Sunday, August 16, 2009

Shers.In

Shers.In


Watan Hamara Misaal Mohabaat Ki

Posted: 15 Aug 2009 06:04 AM PDT

Watan Hamara Misaal Mohabaat Ki
Torta Hai Deewaar Nafrat Ki
Meri Khush Naseebi
Mili Zindagi Is Chaman Mein Bhula Na
Sake Koi Iski Khushbu Saaton Janam Mein


Aao Desh Ka Samman Kare

Posted: 15 Aug 2009 06:03 AM PDT

Aao Desh Ka Samman Kare
Shahido Ki Shahadat Yaad Kare
Ek Baar Fir Se Rashtra Ki Kamaan
Hum Hindustani Apne Haath Dhare
Aao Swantantra Diwas Ka Maan Kare


Aajad Ki Kabhi Shaam Nahi Hone Denge

Posted: 15 Aug 2009 06:02 AM PDT

Aajad Ki Kabhi Shaam Nahi Hone Denge
Sahidon Ki Kurbani Badnaam Nahi Hone Denge
Bachi Ho Jo 1 Bund Bhi Garam Lahu Ki
Tab Tak Bharat Mata Ka Aanchal
Nilaam Nahi Hone Denge


Halki Si Dhoop Barsat Ke Baad

Posted: 15 Aug 2009 06:01 AM PDT

Halki Si Dhoop Barsat Ke Baad
Thori Si Khushi Har Baat Ke Baad
Isi Tarah Mubarak Ho Aap Ko
Jashan-E-Azadi 2 Din Ke Baad


Watan Hamara Aise Na Chor Paye Koi

Posted: 15 Aug 2009 05:59 AM PDT

Watan Hamara Aise Na Chor Paye Koi
Rishta Hamara Aise Na Tod Paaye Koi

Dil Hamare Ek Hai Ek Hai Hamari Jaan
Hindustan Hamara Hai Hum Hai Iski Shaan

Jaan Luta Denge Watan Pe Ho Jayenge Qurban
Isliye Hum Kehte Hai Mera Desh Mahan


Har Aahat Ehsaas Hamara Dilaayegi

Posted: 15 Aug 2009 05:48 AM PDT

Har Aahat Ehsaas Hamara Dilaayegi
Har Hawa Khushbu Hamari Laayegi
Hum Dosti Aisi Nibhayenge Yaara
Ki Hum Na Honge Aur Humhari Yaad Tumhe Sataayegi


Milte Hai Ache Dost Sirf Khushnasibo Ko

Posted: 15 Aug 2009 05:48 AM PDT

Milte Hai Ache Dost Sirf Khushnasibo Ko
Isliye Hamari Kismat Se Jalna Chod Do
Tamanna Ho Agar Hamare Dost Se Milne Ki
To Jakar Aaina Dekh Lijiye


Acha Dost Hath Aur Ankh Ki Tarhan

Posted: 15 Aug 2009 05:47 AM PDT

Acha Dost Hath Aur Ankh Ki Tarhan Hota Hai
Jab Haath Ko Taqleef Hoti Hai To Ankh Roti Hai
Aur Jab Ankh Roti Hai To Hath Ansoo Ponchta Hai


Dard Ko Chupate Hain Hum

Posted: 15 Aug 2009 05:45 AM PDT

Dard Ko Chupate Hain Hum
Dard Dikhane Ki Adat Nahi

Khud Ashk Pi Jate Hain Hum
Dusron Ke Ashk Bahane Ki Adat Nahi

Humari Dil Ki Awaz To Puhach Jati Hai Un Ke Dar Pe
Per Shayad Unhe Dil Tak Puhchane Ki Adat Nahi

Na Kisi Ki Hamdardi Na Kisi Ka Pyar Chahiye
Per Yun Nafrat Main Jal Janey Ki Adat Nahi

Ashk To Aaj Bhi Un Ki Yaad Main Aate Hain
Per Kisi Ke Peechay Par Janey Ki Adat Nahi

Rona To Ab Adat Si Hai Humari
Per Ansoon Ke Selab Main Doob Janey Ki Adat Nahi

Kash Nafrat Hum Bhi Dhar Lete Unki Tarah
Per Yun Pathar Dil Ban Janey Ki Adat Nahi

Bhulana To Chahte Hain Hum Bhi Unhe
Per Yun Kisi Ki Yaden Mitane Ki Adat Nahi


Mitti Ki Anokhi Murat Ho Tum

Posted: 15 Aug 2009 05:42 AM PDT

Mitti Ki Anokhi Murat Ho Tum
Zindagi Ki Ek Zarurat Ho Tum
Phool To Khubsurat Hote Hai
Phoolo Se Bhi Khubsurat Ho Tum


Na Khwabon Mein Dekha, Na Nazaron Mein Dekha

Posted: 15 Aug 2009 05:42 AM PDT

Na Khwabon Mein Dekha, Na Nazaron Mein Dekha
Hazaron Mein Ek Humne Tum Hi Ko Dekha
Ghum Dene Wale To Har Pal Hai Yahan
Har Pal Khushi Dene Walon Mein Ek Aap Hi Ko Dekha


Woh Zindagi Hi Kya Jisme Mohabbat Nahi

Posted: 15 Aug 2009 05:41 AM PDT

Woh Zindagi Hi Kya Jisme Mohabbat Nahi
Woh Mohabbat Hi Kya Jisme Yaadein Nahi
Woh Yaadein Kya Jisme Tum Nahi
Aur Woh Tum Hi Kya Jiske Saath Hum Nahi


Apko Paakar Ab Khona Nahi Chahate

Posted: 15 Aug 2009 05:41 AM PDT

Apko Paakar Ab Khona Nahi Chahate
Itna Khush Ho Ker Ab Rona Nahi Chahate
Yeh Aalam Hai Hamara Aapki Judai Se
Aankho Mein Neend Hai Magar Sona Nahi Chahate


Hum Aapko In Aankho Mein

Posted: 15 Aug 2009 05:39 AM PDT

Hum Aapko In Aankho Mein
Yun Basa Liya Karte Hai
Ja Sake Jaha Tak Hamari Ye Nazar
Aapko Har Jagha Paa Liyaa Karte Hai


Aankhon Ki Zuban Wo Samaj Nahi Pate

Posted: 15 Aug 2009 05:38 AM PDT

Aankhon Ki Zuban Wo Samaj Nahi Pate
Honth Magar Kuch Keh Nahi Pate
Apni Bebasi Kis Tarah Kahen
Koi Hai Jinke Bina Hum Reh Nahi Pate


Raat Gujri Phir Mehekti Subah Ayi

Posted: 15 Aug 2009 05:38 AM PDT

Raat Gujri Phir Mehekti Subah Ayi
Dil Dhadka Phir Tumhari Yaad Ayi
Aanko Ne Mehsoos Kiya Uss Hawa Ko
Jo Tumhe Chhukar Hamare Pass Ayi


Rishton Ki Kitaab Ka Cover Hai Dosti

Posted: 15 Aug 2009 05:34 AM PDT

Rishton Ki Kitaab Ka Cover Hai Dosti,
Dosti Se Bani Hai Hamari Hasti,
Khoon Ke Rishton Ki Baat Aap Karte Hain,
Hamare Liye To Zindagi Hai Aap Ki Dosti.


Dost Dost Se Khafa Nahi Hota

Posted: 15 Aug 2009 05:33 AM PDT

Dost Dost Se Khafa Nahi Hota
Pyaar Pyaar Se Juda Nahi Hota
Bhula Dena Meri Kamion Ko
Kyon Ki Insaan Kabhi Khuda Nahi Hota


Ye Safar Dosti Ka Kabhi Khatm Na Hoga

Posted: 15 Aug 2009 05:33 AM PDT

Ye Safar Dosti Ka Kabhi Khatm Na Hoga
Doston Se Pyaar Kabhi Kam Na Hoga
Door Rehkar Bhi Jab Rahegi Mehek Iski
Hamein Kabhi Bichadne Ka Ghum Na Hoga


Hum Wo Nahi Jo Tujhe Ghum Mein Chod Denge

Posted: 15 Aug 2009 05:32 AM PDT

Hum Wo Nahi Jo Tujhe Ghum Mein Chod Denge
Hum Wo Nahi Jo Tujhse Naata Tod Denge
Hum To Tere Wo Dost Hain
Jo Agar Teri Saasein Band Ho
To Apni Saasein Jod Denge


No comments:

Post a Comment