Sunday, September 20, 2009

Shers.In

Shers.In


Tute Dil Ke Tukade Dikhaye Kaise

Posted: 19 Sep 2009 04:03 AM PDT

Tute Dil Ke Tukade Dikhaye Kaise
Ankhon Ke Aansu Chhupaye Kaise
Aapne Jo Diye Hain Humein
Is Dil Ke Dard Bataye Kaise


Jab Koi Khayal Dil Mein Ata Hai

Posted: 19 Sep 2009 04:03 AM PDT

Jab Koi Khayal Dil Mein Ata Hai
Dil Na Chah Kar Bhi Khamosh Reh Jata Hai
Koi Sab Kuch Keh Kar Pyaar Ko Jatata Hai
To Koi Kuch Na Keh Kar Pyaar Ko Nibhata Hai


Sapno Ki Tarah Aakar Chale Gaye

Posted: 19 Sep 2009 04:02 AM PDT

Sapno Ki Tarah Aakar Chale Gaye
Aapno Ko Bhulakar Chale Gaye
Kis Bhul Ki Saza Di Unhone Humein
Pehle Hasaya Phir Rulakar Chale Gaye


Kuch Sitaron Ki Chamak Nahi Jati

Posted: 19 Sep 2009 04:02 AM PDT

Kuch Sitaron Ki Chamak Nahi Jati,
Kuch Yaadon Ki Kasak Nahi Jati.
Kuch Logon Se Hota Hai Aisa Rishta,
Ke Door Rehkar Bhi Unki Mehek Nahi Jati


Chale Gaye Door Kuch Pal Ke Liye

Posted: 19 Sep 2009 04:02 AM PDT

Chale Gaye Door Kuch Pal Ke Liye.
Door Rehkar Bhi Kareeb Ho Harpal Ke Liye.
Kaise Yaad Na Aaye Ek Pal Ke Liye,
Jab Dil Mein Ho Aap Har Pal Ke Liye


Kyun Mushkilon Mein Saath Dete Hain Dost

Posted: 19 Sep 2009 04:02 AM PDT

Kyun Mushkilon Mein Saath Dete Hain Dost,
Kyun Ghum Ko Baant Lete Hain Dost,
Na Rishta Khoon Ka Na Riwaaz Se Bandha,
Phir Bhi Zindgi Bhar Saath Dete Hain Dost


Chahe Dost Kitne Bhi Door Rahein

Posted: 19 Sep 2009 04:01 AM PDT

Chahe Dost Kitne Bhi Door Rahein,
Dosti Ke Silsile Kabhi Na Kam Honge,
Jab Bhi Lage Tum Tanha Ho,
Palat Kar Dekhna,
Tumhare Saaye Ki Jagah Hum Honge


Gazal Ki Zarurat Mehfil Mein Hoti Hai

Posted: 19 Sep 2009 04:01 AM PDT

Gazal Ki Zarurat Mehfil Mein Hoti Hai,
Pyaar Ki Zarurat Har Dil Mein Hoti Hai.
Bina Dosti Ke Adhoori Hai Zindgi
Kyuki Dost Ki Zarurat Har Pal Hoti Hai


Khaamosh Raat Ke Pehlu Mein

Posted: 19 Sep 2009 04:01 AM PDT

Khaamosh Raat Ke Pehlu Mein Sitaare Na Hote,
In Rookhi Aankhon Mein Rangeen Nazaare Na Hote!
Hum Bhi Na Karte Yaad Aapko,
Agar Aap Itne Pyaare Na Hote


Zindgi Ki Kitaab Ke Jo Panne Hote Hain

Posted: 19 Sep 2009 04:00 AM PDT

Zindgi Ki Kitaab Ke Jo Panne Hote Hain,
Kuch Apne Kuch Begaane Hote Hain!
Khushion Se Sanwar Jati Hai Zindgi,
Bas Rishte Pyaar Se Nibhaane Hote Hain


Aye Dil Unki Yaad Mein Rona Fuzul Hai

Posted: 19 Sep 2009 03:58 AM PDT

Aye Dil Unki Yaad Mein Rona Fuzul Hai
Aansu Anmol Hain Inko Khona Fuzul Hai
Rote Unke Liye Hai Jo Tum Per Nisar Hai
Uske Liye Kya Rona Jiske Aashiq Hazaar Hai


Raah Mein Mila Thha Ek Aansuo Ka Saudagar

Posted: 19 Sep 2009 03:58 AM PDT

Raah Mein Mila Thha Ek Aansuo Ka Saudagar
Aur Bahut Khush Hua Thha Main Do Boond Ansu Pa Kar

Baad Mein Pata Chala Aansuo Mein Milawat Thi
Aankho Mein Ansu Thhe Par Dil Mein Muskurahat Thhi

Maine Us Se Kaha Apne Do Boond Aansu Le Lo
Meri Muskurahato Ka Kuch Aaj Sila De Do

Aawaz Aayi Yaha Biki Hui Cheez Wapas Nahi Hoti
Aansuo Ke Badle Kabhi Muskurahat Nahi Milti


Bepanah Mohabbat Ki Khwaish Thi Kabhi

Posted: 19 Sep 2009 03:58 AM PDT

Bepanah Mohabbat Ki Khwaish Thi Kabhi
Ab To Ishq Naame Se Roothi Kismat Rubaru Aati Hai
Apne Palkon Pe Sajaye Thhe Kuch Sapne Tere
Ke Un Sapno Se Ab Bagawat Ki Khushboo Aati Hai


Zakham Jab Mere Seene Ke Bahar Jayenge

Posted: 19 Sep 2009 03:57 AM PDT

Zakham Jab Mere Seene Ke Bahar Jayenge
Aansu Bhi Moti Bankar Bikhar Jayenge
Ye Mat Puchhna Ki Kis Ne Dard Diya
Warna Kuchh Apno Ke Chehre Bhi Utar Jayenge


Apno Ne Zeher Ka Jaam De Diya

Posted: 19 Sep 2009 03:57 AM PDT

Apno Ne Zeher Ka Jaam De Diya
Ghairo Ne Bewafa Ka Naam De Diya
Woh Jo Kehte The Ki Bhool Na Jana Humein
Aaj Unhone Hi Bhari Mehfil Mein
Anjaan Keh Diya


Fasadon Dard Aur Dahshat Mein Jeena

Posted: 19 Sep 2009 03:56 AM PDT

Fasadon Dard Aur Dahshat Mein Jeena
Mila Yaha Aadmi Ko Aadmi Se

Bura Kahte Hain Hum Kyun Kismaton Ko
Badi Hain Ranjish Apni Kami Se

Watan Aise Jalaya Bijliyo Ne
Seham Jaate Hain Ab Hum Roshniyon Se

Jaha Guzra Thha Ek Bachpan Suhana
Vo Darr Chhoota Hai Kitni Bedili Se

Na Jab Koi Tumhare Paas Hoga
Bahut Pachtoage Meri Kami Se

Kabhi To Yahi Haqiqat Maan Loge
Tumhe Chaha Hai Maine Saadgi Se

Hui Sab Gark Vo Khwaahish Apni
Sunaye Kya Tumhe Vo Apni Khushi Se


Majboori Ki Dehleez Par Ushool

Posted: 19 Sep 2009 03:43 AM PDT

Majboori Ki Dehleez Par Ushool
Barf Ke Dhair Ki Tarah Pighal Jate Hain

Padta Hai Jab Bebasi Se Shamna
Dil Ke Sab Armaa Ghut Ke Reh Jate Hain

Main To Apni Garibi Se Sarminda Nahi
Na Jane Kanha-2 Se Log Mujhe Iska

Ehasaas Dilane Chale Aate Hai
Sar Utha Kar Main Chalu Bhi To Kaise

Kuch To Begane Kuch Apne Sar Ko
Uthne Se Pehle Hi Jhuka Jate Hain

Begano Ke Nastar To Main Seh Lu
Magar Apno Ke Diye Jakhm Aankhon Se
Aanshu Bankar Chhlak Jate Hain


Jindgi Yoon Hi Na Gujar Jaye

Posted: 19 Sep 2009 03:43 AM PDT

Jindgi Yoon Hi Na Gujar Jaye,
Aao Do Pal Bat Kar Len.

Apne Bare Mein Na Sahi,
Jamaane Ke Bare Mein Hi Kar Len.

Hum Yoon Hi Shikve Karte Rahen
To Mausam Beet Jayenge.

Bairee Umariya Dhal Jayegi,
Pal Pal Ko Taras Jayenge.

Pramod Kumar Sharma


No comments:

Post a Comment