Thursday, August 13, 2009

Shers.In

Shers.In


Is Dharti Par Paida Hokar Bhi Kyu Tum

Posted: 12 Aug 2009 06:18 AM PDT

Is Dharti Par Paida Hokar Bhi Kyu Tum
Videsho Mein Jaakar Bas Jaate Ho,
Apne Desh Ko Bhulkar Angrezo Ki Seva Karaate Ho,
Kya Isi Ko Tum Sapno Ka Bharat Batate Ho.

gandhi, subhash ne dilai azzadi
humko fir bhi alexander ko great batate ho,
shahjahan ne banaya taj mahal to kyu
statue of liberty ko dekhte reh jaate ho,
kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho.

baal hanuman tha sabse pyara fir kyu
harry potter ko sunder batate ho,
angrezi school mein padkar
hindi bolne se lajjit ho jate ho,
kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho.

mana desh ke neta chor hai
par tum khud ko kyu baiman banate ho,
kyu tum garibo ko maarkar
ameero ke pair chaatte ho,
kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho.


Kabhi Dil Ko, Kabhi Shama Ko Jalakar Roye

Posted: 12 Aug 2009 06:15 AM PDT

Kabhi Dil Ko, Kabhi Shama Ko Jalakar Roye,
Teri Yadoo Ko Seene Se Lagakar Roye
Raat Ki God Me Jab So Gyi Dunia Saari,
To Chaand Ko Tasvweer Banakar Roye


Kahi Unkahi Baaton Ki Ada Hai Dosti

Posted: 12 Aug 2009 06:14 AM PDT

Kahi Unkahi Baaton Ki Ada Hai Dosti
Har Ranjho Ghum Ki Dava Hai Dosti
Zameen Par Kami Hai Pujne Walo Ki
Varna Is Zameen Par Khuda Hai Dosti


Ishq Wahi Hai Jo Ho Ektarfa

Posted: 12 Aug 2009 06:14 AM PDT

Ishq Wahi Hai Jo Ho Ektarfa,
Izhar Aye Ishq To Khwahish Ban Jaati Hai.
Hai Agar Ishq To Aankho Mein Dekho ,
Zuban Kholne Se Ye Numaish Ban Jaati Hai.


Khushbu Ki Tarah Aap Ke Paas Bikhar Jayenge

Posted: 12 Aug 2009 06:13 AM PDT

Khushbu Ki Tarah Aap Ke Paas Bikhar Jayenge,
Sukun Ban Kar Dil Mein Utar Jaayenge,
Mehsus Karne Ki Koshish To Kijiye.
Door Hote Huye Bhi Paas Nazar Aayenge.


Zindagi Hai Dil Hai Nadan Hai

Posted: 12 Aug 2009 06:12 AM PDT

Zindagi Hai Dil Hai Nadan Hai,
Kya Safar Hai Kya Samaan Hai,
Koi Mere Gum Ko Bhi Jhaank Kar Dekhe,
Muskuradena Bahut Aasan Hai


Waqt Ki Raahon Mein

Posted: 12 Aug 2009 06:11 AM PDT

Waqt Ki Raahon Mein Aap Bhula De Chahe Hame,
Par Hum Aapko Bhula Nahi Payenge,
Teri Dosti Ki Kasam Ae Dost,
Tu Awaaz De Sapne Mein Hum Haqeeqat Mein Chale Aayenge


Hum Bhi Zindagi Ke Har Khubsurat Rang Se

Posted: 12 Aug 2009 06:10 AM PDT

Hum Bhi Zindagi Ke Har Khubsurat Rang Se
Apni Zindagi Saza Sakte Hai
Hum Bhi Har Kisi Ke Saath Dil Se Muskura Sakte Hai
Bus Jara Dard Ko Haad Se Gujarne Toh Do Yaaron


Pyaar Aa Jaata Hai Aankhon Main Rone Se Pehle

Posted: 12 Aug 2009 06:09 AM PDT

Pyaar Aa Jaata Hai Aankhon Main Rone Se Pehle
Har Khuwab Toot Jaata Hai Sone Se Pehle
Ishq Hai Gunah Yeh Tu Samajh Gaye
Kaash Koi Rok Leta Yeh Gunah Hone Se Pehle.


Jaam Tootne Ka Bahana Na Kar

Posted: 12 Aug 2009 06:06 AM PDT

Jaam Tootne Ka Bahana Na Kar
Hum Teri Aankho Se Pee Lenge
Tu Mat Aa Lekin Aane Ka Vaada To Kar
Hum Teri Yaad Mein Jee Lenge


Main Wo Geet Hoon Jo Tere Labon Se

Posted: 12 Aug 2009 06:05 AM PDT

Main Wo Geet Hoon Jo Tere Labon Se Kabhi Juda Na Hoga
Main Tu Wo Parwana Hoon Jo Jalta RahyGa Per Uf Nahi Karay Ga
Khuwab, Ibarat, Hawa Ki Terhan Chand Bond Shama Ki Terhan
Mery Mitne Ka Sawal Nahi Kyon Ki Main Toh Mohabbat Hoon


Main Toh Wo Ahsas Hoon

Posted: 12 Aug 2009 06:03 AM PDT

Main Toh Wo Ahsas Hoon
Jo Tujh Main Laho Ban Kar Gardish Karay
Main Wo Rang Hoon Jo
Tere Dil Per Chad Jaye Tu Khabhi Na Utray


Main Sahil Per Likhi Hoi Ibaarat Nahi

Posted: 12 Aug 2009 06:01 AM PDT

Main Sahil Per Likhi Hoi Ibaarat Nahi Jo Lehron Se Meet Jay
Main Barish Ki Barsti Bund Nahi Jo Baras Ke Tham Jay
Main Koi Khuwab Nahi Jise Daikh Kar Bhula Diya Jay
Main Hawa Ka Jhonka Nahi Aya Aur Guzar Gaya
Main Chaand Nahi Jo Raat Ke Bad Dhal Gaya


Aaj Phir Ussi Chhat Pe Khadi Hun Main

Posted: 12 Aug 2009 05:59 AM PDT

Aaj Phir Ussi Chhat Pe Khadi Hun Main
Aaj Phir Ussi Shaks Ka Intzaar Kar Rahi Hun Main
Isi Mukaam Pe Mila Karte The Kabhi
Aaj Phir Uski Raah Dekh Rahi Hun Main


Jism Ke Har Kone Se

Posted: 12 Aug 2009 05:58 AM PDT

Jism Ke Har Kone Se, Khushbu Tumhari Aati Hai
Jab Bhi Tanha Hoti Hun, Yaad Tumhari Aati Hai

Dikha Kar Khawab In Aankhon Ko, De Gaye Aansun In Mein Tum
Kaise Chalka Du Yeh Aansun, In Mein Bhi To Rehte Ho Tum

Ho Gaye Tumse Juda, Kitne Badnasib Hain Hum
Rootha Humse Aaj Humara Khuda, Kitne Fakeer Hain Hum


No comments:

Post a Comment