Sunday, August 23, 2009

Shers.In

Shers.In


Hum Ji Rahe Hai Sirf Tumhara Didar Karke

Posted: 22 Aug 2009 05:55 AM PDT

Hum Ji Rahe Hai Sirf Tumhara Didar Karke
Saans Bhi Le Rahe Hai Tumhe Yaad Karke
Khuda Ke Paas To Ek Din Hum Bhi Jayege
Per Jayenge Tera Intzaar Karke


Jawani Ke Din Chamkile Ho Gaye

Posted: 22 Aug 2009 05:55 AM PDT

Jawani Ke Din Chamkile Ho Gaye
Aur Husn Ke Tewar Nukile Ho Gaye
Hum Izhaar Karne Mein Thode Dhile Ho Gaye
Aur Unke Haath Peele Ho Gaye


Sapno Se Dil Lagane Ki Aadat Nahi Rahi

Posted: 22 Aug 2009 05:55 AM PDT

Sapno Se Dil Lagane Ki Aadat Nahi Rahi
Har Waqt Muskurane Ki Aadat Nahi Rahi
Ye Soch Ke Ki Koi Manaane Nahi Aayega
Ab Hume Rooth Jaane Ki Aadat Nahi Rahi


Dil Todna Humari Aadat Nahi

Posted: 22 Aug 2009 05:55 AM PDT

Dil Todna Humari Aadat Nahi
Dil Hum Kissi Ka Dukhate Nahi
Bharosa Rakhna Meri Wafaon Pe
Dil Mein Bas Kar Hum Kissi Ko Bhulate Nahi


Jawaab Teri Shayari Ka

Posted: 22 Aug 2009 05:54 AM PDT

Jawaab Teri Shayari Ka
Denge Hum Shayari Mein
Naam Tera Likh Baithe Hain
Apne Dil Ki Diary Mein


Door Rehkar Bhi Yaad Karenge

Posted: 22 Aug 2009 05:54 AM PDT

Door Rehkar Bhi Yaad Karenge
Yeh Mat Sochna Ki Bhool Jayenge
Agar Dost Bankar Raas Na Aaye
To Ajnabi Ban Kar Yaad Aayenge


Ulfat Ka Aksar Yehi Dastur Hota Hai

Posted: 22 Aug 2009 05:49 AM PDT

Ulfat Ka Aksar Yehi Dastur Hota Hai
Jise Chaho Wahi Apne Se Dur Hota Hai
Dil Tutkar Bikharta Hai Is Kadar
Jaise Koi Kanch Ka Khilona Chur-Chur Hota Hai


Dosti Sachi Ho To Waqt Ruk Jata Hai

Posted: 22 Aug 2009 05:48 AM PDT

Dosti Sachi Ho To Waqt Ruk Jata Hai
Asma Lakh Uncha Ho Magar Jhuk Jata Hai
Dosti Mein Duniya Lakh Bane Rukawat
Agar Dost Sacha Ho To Khuda Bhi Jhuk Jata Hai


Baat Rakhi Dil Mein Baat Kahe Na Sake

Posted: 22 Aug 2009 05:48 AM PDT

Baat Rakhi Dil Mein Baat Kahe Na Sake
Yaad Kiya Aapko To Saans Le Na Sake
Puchha Kisine Dilko Ki Tune Pyar Kis Se Kiya
Jaante The, Phir Bhi Tumhara Nam Le Nasake


Yeh Duniya Wale Bhi Bade Ajeeb Hai

Posted: 22 Aug 2009 05:48 AM PDT

Yeh Duniya Wale Bhi Bade Ajeeb Hai
Kabhi Hamse Door To Kabhi Kareeb Hai
Dard Na Bataye To Hame Kayar Kehte Hai
Aur Dard Bata De To Hame Shayar Kehte Hai


Ek Khwab Ek Khayal Ek Haquikat Ho Tum

Posted: 22 Aug 2009 05:48 AM PDT

Ek Khwab Ek Khayal Ek Haquikat Ho Tum
Dosti Main Padne Wali Har Zarorat Ho Tum
Jisko Roz Miss Karo
Are Yaar Aisi Shaqshiyat Ho Tum


Aapko Lagta Hai Ke Humne Aapko Bhula Rakha Hai

Posted: 22 Aug 2009 05:47 AM PDT

Aapko Lagta Hai Ke Humne Aapko Bhula Rakha Hai
Aap Nahi Jaante Dil Mein Kahi Chupa Rakha Hai
Dekh Na Le In Aankhon Mein Aapko Koi
Isliye Palko Ko Bhi Zhuka Rakha Hai


Har Pal Ne Kaha Ek Pal Se

Posted: 22 Aug 2009 05:47 AM PDT

Har Pal Ne Kaha Ek Pal Se,
Pal Bhar Ke Liye Aap Mere Samne Aa Jao,
Pal Bhar Ka Saath Kuch Aisa Ho,
Ki Har Pal Tum Hi Yaad Aao.


Har Nazar Ko Ek Nazar Ki Talash Hai

Posted: 22 Aug 2009 05:47 AM PDT

Har Nazar Ko Ek Nazar Ki Talash Hai,
Har Dil Mein Chupa Ek Ehsaas Hai,
Aap Se Pyaar Yuhi Nahi Kiya Humne,
Kya Kare Hamari Pasand Hi Kuch Khaas Hai.


Geet Ki Zaroorat Mehfil Mein Hoti Hai

Posted: 22 Aug 2009 05:47 AM PDT

Geet Ki Zaroorat Mehfil Mein Hoti Hai
Pyar Ki Zaroorat Dil Mein Hoti Hai
Bin Dosti Ke Adhuri Hai Yeh Zindagi
Kyunki Dost Ki Zaroorat Har Pal Mehsus Hoti Hai


Har Rishton Ke Mukaam Nahin Hote

Posted: 22 Aug 2009 05:46 AM PDT

Har Rishton Ke Mukaam Nahin Hote
Dil Ke Rishton Ke Koi Naam Nahin Hote
Paaya Hai Aapko Dil Ki Roshni Se
Aap Jaise Dost Kisike Liye Aam Nahin Hote


Aapki Dosti Ki Ek Nazar Chahiye

Posted: 22 Aug 2009 05:46 AM PDT

Aapki Dosti Ki Ek Nazar Chahiye
Dil Hai Beghar Use Ek Ghar Chahiye
Bas Yun Hi Saath Chalte Raho Ae Dost
Yeh Dosti Hume Umar Bhar Chahiye


Dost Hai To Aansuo Ki Bhi Shaan Hoti Hai

Posted: 22 Aug 2009 05:46 AM PDT

Dost Hai To Aansuo Ki Bhi Shaan Hoti Hai
Dost Na Ho To Mahfhil Bhi Kabristaan Hoti Hai
Sara Khel To Dosti Ka Hi Hai
Warna Mayyat Aur Barat Ek Saman Hoti Hai


Lakh Dukh Uthau Mein Yun Hi Koshish Karti Rahoungi

Posted: 22 Aug 2009 05:32 AM PDT

Lakh Dukh Uthau Mein Yun Hi Koshish Karti Rahoungi
Isi Tarah Toot Kar Usko Chahti Rahoungi

Woh Yaad Na Kare Mujhko Yeh Uska Faisla Hai
Mein Khud Se Zyada Usko Yaad Karti Rahoungi

Aanson Ki Mere Koi Kimat Nahi
Uski Yaad Mein Mein Yun Hi Ashk Bahatai Rahoungi

Kabhi Toh Tadpega Woh, Kabhi Toh Woh Bhi Beqaraar Hoga
Daastan Mein Apni Usko Yun Hi Sunati Rahoungi

Zindagi Ke Kisi Mod Pe Pachtayega Woh Bhi
Mein Bhi Khuli Aankhon Se Usse Dekhti Rahoungi

Kyon Dil Lagaya Hai Moula Uss Beparwah Ke Sath
Mar Jaoungi Bas Ab Hota Nahi Jeeta Rehna


Mere Sabr Ka Na Le Imtehan

Posted: 22 Aug 2009 05:28 AM PDT

Mere Sabr Ka Na Le Imtehan
Meri Khamoshi Ko Sada Na De
Jo Tere Bagair Na Jee Sake
Use Jeene Ki Tu Dua Na De

Tu Azeez Dil-O-Nazar Ke Hai
Tu Qareeb Rag-O-Jaan Se Hai
Mere Jism-O-Jaan Ka Ye Fasla
Kahin Waqt Or Bada Na De

Tujhe Bhool Ke Na Bhula Saku
Tujhe Chah Ke Bhi Na Pa Saku
Meri Hasraton Ko Shumaar Kar
Meri Chahaton Ka Sila Na De

Wo Tadap Jo Shola-E-Jaan Me Thi
Mere Tab Badan Se Lipat Gyi
Jo Bujha Sake To Bujha Ise
Na Bujha Sake To Hawa Na De

Tujhe Gar Milein Kabhi Fursatien
Meri Shaam Phir Se Sanwar De
Jo Qatal Karna Hai To Qatal Kar
Yoon Judaiyon Ki Saza Na De


Ho Ek Aysa

Posted: 22 Aug 2009 05:26 AM PDT

हो एक ऐसा शख्स जो, मोहब्बत-ओ-वफ़ा करे
उठाए हाथ जब भी वो, मेरे लिए दुआ करे

अकेले बैठूं जो कभी मैं, खुद को सोचती हुई
तो आँखें मूंद के मेरी, वो पीछे से हंसा करे

मुझे बताए ग़लतियाँ भी, रास्ता दिखाए फिर
वो देखे बन के आइना, हरेक पल खुदा करे

हूँ जो खफा मनाए, करके भोली सी शरारतें
जो खिलखिला के हंस पडूँ, तो एकटक तका करे

हो पूरे ख्वाब कब, नहीं ये "श्रद्धा" जानती मगर
कज़ा से पहले चार दिन, खुशी के रब अता करे


Hum Zindgi Se Na Dare

Posted: 22 Aug 2009 05:20 AM PDT

Hum Zindgi Se Na Dare
Jo Jeevan Bhar Daraati Hai
Phir Maut Se Kya Daranaa
Jo Sirf Ek Baar Aati Hai

Pramod Kumar Sharma


No comments:

Post a Comment