Saturday, September 12, 2009

Shers.In

Shers.In


Mohabbat Se Hamein Kya Umeed Hoti Hai

Posted: 11 Sep 2009 06:11 AM PDT

Mohabbat Se Hamein Kya Umeed Hoti Hai
Mohabbat To Be-Umeed Hoti Hai
Chahte Hain Jinhe Hum Jaan Se Bhi Zyada
Bewafai Unhi Se To Naseeb Hoti Hai


Aye Mout Aaj Main Tujhe Gale Lagana Chahta Hoon

Posted: 11 Sep 2009 06:11 AM PDT

Aye Mout Aaj Main Tujhe Gale Lagana Chahta Hoon
Kitni Wafa Hain Teri Fitrat Mein
Ye Aazmana Chahta Hoon
Zindagi Ne To Hardam Rulaya Hai Mujhe
Tera Saath Mile Tho Zindagi Ko Rulana Chahta Hoon


Mout Ke Baad Yaad Aa Raha Hai Koi

Posted: 11 Sep 2009 06:10 AM PDT

Mout Ke Baad Yaad Aa Raha Hai Koi
Mitti Meri Kabar Se Utha Raha Hai Koi
Ya Kudha Do Pal Ki Zindagi Aur De De
Meri Kabar Se Udass Ja Raha Hai Koi – Derd


Tumne Kaha Tha Milogi

Posted: 11 Sep 2009 06:10 AM PDT

Tumne Kaha Tha Milogi
Har Khidki Har Darwaze Ke Peeche

Har Ek Mera Andaz Ke Andaaze Ke Peeche
Bewafa Main Nahi Tum Nikli

Mud Ke Bhi Nahi Dekha
Ek Aur Janaza Tha Thumare Janaze Ke Peeche


Is Do Pal Ki Zindagi Mein Tanhai Kyun Hai

Posted: 11 Sep 2009 06:10 AM PDT

Is Do Pal Ki Zindagi Mein Tanhai Kyun Hai
Logon Ko Hum Se Aaj Ruswai Kyun Hai
Iss Duniya Mein Saath Dene Wale Tho Kam Nahi
Phir Hamare Saath Hamari Parchai Kyun Hai


Aankho Mein Hai Ghum Ke Asnsu Aur Hotho Pe Faryad Hai

Posted: 11 Sep 2009 06:09 AM PDT

Aankho Mein Hai Ghum Ke Asnsu Aur Hotho Pe Faryad Hai
Ab Kya Hai Paas Humare Bas Ek Uski Yaad Hai
Uske Lakho Hai Ghum, Mera Ek Hai Ghum Main Kya Karu
Uske Bin Dil Na Lage Ab To Main Kya Karu


Haatho Ki In Lakeero Pe Kabhi Aitbaar Kar Lena Tum

Posted: 11 Sep 2009 06:09 AM PDT

Haatho Ki In Lakeero Pe Kabhi Aitbaar Kar Lena Tum
Khushiya De Jo Humse Jyada Usse Pyar Kar Lena Tum
Mil Ke Bichhadna To Naseebo Ka Khel Hai Shona
Par Kabhi Dil Pukare To Hume Yaad Kar Lena Tum


Aankhon Se Tootte Hai Sitaare To Kya Huya

Posted: 11 Sep 2009 06:09 AM PDT

Aankhon Se Tootte Hai Sitaare To Kya Huya
Chalte Nahi Wo Saath Hamare To Kya Huya

Toofan Ki Zad Mein Azm Mere Saath Saath Tha
Kashti Ko Mil Sake Na Kinare To Kya Huya

Tanhayion Ne Mujh Ko Gale Se Laga Liya
Wo Ban Sake Na Dilse Hamare To Kya Huya

Sau Hausle Hamare Qadam Choomte Rahe
Kuchh Be Sukoon Raat Guzare To Kya Huya

Manzil Bhi, Kaarwan Bhi, Musafir Bhi Khud Raha
Saathi Bane Na Hamare Chaand Sitaare The Kya Huya


Humne Bhi Kisi Se Pyaar Kiya Tha

Posted: 11 Sep 2009 06:08 AM PDT

Humne Bhi Kisi Se Pyaar Kiya Tha
Thoda Nahi Beshumar Kiya Tha
Meri Toh Zindagi Hi Badal Gayi
Jab Usne Kaha Are Pagal Meine Toh Mazak Kiya Tha


Mohabbat Ki Aarzoo Ab

Posted: 11 Sep 2009 06:08 AM PDT

Mohabbat Ki Aarzoo Ab
Nahi Basti Hai Mere Dil Mein
Kisi Aur Ko Chahna Ab
Nahi Hai Mere Bas Mein


Woh Muje Marke Kabra Par

Posted: 11 Sep 2009 06:08 AM PDT

Woh Muje Marke Kabra Par
Muskurate Huye Chali Gayi

Zamana Yeh Samjhe Oh Chahati Hai Muje
Isliye Apna Rumal Chhod Gayi

Achanak Ek Laash Ne Haste Huye Pucha
Janab Kya Hal Hai

Kya Tumhe Us Housnwali Ne Mara
Jiski Hasin Chal Hai

Maine Kaha Sahi Farmaya Apne
Wohi Hai Mera Kaatil

Pahchana Asan Hai Uske Gaalo Pe Hai Til
Tab Ek Aur Laash Ne Haste Huye Kaha

Usi Ki Meharbani Se
Ham Sab Kabr Par Pahunch Gaye

Apko Milkar Aaj Is Kabr Mein
Hum 100 Poore Ho Gaye


Wo Aaye Meri Kabar Pe

Posted: 11 Sep 2009 06:07 AM PDT

Wo Aaye Meri Kabar Pe
Diya Bujha Ker Chal Diye
Jo Bacha Khuch Tel Tha
Sir Mein Laga Ke Chal Diye


Chahat Ko Teri Chhupa Kar Jiye Ja Raha Hoon Main

Posted: 11 Sep 2009 06:07 AM PDT

Chahat Ko Teri Chhupa Kar Jiye Ja Raha Hoon Main
Khud Ko Hasi Fareb Diye Ja Raha Hoon Main

Tu Bewafa Hai Fir Bhi Mera Hosla To Dekh
Tujh Par Wafa Nisar Kiye Ja Raha Hoon Main

Khamosh Hoon Ki Tu Na Ho Ruswa Jahaan Main
Khud Apne Labo Ko Siye Ja Raha Hoon Main

Aur But(Patthar) Tera Tarash Ke Poojunga Isliye
Patthar Teri Gali Se Liye Ja Raha Hoon Main


Bhool Jata Hoon Kisi Pe Maine Kiya Tha Upkar

Posted: 11 Sep 2009 06:07 AM PDT

Bhool Jata Hoon Kisi Pe Maine Kiya Tha Upkar
Bhool Jata Hoon Kisi Ne Mujh Pe Kiya Tha Aatyachar

Magar Yaaron Kaise Bhool Jaoon
Kisi Se Maine Kiya Tha Pyar

Dekar Mujhko Ek Gehra Jakhm
Kisi Gair Ko Hi Banaya Tha Usne Apna Yaar


No comments:

Post a Comment