Sunday, August 9, 2009

Shers.In

Shers.In


Hum Se Door Jaoge Kaise

Posted: 08 Aug 2009 06:41 AM PDT

Hum Se Door Jaoge Kaise
Dil Se Hume Bhulaoge Kaise,
Hum Woh Khusboo Hai Jo Saanson Mein Baste Hain,
Khud Ki Saanson Ko Rook Paoge Kaise.


Mumkin Nahi Shayad Kisi Ko Samaj Pana

Posted: 08 Aug 2009 06:39 AM PDT

Mumkin Nahi Shayad Kisi Ko Samaj Pana,
Samjhe Bina Kisi Se Kya Dil Lagana,
Aasan Hai Kisi Ko Pyar Karna,
Bahut Mushkil Hai Kisi Ka Pyar Pana.


Kabhi Unki Palko Se Izhar Hoga

Posted: 08 Aug 2009 06:39 AM PDT

Kabhi Unki Palko Se Izhar Hoga,
Dil Ke Kisi Kone Mein Humare Liye Pyar Hoga,
Guzar Jati Hai Rat Unki Yaad Mein,
Kabhi Toh Unko Bhi Humara Intezar Hoga


Na Kabhi Muskurahat Tere Hothon Se Dur Ho

Posted: 08 Aug 2009 06:38 AM PDT

Na Kabhi Muskurahat Tere Hothon Se Dur Ho
Teri Har Khwaish Haqiqat Ko Manzur Ho,
Ho Jo Tu Kabhi Mujhse Kafa,
Khuda Na Kare Mujhse Kabhi Aisa Kasoor Ho


Aisa Dost Chahiye Jo Hume Apna Mann Sake

Posted: 08 Aug 2009 06:35 AM PDT

Aisa Dost Chahiye Jo Hume Apna Mann Sake,
Humare Har Dukho Ko Jaan Sake,
Chal Rahe Ho Hum Tez Barish Mein,
Phir Bhi Pani Mein Se Aansuo Ko Pehchan Sake


Wo Na Aye Par Unki Yaad Aakar Wafa Kar Gayi

Posted: 08 Aug 2009 06:26 AM PDT

Wo Na Aye Par Unki Yaad Aakar Wafa Kar Gayi,
Rahi Tamana Har Waqt Milne Ki Mere Aman Sukun Tabah Kar Gayi,
Der Par Ahat Suni Koi Par Socha Asar Dua Kar Gayi,
Drwaza Khola To Koi Nahi Tha Mazak Hamare Sath Hawa Kar Gayi


Mujh Se Mera Kya Rishta Hai

Posted: 08 Aug 2009 06:23 AM PDT

Mujh Se Mera Kya Rishta Hai Har Ek Rishta Bhool Gaya
Itne Aaine Dekhe Hain Ki Apna Chehra Bhool Gaya

Ab To Yeh Bhi Yaad Nahi Hai Farq Tha Kitna Dono Main
Us Ki Baatein Yaad Raheen Aur Us Ka Lehja Bhool Gaya

Pyasi Dharti Ke Hothon Per Mera Naam Nahi To Kya
Main Woh Baadal Ka Tukda Hoon Jis Ko Dariya Bhool Gaya

Duniya Wale Kuch Bhi Kahein Per Apni To Majboori Hai
Uski Gali Jab Yaad Aayi Hai Ghar Ka Rasta Bhool Gaya


Kaash Vaadon Ka Matlab Tum Samajhti

Posted: 08 Aug 2009 06:21 AM PDT

Kaash Vaadon Ka Matlab Tum Samajhti,
Kaash Khamoshi Ka Matlab Tum Samajhti

Nazar Milti Hai Nazaron Se,
Kaash Nazron Ka Matlab Tum Samajhti.

Koi Ankhon Ankhon Main Baat Kar Leta Hai,
Koi Ankhon Ankhon Main Mulakat Kar Leta Hai,

Mushkil Hota Hai Jawaab Dena,
Jab Koi Khamosh Rehkar Bhi Sawaal Kar Leta Hai.


Kyun Aaj Mein Dukhi Hun

Posted: 08 Aug 2009 06:19 AM PDT

Kyun Aaj Mein Dukhi Hun,
Uss Mor Par Jo Andhera Chaya Hai,

Kyun Mujhe Wo Dara Raha Hai,
Kyun Unchaiya Mere Mulk Ki,

Mujhe Khokhli Nazar Ati Hain,
Kyun Wo Jo Dard Hai,

Gehra Ander Sama Raha Hai,
Wo Hai Meri Zameen Ka Dil,

Jo Aaj Dukh Mana Raha Hai,
Noch Rahe Hai Zamane Wale,

Har Ek Apna Jeevan Sawaar Raha Hai,
Mere Mulk Ka Kya Hoga Ae Jan,

Mera Bharat Dukhi Hai,
Dukh Mana Raha Hai.


Yaadon Mein Na Dhundo Hume

Posted: 08 Aug 2009 06:19 AM PDT

Yaadon Mein Na Dhundo Hume,
Maan Mein Hum Bas Jayege,
Tamana Ho Agar Milne Ki,
To Haath Rakho Seene Pe,
Hum Dhadkano Mein Mil Jayege.


Jaan To Kardi Hamne Watan Ke Naam Par

Posted: 08 Aug 2009 06:13 AM PDT

Jaan To Kardi Hamne Watan Ke Naam Par,
Shaan To Kardi Hamne Watan Ke Naam Par,

Kurbanion Se Paai Hai Hamne Aazaadi,
Hamara Watan To Laakho Main Ek Hai,

Aan Bhi Kardi Hamne Watan Ke Naam Par.


Pathar Dil Se Pyar Kiya Hai

Posted: 08 Aug 2009 06:12 AM PDT

Pathar Dil Se Pyar Kiya Hai,
Apna Dil Bekrar Kiya Hai,

Jisse Apni Yaadion Ka Haqdaar Kiya Hai,
Ussne Muje Ghum Se Abad Kiya Hai,

Chain Aur Karaar Lut Gaya Mera,
Jo Jaan Kar Bhi Anjan Hai Mujse,

Aye Khuda Ab To Pighlade Usse,
Usse Pyaar Karne Ki Saaza Na De Muje,

Pyar Agar Ehsas Hai,
To Ye Ehsas Karade Usse,


Zindagi Ke Har Lamhe Ko Jilo Ji Baar Ke

Posted: 08 Aug 2009 06:11 AM PDT

Zindagi Ke Har Lamhe Ko Jilo Ji Baar Ke,
Kya Pata Kaal Kya Ho, Kisne Jana,

Hum Hai Aaj Yaha Per, Kaal Ho Na Ho Kisne Jana,
Tera Milna Aaj Kushi Hai, Kal Duk Ban Jaye Kisne Jana,

Tera Jana Hamri Badnasbi Hai, Kisi Aur Ki Kushnasbi Ho Kisne Jana,
Har Chere Ko Deklo Ji Bhar Ke, Kaal Mile Na Mile Kisne Jana,

Karo Har Risthe Ki Qadar, Kaal Ho Na Ho Kisne Jana,
Pyaar Bat Sako To Bat Lo, Kaal Tum Ho Na Ho Kisne Jana.


Zindagi Khusiyon Ke Roobru Jab Hoti Hai

Posted: 08 Aug 2009 06:06 AM PDT

Zindagi Khusiyon Ke Roobru Jab Hoti Hai
Sari Kaynat Janat Si Talab Hoti Hai
Ishk Lata Hai Khusion Ka Karva
Ishk Lata Hai Dukhon Ka Salaab
Jana Hai Kis Rah ‘Ankur‘ Yeh Hai Kismat Ka Khel

Ankur


Nam Aankhon Se Jab Bhi Likhta Hun

Posted: 08 Aug 2009 06:05 AM PDT

Nam Aankhon Se Jab Bhi Likhta Hun,
Kuch Dard Uttar Atta Hai.

Teri Dargah Se Jab Bhi Khali Hath Jata Hun,
Kuch Dard Uttar Atta Hai.

Dekhta Hun Jab Abhi Apne Andar Jhank Kar,
Bas Tera Chera Najar Atta Hai.

Akhari Sans Tak Karunga Tere Raham Ka Intjaar,
Bas Yehi Khayal Maire Man Main Atta Hai.

Khabi Dhalti Saam Or Khabi Khud Ko Dekhta Hun,
Dono Main Ruka Hua Sa Manjar Najar Atta Hai.

Jaane Kya Soch Kar Main Tera Injaar Karta Hun,
Sayad Yahi Pyar Hai Jo Samajh Main Nahi Atta Hai.

Ankur Sharma


Hansta Hua Ek Pagal, Rota Hua Ek Pagal

Posted: 08 Aug 2009 06:03 AM PDT

Hansta Hua Ek Pagal, Rota Hua Ek Pagal,
Dekhta Is Duniya Ko, Apni Najron Se Ek Pagal.

Ye Jante Hue Bhi, Koi Nahi Uska,
Duniya Main Hans Kar Jeeta Ek Pagal.

Chithadon Main Thand Se Thithurta Hua,
Tukdo Ki Talash Main Dar-Dar Bhatkta Hua .

Dekh Kar Apni Badhwasi Ko, Kabhi Roya Nahi Wo,
Dekh Kar Duniya Ki Halat, Hamesha Hi Roya Hai Wo.

Dekh Kar Uski Ye Halat, Na Jaane Kun Ye Lagta Hai Mujhe,
Deta Hai Dhanyavad Usko, Ki Teri Maya Ka Main Hisa Nahi.

Hairan Karti Hain Uski Batein, Jo Samjh Main Na Aaye,
Pahchaan Kar Uski Yaadein, Har Kisi Ki Ankh Bhar Aaye,

Sayad Dhundla Sahil Hai Wo, Jo Apne Hi Toofan Main Beh Gaya,
Ya Tapta Suraj Hai Wo, Jo Apni Hi Saghan Tapti Lapto Main Jal Gaya.

Jeete Ji Duniya Main Jisne Apna Astitv Khoa,
Wahi Dosto Is Duniya Main Pagal Kahlayaa.

Ankur Sharma


Khudgarz Hona Koi Nai Baat Nahi

Posted: 08 Aug 2009 06:00 AM PDT

Khudgarz Hona Koi Nai Baat Nahi,
Zaman Khudgarzon Se Bana Hai,

Humne Bhi Her Mod Pe Koch Aisa Hi Paya,
Hume Usi Ne Begana Kiya Jise Humne Apana Banaya Hai,

Wo Kehte Hai Kumi Kahi Hum Mein Hai,
Shayad Humne Insaniyat Ko Her Auhde Se Upar Paya Hai,

Per Ras Na Aya Zamane Ko Jine Ka Tarika Humara,
To Hume Bhi Seekh Liya Akhir Jo Zamane Bane Sikhaya Hai.

Apeksha


No comments:

Post a Comment