Friday, September 25, 2009

Shers.In

Shers.In


Yeh Chand Aahein

Posted: 24 Sep 2009 05:23 AM PDT

Yeh Chand Aahein
Yeh Chand Aansu
Siwa-E-Inke Bacha Hi Kya Hai
Zamana Kya Chheen Lega Humse
Kisine Humko Diya Hi Kya Hai


Aaja Andheri Raate

Posted: 24 Sep 2009 05:23 AM PDT

Aaja Andheri Raate
Tanha Bita Chuka Hoon

Shama Jaha Na Jalti
Ankhen Jala Chuka Hoon

Tum Aaoge Kisi Din
Isi Intizaar Mein

Najane Kitni Hasrate
Mita Chuka Hoon


Yeh Ada Hai, Koi Gila Nahi

Posted: 24 Sep 2009 05:22 AM PDT

Yeh Ada Hai, Koi Gila Nahi
Meri Humsafar, Meri Zindagi
Main Yeh Sochta Hoon Ke Khuda Kare
Tujhe Zindagi Mein Woh Sukh Mile
Jo Mujhe Zindagi Mein Kabhi Mila Nahi


Jab Se Tumse Mulakat Hai Huyi

Posted: 24 Sep 2009 05:22 AM PDT

Jab Se Tumse Mulakat Hai Huyi
Kisi Or Ki Phir Kabhi Chahat Nahi Huyi

Din Guzar Kar Saalo Mein Badal Gaye
Manzil Hai Juda Par Sath Dono Chal Pade

Tumne Jab Haath Mera Tham Liya
To Kisi Or Ke Sath Ki Chahat Nahi Huyi

Kushiyon Mein Bhi Tanhai Mein Bhi
Har Pal Yaad Rahe Tum

Dard Bhari Purvai Mein Bhi
Tumne Jo Humko Apna Smajh Liya

To Kisi Or Ke Ban Jane Ki Chahat Nahi Huyi
Dil Ne To Mangi Bas Yahi Dua

Kare Koi Pyaar Humse Hamesha
Tumne Pyaar Jo De Diya Hum Ko
To Kisi Or Ke Pyaar Ki Chahat Nahi Huyi


Baharein Aayi To Pooche Hai Aapka Pata

Posted: 24 Sep 2009 05:21 AM PDT

Baharein Aayi To Pooche Hai Aapka Pata
Sitarein Chhayi To Kya Du Main Unko Bata
Fizayein Chhayi Aur Unhone Bhi Diya Ye Jata
Ki Aapse Pyar To Hai Dil Ki Sabse Hasin Khata


Dil Mein Khila Hai Aapke Naam Ka Phool

Posted: 24 Sep 2009 05:21 AM PDT

Dil Mein Khila Hai Aapke Naam Ka Phool
Dil Se Kahi Hona Jaye Koi Bhool
Dil Ka Hai Aapke Liye Alag Sa Usool
Ki Aapki Khushi Ke Aage Hai Sab Kuch Kabool


Kabhi Apni Zindagi Se Itna Pyar Tha Ke

Posted: 24 Sep 2009 05:21 AM PDT

Kabhi Apni Zindagi Se Itna Pyar Tha Ke
Har Din Mein Ek Nayi Ummid Ki Gujarish Karte The
Abhi Zindagi Se Itne Khaffa Ho Gaye Hain Ke
Har Raat Subha Na Aane Ki Farmaish Karte Hain


Wo Roye To Bahut Par Mujhse Muh Mod Ke

Posted: 24 Sep 2009 05:20 AM PDT

Wo Roye To Bahut Par Mujhse Muh Mod Ke Roye
Koi Majburi Hogi Jo Dil Tod Ke Roye
Mere Samne Kar Diye Meri Tasvir Ke Tukde
Pata Laga Mere Piche Wo Unhe Jod Ke Roye


Zamana Kuch Bhi Kahe Uska Ahteraam Na Kar

Posted: 24 Sep 2009 05:20 AM PDT

Zamana Kuch Bhi Kahe Uska Ahteraam Na Kar
Jise Zameer Na Mane Usse Salaam Na Kar
Sharab Peekar Behakna Hai Agar To Na Pee
Halal Cheez Ko Is Tarha Se Haram Na Kar


Kuch Dhaaye Sitam

Posted: 24 Sep 2009 05:19 AM PDT

Kuch Dhaaye Sitam
Duniya Ne Sanam

Di Par Lage Kuch Aise Zakham
Ankhon Ke Ansoo Khushk Huye

Palko Pe Aakar
Teri Kasam Ab Ro Ro Ke

Dil Kehta Hai
Phir Lenge Janam


Dard Se Dosti Ho Gai Yaaro

Posted: 24 Sep 2009 05:19 AM PDT

Dard Se Dosti Ho Gai Yaaro
Zindagi Be-Dard Ho Gai Yaaro
Kya Huya Jo Jal Gaye Arman Hamare
Dur Tak Roshini Ho Gayi Yaaro


Sapno Mein Kiya Gaya Safar

Posted: 24 Sep 2009 05:19 AM PDT

Sapno Mein Kiya Gaya Safar Ham Duri Maan Chuke
Paida Ki Gayi Zaroorath Ham Majburi Maanchuke

Ye Duniya Teri Yaadon Se Bhari Hai To Kya Hua
Ankhe Bandh Kar Ke Teri Gali Ko Andheri Maan Chuke

Dhadkan Aur Saans Ka Chala Gaya Ehsaas
Ab To Apne Aap Ki Baat Bhi Adhuri Maan Chuke

Hakeekat Kya Hai Koyi Hame Na Samjhana
Ham Duniya Ki Baaton Ko Lori Maan Chuke


Sham Ke Pichhle Pehar Kuch Yaadein

Posted: 24 Sep 2009 05:18 AM PDT

Sham Ke Pichhle Pehar Kuch Yaadein Meri Mehman Bani
Meri Barasti Ankhe Jazbat Ki Tarjman Bani
Uss Ke Jane Ke Bad Dukh Huye Mujhse Aashna
Har Khushi Meri Zaat Se Anjan Bani


Hum Ne Kiya Aap Par Bharosa

Posted: 24 Sep 2009 05:18 AM PDT

Hum Ne Kiya Aap Par Bharosa
Naa Kuch Socha Aur Aage

Ho Gaye Dilse Sirf Aap Ke
Phir Kaisa Yeh Toofan Aaya

Baha Le Gaya Aapka Pyar Saara
Reh Gaye Hum Akele
Naa Saathi Raha Naa Sahara


Humne Maanga Tha Saath Unka

Posted: 24 Sep 2009 05:18 AM PDT

Humne Maanga Tha Saath Unka
Wo Judai Ka Ghum De Gaye
Hum Yaadon Ke Sahare Jee Lete
Wo Bhool Jane Ki Kasam De Gaye


Koi Khawab In Ankho Mein Sajaya Hi Nahi

Posted: 24 Sep 2009 05:18 AM PDT

Koi Khawab In Ankho Mein Sajaya Hi Nahi
Hamare Dil Ki Gehrai Ko Koi Samajh Paya Hi Nahi
Kisi Ko Hamari Kami Mehsoos Ho
Khuda Ne Hume Aisa Banaya Hi Nahi


No comments:

Post a Comment