Sunday, September 13, 2009

Shers.In

Shers.In


Kabhi Aansu To Kabhi Khusi Bechi

Posted: 12 Sep 2009 06:34 AM PDT

Kabhi Aansu To Kabhi Khusi Bechi
Hamne Akelepan Mein Tanhai Bechi

Chand Saanse Hai Kharidne Ke Liye
Roj Marti Hui Zindagi Bechi

Satane Lage Jab Mujhe Mere Hi Saye
Pareshan Hoke Maine Roshani Bechi

Ek Ham Hi The Jo Khud Hi Bik Gaye
Varna Logo Ne To Zindagi Bechi


Lab Khamosh Hote Hain

Posted: 12 Sep 2009 06:33 AM PDT

Lab Khamosh Hote Hain Jab Tum Saamne Aati Ho
Dil Dhadakta Hai Jab Nigaahein Milaati Ho
Saans Ruk Jaati Hai Jab Muskuraate Ho
Bhoot Ho Kya Jo Tum Itna Daraate Ho


Humne Usulon Ko Mausam Ki Taraha

Posted: 12 Sep 2009 06:30 AM PDT

Humne Usulon Ko Mausam Ki Taraha
Kai Baar Badalte Dekha Hai,
Zindgi Ko Aabroo Pe, Aabroo Ko
Zindgi Pe Marte Dekhaa Hai


Duaon Mein Shaamil Ho Is Tarah

Posted: 12 Sep 2009 06:27 AM PDT

Duaon Mein Shaamil Ho Is Tarah
Phoolon Mein Hoti Hai Khushbu Jis Tarah
Khuda Aapki Zindgi Mein Itni Khushiyan De
Dharti Par Hoti Hai Baarish Jis Tarah


Teri Har Subah Muskurati Rahe

Posted: 12 Sep 2009 06:27 AM PDT

Teri Har Subah Muskurati Rahe
Teri Har Shaam Gungunati Rahe
Tu Jise Bhi Mile Is Tarah Se Mile
Ki Har Milne Wale Ko Teri Yaad Aati Rahe


Bade Armaan Se Banwaya Hai

Posted: 12 Sep 2009 06:24 AM PDT

Bade Armaan Se Banwaya Hai
Roshni Se Bhi Sajaya Hai

Bahut Door Se Mangwaya Hai
Zara Khidki Khol Ke Dekho

Aapko Good Night Kehne
Chaand Ko Bhijwaya Hai


Zindgi Mein Hardam Hanste Raho

Posted: 12 Sep 2009 06:24 AM PDT

Zindgi Mein Hardam Hanste Raho
Hansna Zindgi Ki Zarurat Hai
Zindgi Ko Is Andaaz Mein Jiyo
Ki Aapko Dekhkar Log Kahein
Zindgi Kitni Khoobsurat Hai


Roshni Ke Liye Diya Jalta Hai

Posted: 12 Sep 2009 06:23 AM PDT

Roshni Ke Liye Diya Jalta Hai
Shama Ke Liye Parwana Jalta Hai
Rishte Toot Jayein To Dil Jalta Hai
Aur Aap Jaisa Dost Ho To Zamana Jalta Hai


Pyaar Ki Wo Misaal Banayenge Hum

Posted: 12 Sep 2009 06:23 AM PDT

Pyaar Ki Wo Misaal Banayenge Hum
Aankhen Band Karoge To Nazar Aayenge Hum
Bhar Denge Itna Pyaar Dil Mein Ki
Khud Se Pehle Yaad Aayenge Hum


Yaad Bankar Hamesha Tumhare Dil Mein Rahenge

Posted: 12 Sep 2009 06:23 AM PDT

Yaad Bankar Hamesha Tumhare Dil Mein Rahenge
Yun Hi Waqt Bewaqt Tadpaate Rahenge
Dua Karo Ki Umar Chhoti Ho Hamari
Warna Zindgi Bhar Aapko Sataate Rahenge


Aapki Dosti Ko Ehsaan Maante Hain

Posted: 12 Sep 2009 06:23 AM PDT

Aapki Dosti Ko Ehsaan Maante Hain
Isliye Nibhana Imaan Maante Hain
Hum Wo Nahi Jo Dosti Mein Jaan Den
Hum To Dosti Ko Hi Apni Jaan Maante Hain


Koshish Kijiye Hame Yaad Karne Ki

Posted: 12 Sep 2009 06:22 AM PDT

Koshish Kijiye Hame Yaad Karne Ki
Lamhe To Apne Aap Hi Mil Jayenge
Tamanna Kijiye Hame Milne Ki
Bahane To Apne Aap Hi Mil Jayenge


Kaha Usne Bharosa Dil Pe Itna Nahin Karte

Posted: 12 Sep 2009 06:22 AM PDT

Kaha Usne Bharosa Dil Pe Itna Nahin Karte
Kaha Maine Mohabbat Main Kabhi Socha Nahin Karta

Kaha Usne Bahut Khush-Rang Dunya Ke Nazare Hain
Kaha Maine Ke Jab Tum Ho To Hum Kuch Dekha Nahin Karte

Kaha Usne Main Tumse Door Hoon Lekin Tumhari Hon
Kaha Maine Ke Sapne Dil Ko Behlaya Nahin Karte

Kaha Usne Tumhari Chahat Tumhen Ruswaiyan Degi
Kaha Maine Ke Hum Shohrat Se Ghabraya Nahin Karte

Kaha Usne Samajh Jao Samajh Jao Ae Meri Jaan
Kaha Maine Ke Deewane Ko Samjhaya Nahin Karte


Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi

Posted: 12 Sep 2009 06:21 AM PDT

Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi
Suhane Waqt Ki Har Mauj Thehar Jayegi
Talaash Karoge Jo Humse Behtar Dost
Nazar Dur Tak Jaakar Laut Aayegi


Dost Ka Pyaar Dua Se Kam Nahi Hota

Posted: 12 Sep 2009 06:21 AM PDT

Dost Ka Pyaar Dua Se Kam Nahi Hota
Wo Chahe Door Bhi Ho To Ghum Nahi Hota
Pyaar Mein Aksar Dosti Kam Ho Jati Hai
Dosti Mein Pyaar Kabhi Kam Nahi Hota


Nikalta Chand Sabko Pasand Aata Hai

Posted: 12 Sep 2009 06:21 AM PDT

Nikalta Chand Sabko Pasand Aata Hai
Doobta Suraj Kaun Dekhna Chahta Hai
Toot Ta Hua Taara Sabki Dua Isliye Poori Karta Hai
Kyuki Use Tootne Ka Dard Maalum Hota Hai


No comments:

Post a Comment