Sunday, September 27, 2009

Shers.In

Shers.In


Hum Ko Bhool Na Jana Tum

Posted: 26 Sep 2009 05:35 AM PDT

Hum Ko Bhool Na Jana Tum
Yeh Kehte Hain Sab Hi
Lekin Aata Hai Waqt Kuchh Aisa
Ke Bhool Jaate Hain Khud Hi


I Used To See Always That Railway Track

Posted: 26 Sep 2009 05:35 AM PDT

I Used To See Always That Railway Track
In My Alone Time, Which Had Crossed To

My Village, But Never Felt Feeling
Any Time For The Passengers

Only Always I Used To See To Him
Who Were Going To Left His Family

And Also Some Of Them Were
Going To Join Their Family

But In A Peculiar Situation
I Left My Village Also, To Get Some Things

For My Family, After Ignore To Tear’s
Really I Realized About That Feeling
After Out From My Door


Dil Milaakar Kya Mila

Posted: 26 Sep 2009 05:34 AM PDT

Dil Milaakar Kya Mila
Judaai Ka Zehar Piya
Judaa Hokar Mujhse
Tadapte Ho Tum Bhi
Mere Piyaa


It Is The Talk Of Today’s World

Posted: 26 Sep 2009 05:34 AM PDT

It Is The Talk Of Today’s World.
It Has Mesmerised The Whole Universe.

It Is The Book That Keeps Others At Bay.
The Children Are Excited About It Night And Day.

Yes You’re Right I Am Talking About The,
Harry Potter, The Mesmeriser.

It Is Writtn By J.K. Rowling,
About Whosebooks The World Is Howling.

Potter Is A Boy Who Is Brave.
He Got A Surprise On His Eleventh Birthday.

He’s Got To Kill The Evil Of Evils,
And Be Greater Than The Greatest.

He Has Fought The Dementors,
And Also The False Rumours.

The Loss Of Dumble Dore Was Very Expensive.
But He’ll Be Always Impressive


Pyase Ko Ek Katra Pani Kafi Hai

Posted: 26 Sep 2009 05:33 AM PDT

Pyase Ko Ek Katra Pani Kafi Hai
Ishq Mein Chaar Pal Ki Zindagi Kafi Hai
Dubne Ko Samandar Mein Jaye Kaha
Aapki Aankhon Se Tapka Vo Pani Kafi Hai


Shiksha Deti Nai Hai Manjil

Posted: 26 Sep 2009 05:33 AM PDT

Shiksha Deti Nai Hai Manjil
Naya Path,Naya Ujiara,

Jaise Bahti Nadiya Ki Dhara,
Ja Milti Sagar Se Hai.

Wahi Ashiksha Bebas Dikhati
Mano Ruka Huwa Jal Hai

Shiksha Naya Chhor Hai To
Ashiksha Manjhadhar Hai

Jaha Dar Sirf Har Hai,
Ha ! Shiksha Ek Balwan Hai To,

Ashiksha Nirbal Bhikhari,
Jo Sada Shiksha Se Hai Sada Hari


Jakhm Ruh Par Dekar Mere

Posted: 26 Sep 2009 05:33 AM PDT

Jakhm Ruh Par Dekar Mere,
Wo Marham Jism Par Lagane Ko Kehte Hai,

Or Wo Jo Thhe Kaatil Mere,
Mujhe Insaaf Dilaane Ko Kehte Hai,

Krta Bhi Toh Kaise Yaki,
Main Uski Baaton Par Yaaron,

Wo Jo Toad Deti Hain Har Vaada,
Jo Wo Nibhaane Ko Kehti Hai,

Tab Kahi Jaake Saaf Hue Nazroan Mein Shaksiyat Uski,
Jab Vo Mujhe Mera Ishq Bhul Jaane Ko Kehti Hai


Aap Ne Ki Bewafai

Posted: 26 Sep 2009 05:32 AM PDT

Aap Ne Ki Bewafai
Magar Main Abhi Waffa Karta Hoon

Aap Ne Ki Bewafai
Magar Main Abhi Waffa Karta Hoon

Kahi Aankon Mein Na Aajaye Aansu
Isliye Muskurate Rehata Hoon


Kya Kaat Liye Chaar Din Pardes Mein

Posted: 26 Sep 2009 05:32 AM PDT

Kya Kaat Liye Chaar Din Pardes Mein
Ab Wo Hume Apna Purana Aashiq Bhi Samajhte Nahi

Dushman Saamne Se Guzarta Hai To Salam Karte Hai
Wo Aise Guzarte Hai Jaise Jaante Nahi

Magar Ghum Nahi Karta Main Kyunki Ye Dastoor Hai Duniya Ka
Yahan To Apne Bhi Apno Ko Pehchaantae Nahi


Hum Apni Ulfaton Mein Aise Kho Gaye

Posted: 26 Sep 2009 05:31 AM PDT

Hum Apni Ulfaton Mein Aise Kho Gaye
Manzil To Hai Nazar Mein Par Raaste Kho Gaye
Usne Diye Tamaache Tohfe Mein Ek Se Ek
Wada-E-Wafa Nibhane Hum Dar Pe Uske Jo Gaye


Jaise Bhi Hoga Hum Jee Lenge

Posted: 26 Sep 2009 05:31 AM PDT

Jaise Bhi Hoga Hum Jee Lenge
Tum Humein Chod Kar Chale Jaao

Koi Marta Nahin Kisi Ke Liye
Har Kasam Tod Kar Chale Jaao

Kuch Na Socho Hamare Baare Mein
Dil Ko Patthar Bana Liya Humne

Sochte Hai Yehi Phir Se Aaj
Tumse Dil Kyon Laga Liya Humne


Aaj Humne Yuhi Khushi Karli

Posted: 26 Sep 2009 05:31 AM PDT

Aaj Humne Yuhi Khushi Karli
Dil Jalake Roshini Karli

Doob Kar Teri Neeli Ankhon Mein
Khaak Humne To Zindagi Karli

Aate Jate Raha Karo Saheb
Kyu Aane Jane Mein Kami Karli

Ek Bas Teri Dosti Ke Liye
Saari Duniya Se Dushmani Karli


Yeh Jo Deewane Se Do Char Nazar Aate Hai

Posted: 26 Sep 2009 05:30 AM PDT

Yeh Jo Deewane Se Do Char Nazar Aate Hai
Inme Kuch Saheb-E-Israr Nazar Aate Hai

Teri Mehfil Ka Bharam Rakte Hai So Jate Hai
Warna Yeh Log To Bezaar Nazar Aate Hai

Mere Daman Mein Kaanto Ke Siva Kuch Bhi Nahi
Aap To Phoolo Ke Khareedar Nazar Aate Hai

Kal Tak Jinhe Chhoo Nahi Sakti Thi Farishto Ki Nazar
Aaj Woh Ronak-E-Bazaar Nazar Aate Hai

Main Darta Hoon Qayamat Me Kaun Gawahi Meri De
Sab Tumhare Hi Tarafdaar Nazar Ate Hai


Karam Karo Chahe Sitam Karo

Posted: 26 Sep 2009 05:30 AM PDT

Karam Karo Chahe Sitam Karo
Hum Gila Nahi Karte
Khaza Mein Phool Kabhi Khila Nahi Karte
Tum Hume Bhool Jao Lekin Yeh Yaad Rakna
Hum Jaise Log Kabhi Mila Nahi Karte


Yeh Dua Hai Aatishe Ishq Mein

Posted: 26 Sep 2009 05:30 AM PDT

Yeh Dua Hai Aatishe Ishq Mein
Ke Tu Meri Tarah Se Jala Kare

Na Naseeb Mein Sharbat-E-Vasal Ho
Sada Zeher-E-Ghum Tu Piya Kare

Tere Samne Tera Ghar Jale
Tera Bas Chale, Tu Bacha Na Sake

Na Khuda Dikhaye Tujhe Khushi
Aaye Khair Se Woh Bhi Din

Tujhe Chain Na Aaye Mere Bin
Na Lagao Main Tujhe Gale
Minnate Tu Meri Kiya Kare


No comments:

Post a Comment