Tuesday, September 8, 2009

Shers.In

Shers.In


Ghum Ke Sagar Mein

Posted: 07 Sep 2009 06:17 AM PDT

Ghum Ke Sagar Mein
Tinke Khushion Ke Doondh Raha Hun
Mein Jeena Chatha Hoin
Phir Bhi Yaaron Doob Raha Hun


Phir Bewafa Ko Dost Bana Baithe

Posted: 07 Sep 2009 06:17 AM PDT

Phir Bewafa Ko Dost Bana Baithe
Uski Sadgi Se Fareb Kha Baithe
Pathoron Se Hai Apna Rishta Purana
Phir Bhi Shishe Ka Ghar Bana Baithe


Aisi Bewafai Ki Ussne

Posted: 07 Sep 2009 06:17 AM PDT

Aisi Bewafai Ki Ussne
Mohabbat Bhi Badnaam Ho Gayi
Apni Mohabbat Ki Itni Kimat Vasool Ki Usne
Ke Hamari Arthi Bhi Nilaam Ho Gayi


Waqt Ke Is Mod Pe Aisa Waqt Aaya Hai

Posted: 07 Sep 2009 06:16 AM PDT

Waqt Ke Is Mod Pe Aisa Waqt Aaya Hai
Zakham Dil Ka Zuban Pe Aaya Hai
Nahi Roye The Jo Kabi Kanto Ki Chubn Se
Use Aaj Phulo Ki Khusbu Ne Rulaya Hai


Chup Hontho Ki Juban Ye Ansoo Hote Hain

Posted: 07 Sep 2009 06:16 AM PDT

Chup Hontho Ki Juban Ye Ansoo Hote Hain
Jo Chup Rahte Hain Fir Bhi Behte Hain
Aur In Aasuon Ki Kismat To Dekhiye
Ye Unke Liye Behte Hain
Jo In Ankhon Mein Rehte Hain


Difference Between Love & Friendship

Posted: 07 Sep 2009 06:11 AM PDT

Difference Between Love & Friendship
You Give Your Whole Heart To Your Love & They Break It
But You Give Your Broken Heart To Your Friend & They Make It


Dost Hazar Nahi Sirf Ek Chahiye

Posted: 07 Sep 2009 06:10 AM PDT

Dost Hazar Nahi Sirf  Ek Chahiye
Sukh-Dukh Mein De Saath Woh Yaar Chahiye
Hum Kisi Ko Bhulate Nahi,
Lekin Jo Yaad Rakhe Hume Woh Yaar Chahiye


Hum Apko Dekhne Ki Chahat Rakhte Hain

Posted: 07 Sep 2009 06:10 AM PDT

Hum Apko Dekhne Ki Chahat Rakhte Hain
Aapki Har Baat Dil Mein Chupaye Rekhte Hain
Najane Kab Aap T.V Per Aa Jayen
Isi Liye Din Raat Cartoon Network Lagae Rekhte Hain


Jab Kabhi Dekhu Haath Ki Hatheliyo Ko

Posted: 07 Sep 2009 06:04 AM PDT

Jab Kabhi Dekhu Haath Ki Hatheliyo Ko
Toh Khaali Yeh Najar Aati Hain

Suni Suni See Lakiro Par
Kismat Sunati Apni Kahani Hain

Poochti Hain Fasana Mujh Se Hi
Meri Tanha Zindgani Ka

Hotho Sey Toh Has Deyta Hu
Par Aankhe Such Bahati Hain

Kabhi Yu He Nikal Padta Hu
Tanhaahiyo Ke Saath Apni

Or Saath Hi Khamoshiyaa Bhi
Perchhaaiyo Mein Nazar Aati Hain

Her Pal Bebus Hain
Intzaar Mein Jiske

Woh Toh Ab Tak anjaan  he  Hain
Ki  Intzaar Mein Kisi Ke

Jaan Aaj Bhii Kisi Ki Jaati Hain
Umeedo Se Naata Toh Bahut

Pehle He Chhut Chuka Thaa
Dhuli Dhoop Mein Dekhta Thaa

Jo Chehra Kabhi,
Ab Toh Sapne Mein Maayushi He Nazar Aati Hain.

Jab Kabhi Dekhu Haath Ki Hatheliyo Ko
Toh Khaali Yeh Najar Aati Hain


Na Muskurane Ko Jee Chahta Hain

Posted: 07 Sep 2009 06:04 AM PDT

Na Muskurane Ko Jee Chahta Hain
Na Aansoo Bahane Ko Jee Chahta Hain
Likhu To Kya Likhu Teri Yaad Mein
Bus Tere Pass Laut Aane Ko Jee Chahta Hain


Shehar Ki Gali Mein Paan Ki Dukaan

Posted: 07 Sep 2009 06:03 AM PDT

Shehar Ki Gali Mein Paan Ki Dukaan,
Devdas Ne Dekhi Paro Ki Muskaan,
Devdas Ne Khilaya Paro Ko Paan,
Khake Paan Paro Boli "Shukriya Bhaijaan"


Hum Tere Sath Chalenge Tu Chale Na Chale

Posted: 07 Sep 2009 06:03 AM PDT

Hum Tere Sath Chalenge Tu Chale Na Chale
Tera Har Dard Sahenge Tu Kahe Ya Na Kahe
Hum Chahte Hain Ki Tum Sada Khush Raho
Hum Chahe Rahe Ya Na Rahe


Aankhon Ki Berukhi Acchi Nahi Hoti

Posted: 07 Sep 2009 06:03 AM PDT

Aankhon Ki Berukhi Acchi Nahi Hoti
Yaaron Se Duri Achhi Nahi Hoti
Kabhi Kabhi Mila Kariye Hamse
Har Waqt Sms Se Baat Puri Nahi Hoti


Nasha Jaruri Hai Jindgi Ke Liye

Posted: 07 Sep 2009 05:52 AM PDT

Nasha Jaruri Hai Jindgi Ke Liye
Par Sirf Sharab Hi Nahi Hai
Bekhudi Ke Liye Kisiki Mast Nigahin Mein
Dub Jao Bada Haseen Samandar Hai
Khudkhushi Ke Liye

Sandeep


Tere Naam Se Jo Tadap Jaye Woh Insaan Hoon Mein

Posted: 07 Sep 2009 05:51 AM PDT

Tere Naam Se Jo Tadap Jaye Woh Insaan Hoon Mein
Teri Yaadon Se Bahut Preshaan Hoon Mein
Aa Dekle Phir Ek Baar Us Nazar Se
Tune Chaha Tha Jise Wohi “Rizwan” Hoon Mein

Ansari Rizwan


Ban Kar Musafir Jhoot Ka

Posted: 07 Sep 2009 05:50 AM PDT

Ban Kar Musafir Jhoot Ka
Tu Kab Tak Bhatke Ga

Ant Main Safar Ke Apne
Khud Se Kaise Nazar Milayega

Ant Main Tere Apne
Karenge Ghin Tujhse

Or Na Koi Na Hoga Tere Pas
Ban Ke Musafir Jhoot Ka

Ab Jo Lag Raha Tujhe
Safar Jannat Sa Khusgwar

Wahi Karega Madad
Or Lejayega Tujhe Patan Ki Or
Ban Kar Masafir

Tera Jeene Ka Maksad Kya Hai
Tera Marne Ka Maksad Kya Hai

Is Joothi Duniya Main
Tera Rahne Ka Maksad Kya Hai
Ban Kar Musfir

Rahen Anek Thi Tere Safar Se Pahele
Par Tune Chuni Wo Jo Ko Thi Sabse Aasan

Par Tu Samajh Na Saka Ki
Is Rah Main Chipe Bathe Hain

Na Jaane Kitne Haiwaan
Ban Kar Musafir Jhoot Ka

Ant Sooch Kar Tera Na Jane
Kyun Saham Jaata Hun Main

Teri Rah Main Chipe Kanto Ko
Dekhkar Saham Jata Hun Main

Koi Nahi Hai Tera Apna Is Duniya Main
Kyunki Kiya Hai Istmaal Har Kisiko Is Duniya Main

Ban Kar Musafir Jhooth Ka
Tu Kab Tak Bhatke Ga

Ankur


Ik Ehsas Ho Tum

Posted: 07 Sep 2009 05:50 AM PDT

Ik Ehsas Ho Tum
Maire Dil Ki Aas Ho Tum

Ankho Main Simti Yaad Ho Tum
Honto Main Thari Pyas Ho Tum

Dhalte Suraj Ki Lo Ho Tum
Ugate Suraj Ki Umang Ho Tum

Har Subah Mangi Gayi Fariyad Ho Tum
Har Sam Rulane Wali Tanha Yaad Ho Tum

Na Jane Kaun Sa Raag Ho Tum
Na Jane Kaun Sa Saaj Ho Tum

Subah Ho Ya Shaam Ho Tum
Din Ho Ya Rat Hi Tum

Sudh Ho Ya Asudh Ho Tum
Tum Hi Jano Tum Aadi Ho Ya Ant

Ankur


Meri Halat Dekh Aaj Mera Bister Bhi Ye Soch Hairan Hai

Posted: 07 Sep 2009 05:49 AM PDT

Meri Halat Dekh Aaj Mera Bister Bhi Ye Soch Hairan Hai
Mere Upar Soya Na Jane Ye Kaisa Insaan Hai

Duniya Ka Sataya Haye Khud Se Pareshan Hai
Din Ko Kya Rat Ko Bhi Na Chain Na Aaram Hai

Pet Mein Do Waqt Ki Roti To Kya Pani Bhi Haram Hai
Ek Taraf Khubsurti Or Mauj Masti Se Bhara Jahan Hai

Isse Dekh Lagta Hai Uski Sahi Jagah Shamshan Hai
Pareshan Hokar Bhi Khush Hai

Ye Sochkar Ki Mere Liye Mera Bhagwan Hai
Ye Soch Sone Ki Do Pal Koshish Karta Hai

Ki Mere Liye Mera Rab Hai
Ise Hara Sake Duniya Mein
Na Koi Aisa Pahalwan Hai


Haan Ishq Tumhe Se Karta Hoon

Posted: 07 Sep 2009 05:45 AM PDT

Haan Ishq Tumhe Se Karta Hoon
Raat Ke Kisi Pehar Jub Yaad

Kisi Ko Karta Hoon
Haan Ishq Tumhe Se Karta Hoon

Jub Zindagi Ke Kisi Lamhay Main
Muskra Lia Karta Hoon

Haan Ishq Tumhe Se Karta Hoon
Haan Ishq Tumhe Se Karta Hoon

Ahsan Mumtaz


Khuda Ka Khel Ajib Hain

Posted: 07 Sep 2009 05:43 AM PDT

Khuda Ka Khel Ajib Hain
Lekin Use Sara Jaha Manta Hain

Koi Khuch Khota Hain
Koi Khuch Pata Hain

Jise Hum Mangte Hain
Lakho Duao Mein

Wo Kisi Aur Ko
Bin Mange Mil Jata Hain

Priti Jain


Main Hoon Bahut Hi Ghabrai

Posted: 07 Sep 2009 05:41 AM PDT

Main Hoon Bahut Hi Ghabrai
Sare Hain Yahan Tamashai
Dar Hai Kahin Ho Na Jaye Ruswai
Kyon Ki Churiyan Bhi Hain Ab Zid Pe Aai

Tarique


Tere Bager Tera Ye Bachha Jese

Posted: 07 Sep 2009 05:39 AM PDT

Tere Bager Tera Ye Bachha Jese
Patjad Ka Sukha Patta

Mayusi Ka Saya
Ghum Ki Aah Mein Bujta Diya

Kisi Ki Lash Ke Samne Rakha Hua Diya
Tere Sath Tera Ye Bachha Jese

Barish Ke Mosam Mein Jumti Hariyali
Jese Kisi Ka Pura Hua Sapna

Jese Dipawali Ki Roshni Ka Diya
Jese Pooja Ki Thali Mein Rakha Hua Diya

Rahul


Tumhara Ilzaam Bhi Buniyad Tha Ki

Posted: 07 Sep 2009 05:37 AM PDT

Tumhara Ilzaam Bhi Buniyad Tha Ki
Humne Tumse Naheen,Jism Se Pyar Kiya
Tumhari Yaad Mein Hum Aaj Bhee Rote Hai
Jism To Kabhee Ka Supurde-Khakh Kiya

Pramod Kumar Sharma


No comments:

Post a Comment