Friday, August 7, 2009

Shers.In

Shers.In


Dard Ka Fard Is Kadar Hai Ki

Posted: 05 Aug 2009 10:16 PM PDT

Dard Ka Fard Is Kadar Hai Ki
Aankhein Num Rehti Hain

Kuch Aansu Jo Humne Bahaye Hi Nahi
Or Aapne Sumjha Hum Kabhi Roye Hi Nahi

Aap Puch Rahe The Kuch Meri Nind Ke Baare Mein
Or Ik Hum Hein Ik Umar Se Soye Hi Nahi

Tere Intzaar Mein Jo Saanse Li Hein Ab Tak
Har Saans Ka Dard Kuch Is Kadar Hain Ki

Tujhe Pani Ki Koshish Thi Tujhe Khone Ka Gumm Hain
Teri Yaad Mein Ye Aankhein Barson Se Numm Hain


Jaate Jaate Ek Karam Humpar Bhi Karjana

Posted: 05 Aug 2009 10:15 PM PDT

Jaate Jaate Ek Karam Humpar Bhi Karjana
Phir Aoge Milne Humse Ye Waada Karjaana

Abb Mulakhaat Hogi Shaherekhamusha Mein Phir
Aansu Bahakar Na Sahi Aakar Muskurakar Chali Jana

Sab Phool Rakhkar Khabr Par Mohabbat Jatate Hain
Tum Pattharo Se Apne Pyar Ka Izhaar Karjaana


Mane Loko Kahe Chhe Ke Maari Shu Dasha Chhe

Posted: 05 Aug 2009 10:14 PM PDT

Mane Loko Kahe Chhe Ke Maari Shu Dasha Chhe
Hu Kahau Chhu Ke Prem Ma Padavaani Aa Saza Chhe

Vikharayela Vaalaankho Hase Chhe Ke Rade Che
Kasoor Be-Wafai No Nathi Mohabbat Ni Aa Mazaa Chhe

Maara Shabdo Mane Paagal Saabit Kare Chhe
Hu Jaanu Chhu Ke Saacho Prem Ek Paagal J Kare Chhe

Haasy Paatr Banyo Chhu Zamaani Najaro Ma
Hu Pan Hasyo Hato Pan Prem Ma To Radavani Alag Maza Chhe

Aaina Ma Joi Ne Mane Shanka Thay Chhe Ke Aa Koun Chhe
Mohabbat Ni Sakal Ane Surat Kaik Alag J Najar Aave Chhe

Khabar Na Hati Ke Maari Tasveer Aatali Badalaai Jashe
Aa Koii Shangaar Nathi Prem Jataavavaani Ek Navi Adaa Chhe

Maara Mitro Maari Haalat Joi Taras Naa Khaata
Prem Ma Judaai Pan Ek Milan Hoy Chhe

'Dharam" "Dharam" Kahi Tame Maaru Apamaan Naa Karasho
Prem Ma Paagal Kehavaadava Ma Pan Ek Alag Mazaa Chhe

Mane Loko Kahe Chhe Ke Maari Shu Dasha Chhe


Sab Se Chupa Ke Dard, Jo Woh Muskura Diye

Posted: 05 Aug 2009 10:09 PM PDT

Sab Se Chupa Ke Dard, Jo Woh Muskura Diye
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Ko Bhi Rula Diya

Lahje Se Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha Ki Kuch Ganwa Diya

Awaz Mein Thehrao Tha Aankhon Mein Nami Thi
Aur Keh Raha Tha Ke Maine Sab Kuch Bhula Diya

Jane Kya Thi Usko, Logoon Se Itni Shikayaten
Tanhaion Ke Desh Main Khud Ko Basa Diya

Khud Bhi Woh Hum Se Bicher Ker Adhure Sa Ho Gaye
Mujh Ko Bhi Itne Logon Main Tanha Bana Diya


Ranjish Hi Sahi Dil Dukhane Ke Liye Aa

Posted: 05 Aug 2009 10:07 PM PDT

Ranjish Hi Sahi Dil Dukhane Ke Liye Aa
Aa Phir Se Mujhe Chod Ke Jaane Ke Liye Aa

Ab Tak Dil-E-Khushfeham Ko Tujh Se Hain Ummiden
Ye Aakhari Shammen Bhi Bujhaane Ke Liye Aa

Pahale Se Maraasim Na Sahi Phir Bhi Kabhi To
Rasm-O-Rahe Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa

Kis Kis Ko Batayenge Judaai Ka Sabab Ham
Tu Mujhse Khafaa Hai Tou Zamaane Ke Liye Aa

Kuch To Mere Pindaar-E-Mohabbat Ka Bharam Rakh
Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manaane Ke Liye Aa

Ek Umr Se Hoon Lazzat-E-Giriyaa Se Bhi Maharuum
Ae Raahat-E-Jaan Mujh Ko Rulaane Ke Liye Aa

Maana Ke Mohabbat Ka Chupana Hai Mohabbat
Chupke Se Kisi Roz Jatane Ke Liye Aa

Jaise Tujhe Aate Hain Na Aane Ke Bahane
Waise Hi Kisi Roz Na Jane Ke Liye Aa


Zamane Se Nahin Hum Tanhai Se Darte Hain

Posted: 05 Aug 2009 10:03 PM PDT

Zamane Se Nahin Hum Tanhai Se Darte Hain,
Pyar Se Nahin Hum Rusuvai Se Darte Hain,
Dil Meih Umang Hai Tujhse Milne Ki
Par Milne Ke Baad Aane Wali Judaai Se Darte Hain


Mohabbat Ki Lahero Pe Kastiya Chalane Waale

Posted: 05 Aug 2009 10:02 PM PDT

Mohabbat Ki Lahero Pe Kastiya Chalane Waale
Zara Sambhal Ke, Mohabbat Dariya Hai Sahil Nahi,
Uthte Hai Kahi Tofaan Mohabbat Ke Samander Mein Bhi,
Ager Us Se Lad Na Sako To Tum Mohabbat Ke Kabil Nahi.


Dil Ki Dhadkan Dhadka Gaya Koi

Posted: 05 Aug 2009 10:00 PM PDT

Dil Ki Dhadkan Dhadka Gaya Koi,
Mere Khwabo Ko Mehka Gaya Koi,
Hum To Anjaane Rasto Par Chal Rahe The
Achanak Hi Pyaar Ka Matlab Shikha Gaya Koi


Ab Na Koshish Karenge Unhe Bulane Ki

Posted: 05 Aug 2009 09:59 PM PDT

Ab Na Koshish Karenge Unhe Bulane Ki,
Jinki Adat Hai Bin Baat Rooth Jaane Ki.
Vo Chahe To Bhool Jayein Humein Sapna Samaj Kar,
Magar Hamein Adat Nahin Apno Ko Dil Se Bhulane Ki.


Hum Umidon Ki Dunia Basate Rahe

Posted: 05 Aug 2009 09:56 PM PDT

Hum Umidon Ki Dunia Basate Rahe,
Vo Bhi Har Kadam Par Aazmate Rahe.
Jab Mahobbat Ke Imtihaan Mein Marna Pada,
Humne Jaan Dedi Aur Vo Kasmein Khaate Rahe


Rishto Ne Har Qadam Pe Imtehaan Liya

Posted: 05 Aug 2009 09:55 PM PDT

Rishto Ne Har Qadam Pe Imtehaan Liya,
Tanhai Ne Har Mod Pe Dhokha Diya.
Zindagi Se Phir Bhi Shikayat Nahi Kyunki,
Zindagi Ne "Aap" Jaisa Dost Bhi To Diya


Dosti Mein Choti-Choti Baaton Se Shikva Na Karna

Posted: 05 Aug 2009 09:54 PM PDT

Dosti Mein Choti-Choti Baaton Se Shikva Na Karna,
Gila Tab Karna Jab Hum Dosti Tod Dege
Kyunki Aisa Tabhi Hoga Jab Hum Ye Duniya Chod Dege.


Pyar Ne Ye Kaisa Tohfa De Diya

Posted: 05 Aug 2009 09:53 PM PDT

Pyar Ne Ye Kaisa Tohfa De Diya
Mujhko Ghumo Ne Pathar Bana Diya
Teri Yaadon Main Hi Kat Gayi Ye Umar
Kehta Raha Tujhe Kab Ka Bhula Diya


Mainey Din Raat Apne Jisski Yaad Ke Naam Kiye Hain

Posted: 05 Aug 2009 09:52 PM PDT

Mainey Din Raat Apne Jisski Yaad Ke Naam Kiye Hain
Woh To Ik Pall Bhi Mujhe Sochta Na Hoga

Jiski Tasveer Main Har Aik Shae Main Hoon Dekhta Rehta
Ik Nazzar Bhi Woh Shaks Mujhe Dekhta Na Hoga

Yeh Labb Jo Sada Osska Naam Ley Kar Mangtey Hain Duaian
Mera Naam Bhi Woh To Kabhi Laita Nahin Hoga

Osse Sadain Daita Rehta Hai Yeh Pagal Dil Mera
Aik Pukar Bhi Kabhi Dil Oska Mujhe Daita Nahi Hoga

Meri Ankhain Dekhti Hain Har Pall Rasta Oska
Woh To Youn Pall Pall Mera Inteezar Karta Na Hoga

Jiskey Liye Mera Bhawla Mann Tarasta Rehta Hey
Shabb-E-Tanhai Main Meri Terah Woh Tarapta Nahin Hoga

Haathon Ki Lakeeron Main Ossko Dekha Hey Mainey
Kabhi Bhi Mujhe Woh Shaks Aisey Talaash Karta Na Hoga

Osska Ehsas Beh Raha Hey Mujh Main Laho Ki Manidd
Mujhe Woh Apne Ansoun Main Bhi Pata Nahin Hoga

Apney Naam Ko Main Osske Naam Se Jor Daita Hon
Merey Aur Osske Rishtey Ka Ossey Kheyal Bhi Ata Nahi Hoga

Jissko Mana Hey Mainey Sabab Mussarat-E-Zindagi
Woh To Mujhe Apna Dukh Bhi Maanta Nahin Hoga

Ban Chukka Hai Woh Meri Manzil Meri Taqdeer
Kabhi Bhi Juda Rastoon Ko Meri Terah Woh Aik Karta Nahi Hoga

Itni Door Hey Mujhse Phir Bhi Merey Kitney Kareeb Hey
Oss Ne To Kabhi Mujhe Mehsoos Hi Nahi Kia Hoga

Tumne To Wasi Apney Wajood Ko Rang Dia Hey Oski Chah Main
Kabhi Socha Hai Tumne Woh Shaks Tumse Pyar Karta Bhi Hoga?


No comments:

Post a Comment