Sunday, August 30, 2009

Shers.In

Shers.In


Toot Gaye Khuvab Sare Ek Hi Pal Mein

Posted: 29 Aug 2009 06:02 AM PDT

Toot Gaye Khuvab Sare Ek Hi Pal Mein
Usne Mujhe Choda Bich Raha Mein La Ke

Dil Ko Bahut Dard Diya Usne Apna Bana Ke
Har Ek Sapna Toda Ankho Mein Saja Ke

Roolaya Usne Hum Ko Raato Ko Jaga Ke
Akhir Usne Chooda Hume Pattar Bana Ke

Tujhe To Maaf Kiya Sab Kuch Bhul Ke
Par Khud Ko Maaf Karge Is Duniya Ko Chod Ke


Kisi Ko Apna Banane Mein Der Lagti Hai

Posted: 29 Aug 2009 06:00 AM PDT

Kisi Ko Apna Banane Mein Der Lagti Hai
Ek Vada Nibhane Mein Der Lagti Hai
Pyar To Pal Bhar Mein Ho Jata Hai
Magar Unhe Bhulane Mein Umar Lagti Hai


Na Puch Mere Sabar Ki Inteha Kaha Tak Hai

Posted: 29 Aug 2009 05:56 AM PDT

Na Puch Mere Sabar Ki Inteha Kaha Tak Hai
Tu Sitam Kar Le Teri Hasrat Jahan Tak Hai
Wafa Ki Umeed Jinhe Hogi Unhe Hogi
Hume To Dekhna Hai Tu Bewafa Kahan Tak Hai


Koi Achhi Si Saza Do Mujhko

Posted: 29 Aug 2009 05:54 AM PDT

Koi Achhi Si Saza Do Mujhko
Chalo Aisa Karo Bhula Do Mujhko
Tumse Bichdu To Maut Aa Jaye
Dil Ki Gehraiyon Se Aisi Dua Do Mujh Ko


Gunah Karke Saza Se Darte Hain

Posted: 29 Aug 2009 05:50 AM PDT

Gunah Karke Saza Se Darte Hain
Zahar Pee Ke Dawa Se Darte Hain
Dushmano Ke Sitam Ka Khauff Nahi
Hum Toh Doston Ki Wafa Se Darte Hain


Zindagi Dene Vale Marta Chod Gaye

Posted: 29 Aug 2009 05:48 AM PDT

Zindagi Dene Vale Marta Chod Gaye
Apnapan Jatane Vale Tanha Chod Gaye
Jab Padi Jarurat Hume Apne Humsafar Ki
Vo Jo Saath Chalne Vale Apna Rasta Mod Gaye


Lut Gaye Tere Ishq Main

Posted: 29 Aug 2009 05:42 AM PDT

Lut Gaye Tere Ishq Main
Dil Se Jaane Waale Ko Kaho Ke Aaj Is Tarah Jaaye
Har Dil Ko Lage Chot Aur Har Aankh Bhar Aaye
Lut Gaye Hum Teri Mohobbat Main


Aisi Bewafayi Ki Usne Ke

Posted: 29 Aug 2009 05:38 AM PDT

Aisi Bewafayi Ki Usne Ke
Mohobbat Bhi Badnaam Ho Gayi
Apne Chahton Ki Kimat Itni Vasool
Ke Hamari Kabr Tak Bhi Neelaam Hogayi


Toot Padti Hai Nai Roz Khabar

Posted: 29 Aug 2009 05:35 AM PDT

Toot Padti Hai Nai Roz Khabar Shaam Ke Baad
Waqt Hota Hai Azabon Mein Basar Shaam Ke Baad
Meri Aankhon Se Baraste Hue Daryaon Mein
Doob Jati Hai Teri Raah-E-Guzar Shaam Ke Baad


Hunar Nahi Aata Hume

Posted: 29 Aug 2009 05:31 AM PDT

Hunar Nahi Aata Hume Dilon Se Khelne Ka
Isi Liye Ishq Ki Baazi Hum Haar Gaye
Shayad Unhen Tha Meri Zindagi Se Bahut Pyar
Isi Liye Mujhe Jeete Jee Hi Maar Gaye


Zindagi Se Jo Tum Ja Chuke Ho

Posted: 29 Aug 2009 05:27 AM PDT

Zindagi Se Jo Tum Ja Chuke Ho
Har Taraf Se Hum Barbaad Ho Gaye
Muskuraate Hain Khud Ki Maut Par
Ansoo Chipaane Mein Ustaad Ho Gaye


Ilzaam Un Per Koi Aane Na Denge

Posted: 29 Aug 2009 05:26 AM PDT

Ilzaam Un Per Koi Aane Na Denge
Bewafa Bankar Unhe Jaane Na Denge
Khud Hi Seh Lenge Sare Dard
Per Unhe Kabhi Sir Jhukane Na Denge


Teri Har Adaa Mohabbat Si Lagti Hai

Posted: 29 Aug 2009 05:15 AM PDT

Teri Har Adaa Mohabbat Si Lagti Hai
Ek Pal Ki Judaai Muddat Si Lagti Hai
Aisa Pehle Nahin Tha Jo Ab Lagta Hai
Ke Zindagi Ke Har Lamhe Mein Teri Jarurat Si Lagti Hai


Nafratein Bhi Uss Se Mohabbatein Bhi Uss Se

Posted: 29 Aug 2009 05:12 AM PDT

Nafratein Bhi Uss Se Mohabbatein Bhi Uss Se
Yeh Dil Ke Maamle Bhi Hua Karte Hai Ajeeb
Na Toot Kar Jurre  Na Jud Kar Kabhi Toote
Yeh Kurbano Ke Faasle Bhi Hua Karte Hai Ajeeb


Ae Khuda Meri Mohabbat Mere Havaale Karde

Posted: 29 Aug 2009 05:08 AM PDT

Ae Khuda Meri Mohabbat Mere Havaale Karde
Tadap Rahi Hu Uske Bina Yeh Judaai Kam Karde
Reham Kar Iss Chote Se Dil Pe Ya Khudaaya
Uski Mohabbat Mere Naseeb Mein Karde


Khushnasib Hai Hum

Posted: 29 Aug 2009 05:03 AM PDT

Khushnasib Hai Hum Jise Aap Jaisa Yaar Mila
Pathron Ke Jahan Mein Sacha Pyar Mila

Jeeye Tumhe Dekh Dekh
Marre Teri Baahon Mein Yeh Aarzu Hai Meri

Do Pal Ka Tha Sab Ae Dost
Sadiyon Se Lamba Hamein Intezaar Mila


Har Raahi Ko Mann Chaha Mukaam Nahi Milta

Posted: 29 Aug 2009 04:57 AM PDT

Har Raahi Ko Mann Chaha Mukaam Nahi Milta
Jisko Jee Bhar Pyaar Kar Sake Wo Insaan Nahi Milta
Aasma K Sitaro Ki Tarah Hamare Armaan Bhi Bikhrte Rehte Hai
Jo Apne Dil Mein Hamein Jagah De Sake
Wo Meharbaan Nahi Milta


Tumse Rishta Tod Bhi Nahin Sakte Aur Jod Bhi Nahin Sakte

Posted: 29 Aug 2009 04:55 AM PDT

Tumse Rishta Tod Bhi Nahin Sakte Aur Jod Bhi Nahin Sakte
Tu Bewafa Hai Ueh Soch Ke Tumse Muh Mod Bhi Nahin Sakte
Beshaq Tu Kisi Aur Ke Haathon Ki Lakeeron Mein Hi Sahi
Yeh Soch Ke Hum Tumse Milne Ki Aas Chod Bhi Nahin Sakte


Rokk Nahin Paate Yeh Aansoo Chalo Aaj Ji Bhar Ke Behne Do

Posted: 29 Aug 2009 04:53 AM PDT

Rokk Nahin Paate Yeh Aansoo Chalo Aaj Ji Bhar Ke Behne Do
Mein Thi Kab ki Tanha Ae Dost Mujhe Tanha Hi Rehne Do
Unse Wafa Karke Yeh Inaam Paaya Humne
Vo Agar Kahe Mujhe Bewafa Toh Usse Kehne Do


Kya Faaida Hua Hai Ab Intezaar Karke

Posted: 29 Aug 2009 04:50 AM PDT

Kya Faaida Hua Hai Ab Intezaar Karke
Gardish Mein Aa Gaye Hai Hum Tumse Pyar Karke
Iss Daur Mein Wafa Ka Hum Karobaar Karke
Sunnat Nibha Rahe Hai Dushman Se Pyar Karke


Sapne Saare Tod Kar Beithe Hai

Posted: 29 Aug 2009 04:47 AM PDT

Sapne Saare Tod Kar Beithe Hai
Dil Ka Armaan Chod Kar Beithe Hai
Na Kijiye Humse Wafa Ki Baatein
Abhi-Abhi Dil Ke Tukde Jod Kar Beithe Hai


Haadse Banke Log Yahaan Mila Karte Hai

Posted: 29 Aug 2009 04:44 AM PDT

Haadse Banke Log Yahaan Mila Karte Hai
Zakham Dene Ke Hi Saaman Diya Karte Hai
Roz Gir Jaati Hai Deewar Tere Wadon Ki
Roz Hi Hum Maut Ke Saaye Mein Jiya Karte Hai


Bewafai Ka Dard Kaisa Hota Hai

Posted: 29 Aug 2009 04:41 AM PDT

Bewafai Ka Dard Kaisa Hota Hai Koi Humse Puche
Tanha Raaton Mein Rona Kaisa Hota Hai Koi Humse Puche
Takleef Mein Jeene Ki Aadat Si Ho Gayi Ab Ae Dost
Jab Apna Koi Dhagga Kare Toh Kaisa Lagta Hai
Koi Humse Puche


Mushkil Hai Ab In Labo Ka Kabhi Muskura Paana

Posted: 29 Aug 2009 04:39 AM PDT

Mushkil Hai Ab In Labo Ka Kabhi Muskura Paana
Mushkil Hai Ab Is Dil Ka Kisi Ke Liye Dhadak Paana
Chalakte Hai Sirf Aansu In Aakhon Se Ab To
Mushkil Hai Inme Kisi Ke Liye Sapne Sajaana


Kya Batau Kisiko Kya Dard Hai Seene Mein

Posted: 29 Aug 2009 04:34 AM PDT

Kya Batau Kisiko Kya Dard Hai Seene Mein
Maut Aa Jaye Ghum Nahin Ab Kya Rakha Hai Jeene Mein
Ghum Sharaab Se Agar Pal Do Pal Ke Liye
Rukhsat Ho jaaye Toh
Ae Dost Kya Harz Hai Phir Peene Mein


No comments:

Post a Comment