Wednesday, September 16, 2009

Shers.In

Shers.In


Main Sochta Hoon Agar Dil Main Kisi Ka Dukhaunga

Posted: 15 Sep 2009 05:45 AM PDT

Main Sochta Hoon Agar Dil Main Kisi Ka Dukhaunga
To Main Bhi Ek Din Issi Aag Mein Yuhi Jal Jaunga

Magar Meri Zindgi Mei Kar Diya Usne Andhera
Kyu Nahi Hota Usko Ehsaas Hai

Tutta Nahi Kanch Bhi Itni Jaldi
Jitni Jaldi Usne Tod Diya Vishwas Hai


Dil Ki Baate Dil Hi Jaane

Posted: 15 Sep 2009 05:45 AM PDT

Dil Ki Baate Dil Hi Jaane
Phir Bhi Dil Ye Rota Hai

Aankhon Ki Baate Aankhe Hi Jaane
Par Tadpna Dil Ko Hota Hai

Iss Dil Aur Aankhon Ka
Koi Kasoor Nahi Yaaron

Bas Ye Gunah Karati Hain
Aur Tadpana Dil Ko Hota Hai


Dekh Kar Mujko Yu Anjaan Ban Gayi Vah

Posted: 15 Sep 2009 05:44 AM PDT

Dekh Kar Mujko Yu Anjaan Ban Gayi Vah
Zakm Dil Ka Aur Gehra Kar Gayi Vah

Karishma Kiya Hai Dil Ne Ya Jaadu Hua Hai Koi
Samjha Jise Tha Apna Pal Mein Badal Gayi Vah

Baat Itni Si Thi Aaj Usne Jo Kahi
Dhuk Jamane Ka Mujko De Gayi Vah

Phoolon Sa Dil Mein Mujhko Jisne Lagaye Rakkha
Bedard Apne Haathon Khud Hi Masal Gayi Vah

Sookhi Zameen Pe Jaise Lehraye Koi Badal
Yaad Banke Phir Se Dil Pe Chhaa Gayi Vah


Hoontho Se Nikle Alfaz Toh Bahaar Ban Jate Hai

Posted: 15 Sep 2009 05:43 AM PDT

Hoontho Se Nikle Alfaz Toh Bahaar Ban Jate Hai
Palko Se Nikle Nazar Toh Woh Deedaar Ban Jate Hai
Saanso Mein Base Toh Woh Khumaar Ban Jate Hai
Aur Dil Mein Utar Jaye Toh Woh Pyaar Ban Jate Hai


Palkon Ki Chaon Mein

Posted: 15 Sep 2009 05:41 AM PDT

पलकों की छाव मे, नींद के गाव मे
रत भर हम खाब – खाब खेलते रहे

खाब कुछ अनकहे से थे ! खाब कुछ अनसुने से थे
फुल्लो की तरह महके से खाब रत भर महकते रहे

न जाने कहा से आये थे न जाने कहा चले गए
फिर सब धुदला सा हो गया हम जागते ,सोते रहे


Ek Sapna Tha Ghar Basane Ka

Posted: 15 Sep 2009 05:33 AM PDT

Ek Sapna Tha Ghar Basane Ka
Unke Saath Zindagi Bitane Ka
Toot Gaye Zindagi Ke Sab Sapne
Dil Karta Hai Ab Akele Hi Zindagi Bitane Ka


Khamoshi Se Suno Wo Aawaaz Hamari Hogi

Posted: 15 Sep 2009 05:33 AM PDT

Khamoshi Se Suno Wo Aawaaz Hamari Hogi
Mehfil Mein Jo Tanha Kar Jaye Wo Yaad Hamari Hogi
Jab Kabhi Bhi Sochogi Hamare Pyar Ko To
Har Taraf Khushiyan Hongi Lekin Kami Hamari Hogi


Humne Jise Chaha Usne Hume Bewafa Samjha

Posted: 15 Sep 2009 05:32 AM PDT

Humne Jise Chaha Usne Hume Bewafa Samjha
Na Hmare Dil Ko Samjha Na Alfazo Ko Samjha
Jab Samjhana Chaha To Keh Diya
Ja Sanam Tu To Bewafa Nikla


Dil Ye Kehta Hai

Posted: 15 Sep 2009 05:32 AM PDT

Dil Ye Kehta Hai
Kyu Ghum Karu Main Teri Shaadi Ka
Tu To Hai Aadat Se Bewafa
Phir Kyu Na Main Jashn Manau
Kisi Aur Ki Barbaadi Ka


Masoom Chehra Nigaahen Farebi

Posted: 15 Sep 2009 05:32 AM PDT

Masoom Chehra Nigaahen Farebi
Labon Pe Hasi Aur Dil Mein Daga Hai
Mile Dost Jisko Yahan Tere Jaisa
Use Dushmanon Ki Zaroorat Hi Kya Hai


Hum To Yun Apni Zindagi Se Mile

Posted: 15 Sep 2009 05:31 AM PDT

Hum To Yun Apni Zindagi Se Mile
Ajnabi Jaise Ajnabi Se Mile
Har Wafa Ek Jurm Ho Goya
Dost Kuch Itne Berukhi Se Mile


Kahi Baith Ke Woh Humara Intzar Karti Hogi

Posted: 15 Sep 2009 05:29 AM PDT

Kahi Baith Ke Woh Humara Intzar Karti Hogi
Humare Pyar Ko Woh Bhi Yaad Karti Hogi
Aa Jate Honge Aankhon Mein Uske Bhi Aansu
Bas Mere Intzar Mein Woh Bhi Harpal Marti Hogi


Dil Ke Kone Mein Unhe Chhupaye Rakha Hai

Posted: 15 Sep 2009 05:29 AM PDT

Dil Ke Kone Mein Unhe Chhupaye Rakha Hai
Apne Aansuo Ko Palko Mein Dabaye Rakha Hai
Kahi Aa Na Jaye Phir Se Unki Yaad Hume Yaaro
Isliye Har Ghadi Mehfil Sajaye Rakha Hai


Kabhi Tanhai Mein Jab Tum Humein Yaad Karogi

Posted: 15 Sep 2009 05:28 AM PDT

Kabhi Tanhai Mein Jab Tum Humein Yaad Karogi
Tab Tum Har Ghadi Mere Aane Ka Intzar Karogi
Aa Jayenge Us Waqt Bas Dil Se Pukarna Humein
Humne Kiya Hain Tumse Pyar Kya Yaad Karogi


Yaado Ka Ye Karawa Hamesha Rahega

Posted: 15 Sep 2009 05:28 AM PDT

Yaado Ka Ye Karawa Hamesha Rahega
Door Jaate Hue Bhi Pyaar Wahi Rahega
Maaf Karna Mil Nahi Sake Apse
Magar Yakin Rakhana In Ankhon Mein
Intezar Wahi Rahega


Ek Bewafa Ke Jakhmo Par

Posted: 15 Sep 2009 05:28 AM PDT

Ek Bewafa Ke Jakhmo Par
Marham Lagane Hum Gaye
Marham Ki Kasam Marham Na Mila
Marham Ki Jagah Mar Hum Gaye


Dil Ke Darwaaje Bahut Naajuk Hain

Posted: 15 Sep 2009 05:21 AM PDT

Dil Ke Darwaaje Bahut Naajuk Hain
Yoon Thokar Na Maariye
Dastak Ki Bhi Darkaar Nahin
Esharon Se Khul Jaayenge

Pramod Kumar Sharma


Unhe Guroor Hai Apne

Posted: 15 Sep 2009 05:20 AM PDT

Unhe Guroor Hai Apne
Sange-Marmari Jism Pe
Hame Ghum Hai Ki Marmari
Libaas Mein Sange-Dil Hai

Pramod Kumar Sharma


No comments:

Post a Comment