.


Dosti Hi Shayad Zindgi Hoti Hai

Posted: 17 Sep 2009 05:50 AM PDT

Dosti Hi Shayad Zindgi Hoti Hai,
Jo Har Dil Mein Basi Hoti Hai,
Waise To Jee Lete Hain Sabhi Akele,
Phir Bhi Zarurat Iski Har Kisiko Hoti Hai


Koshish Kijiye Hame Yaad Karne Ki

Posted: 17 Sep 2009 05:49 AM PDT

Koshish Kijiye Hame Yaad Karne Ki,
Lamhe To Apne Aap Hi Mil Jayenge,
Tamanna Kijiye Hame Milne Ki
Bahane To Apne Aap Hi Mil Jayenge


Kaha Usne Bharosa Dil Pe Itna Nahin Karte

Posted: 17 Sep 2009 05:49 AM PDT

Kaha Usne Bharosa Dil Pe Itna Nahin Karte
Kaha Maine Mohabbat Main Kabhi Socha Nahin Karta

Kaha Usne Bahut Khush-Rang Dunya Ke Nazare Hain
Kaha Maine Ke Jab Tum Ho To Hum Kuch Dekha Nahin Karte

Kaha Usne Main Tumse Door Hoon Lekin Tumhari Hon
Kaha Maine Ke Sapne Dil Ko Behlaya Nahin Karte

Kaha Usne Tumhari Chahat Tumhen Ruswaian Degi
Kaha Maine Ke Hum Shohrat Se Ghabraya Nahin Karte

Kaha Usne Samajh Jao Samajh Jao Ae Meri Jaan
Kaha Maine Ke Deewane Ko Samjhaya Nahin Karte


Tum Na Rahi To Na Jane Kaun -Kaun

Posted: 17 Sep 2009 05:49 AM PDT

Tum Na Rahi To Na Jane Kaun -Kaun
Himmat Bandhane Aaye
Unginat Thhe Tare Par Chand Ke
Kami Pori Na Kar Paye

Pramod Kumar Sharma


No comments:

Post a Comment