Thursday, September 17, 2009

Shers.In

Shers.In


Teri Yaad Mein Ab Toh Main

Posted: 16 Sep 2009 05:26 AM PDT

Teri Yaad Mein Ab Toh Main
Har Subah Aur Shaam Likh Raha Hoon

Tujhe Ehsas Bhi Nahi Ke Mere Khuda
Main Kya – Kya Paigam Likh Raha Hoon

Jindgi Ka Raag Wahi Apna Purana Hai
Ke Roz Aa Rahi Hain Mushkilein Nayi Nayi

Par Abhi Tak Tha Maun Bekhabar Sabse
Aur Aaj Bhi Tere Dar Pe Sare-Aam Likh Raha Hoon

Dil Ki Chahat Kya Hai Nahi Pata Mujhe
Nahi Pata Ki Meri Manzil Kahan Hai

Aur Tarika Kuchh Aisa Hai Mera Ae Khuda
Ke Tere Dar Pe Sab Benaam Likh Raha Hoon

Ab To Mujh Par Barsa De Khushio Ke Badal
Jo Main Ab Tak Tere Kiye Sabhi Ehsaan Likh Raha Hoon


Agar Jante Raah-E-Vafa Par Sath Na Doge

Posted: 16 Sep 2009 05:23 AM PDT

Agar Jante Raah-E-Vafa Par Sath Na Doge
To Hum Tere Vaado Pe Aitbaar Na Karte
Agar Waqif Hote Teri Bewfai Se
To Bhule Se Bhi Tumhe Pyaar Nahi Karte


Chhod Kar Har Kolahal Pichhe

Posted: 16 Sep 2009 05:23 AM PDT

Chhod Kar Har Kolahal Pichhe
Dur Kisi Nistabdh Path Per

Sochata Hoo Nikal Jau
Main Apne Kadam Dharkar

Ha! Us Maru Bhumi Ki Tarf
Chhot Date Nishan Apne

Bhulakar Sab Jeewan Ke
Man Bhaye Sab Sapne

Jaha Nistabdh Chahu Disha Ho
Diwas Bhi Nisha Ho

Us Path Per Aaj Mai
Nikal Jana Chahta Hoo

Shamit Jaha Man Ho Jaye
Man Ki Shanti Chahta Hoo


There Is No Love Like A Mother’s Love

Posted: 16 Sep 2009 05:22 AM PDT

There Is No Love Like A Mother’s Love,
No Stronger Bond On Earth

Like The Precious Bond That Comes From God,
To A Mother When She Gives Birth.

A Mother’s Love Is Forever Strong,
Never Changing For All Time

And When Her Children Need Her Most,
A Mother’s Love Will Shine.

God Bless These Special Mothers,
God Bless Them Every One

For All The Tears And Heartache,
And For The Special Work They’ve Done.

When Her Days On Earth Are Over,
A Mother’s Love Lives On

Through Many Generations,
With God’s Blessings On Each One.

Be Thankful For Our Mothers,
For They Love With A Higher Love

From The Power God Has Given,
And The Strength From Up Above.


The Host Was Good Indeed

Posted: 16 Sep 2009 05:22 AM PDT

The Host Was Good Indeed
And His Better Half Was Superb

The Welcome Was Pleasant
So Was The Comfort All There I Had

The Dishes Were Delicious
And Versatile It Was

The Desert Was Splendid
Like Sweet After Sour Grapes

Wish I You Both
A Wonderful Long Life

For The Salt I Devoured
Which Was Nice Indeed!

Will Remember You Both
With All My Might

With Love At Heart
For The Kindness You Showered


Ni Sohniye Ki Kahiye Asi Tere Barey

Posted: 16 Sep 2009 05:20 AM PDT

Ni Sohniye Ki Kahiye Asi Tere Barey
Sada Dil Tu Lut Leya

Sada Chain Tu Kho Leya
Apna Chann Warga Mukhda Vikha Ke

Sada Jo Vi Si Sab Le Leya
Sabr Kehne Ho Meinu Karo

Teinu Ki Pata Hiriye
Sada Sabr Vi Tu Le Gayi

Pehla Ta Tu Sada Dil Le Gayi
Magar Eh Pariye Tu Sadi Aaj Jind Vi Le Gayi


Aansoo Ke Thamne Ke Ab Nahi Hai Koi Aasar

Posted: 16 Sep 2009 05:20 AM PDT

Aansoo Ke Thamne Ke Ab Nahi Hai Koi Aasar
Dhadkan Ke Rukne Ka Ab Toh Hai Bas Intezar
Ab Toh Rab Se Milne Ko Hum Hai Taiyar
Jab Se Dil Ne Khoya Hai Aap Pe Aitbar


Tu Meri Zindagi, Se Chali Jaaegi

Posted: 16 Sep 2009 05:19 AM PDT

Tu Meri Zindagi, Se Chali Jaaegi
Tu Mujhe Phir Bhi, Bahut Yaad Aaegi
Ye Wada Hai Mera Tujhse, O Bewafa
Tu Saari Umar Mere Liye Pachtaaegi


Wafa Ka Mara Hu Ashiq

Posted: 16 Sep 2009 05:19 AM PDT

Wafa Ka Mara Hu Ashiq
Dar Dar Ki Thokar Khata Hu
Acha Hua Ki Ruksat Leli Duniya Se
Teri Bewafai Se Pehle


Wafa Na Kar Saka Tumse

Posted: 16 Sep 2009 05:19 AM PDT

Wafa Na Kar Saka Tumse Mujhe Maaf Karna
Khuda Ne Toh Saza Mein Likh Diya Hai
Ab Ghut Ghut Ke Marna


Zindagi Ke Pyar Mein Zindagi Bhula Di Ye

Posted: 16 Sep 2009 05:18 AM PDT

Zindagi Ke Pyar Mein Zindagi Bhula Di Ye
Zinhe Zindagi Samjhe Wo Zindagi Ujaad Gaye
Zi Lete Nafraton Ke Sahare Nafraten Bhi Na Mili
Bewafa Ashq Ye Ashq Bhi Bache Nahi


Hoti Nahi Thi Itni Khushi Unke Aane Ke Baad

Posted: 16 Sep 2009 05:17 AM PDT

Hoti Nahi Thi Itni Khushi Unke Aane Ke Baad
Dard Hota Hai Jitna Unke Chale Jaane Ke Baad
Mita Diya Unhone Saath Bitaye Saare Lamho Ko
Aansu Bhi To Ab Nikalte Nahi Sukh Jaane Ke Baad


Hadh Se Jyada Teri Yaad Aane Lagi

Posted: 16 Sep 2009 05:17 AM PDT

Hadh Se Jyada Teri Yaad Aane Lagi
Ab Zindgi Mujhpe Taras Khane Lagi
Dhire Dhire Ab Meri Saans Jaane Lagi
Jab Wo Mujhe Chhod Ke Jaane Lagi


Tumhe Dil Mein Basaaya Dhadkan Ki Tarah

Posted: 16 Sep 2009 05:17 AM PDT

Tumhe Dil Mein Basaaya Dhadkan Ki Tarah
Aankho Mein Basaaya Kajal Ki Tarah
Tumhe Khud Se Jyada Pyar Kiya Maine
Par Tum Mujhe Bhul Gayi Sapno Ki Tarah


Galti Unki Nahi Galti Hamari Thi

Posted: 16 Sep 2009 05:17 AM PDT

Galti Unki Nahi Galti Hamari Thi
Jo Chaand Ko Apna Samajh Baitha

Main Toh Ek Koyla Hoon
Jo Apne Aap Ko Ek Heera Samajh Baitha

Main Uske Kabil Nahi
Ye Mujhko Samajhna Chahiye Tha

Or Ek Main Pagal
Unhe Apni Takdeer Samajh Baitha


Ittefaq Ki Zindagi Jiya Nahin Karte

Posted: 16 Sep 2009 05:09 AM PDT

Ittefaq Ki Zindagi Jiya Nahin Karte
Youhi Kisi Ka Picha Kiya Nahia Kate
Yeh Tho Dil Ka Mamla Hai Jo Tum Pe Aahi Gaya
Warna Ye Keemti Cheez Kisi Ko Diya Nahin Karte

Yameen


No comments:

Post a Comment