Wednesday, October 28, 2009

Shers.In

Shers.In


Sabr Mera Aur Mera Yeh Vishwaas

Posted: 27 Oct 2009 05:55 AM PDT

Sabr Mera Aur Mera Yeh Vishwaas,
Gussa Tera Aur Teri Bewafai Ka Ehsaas,

Chhod Jana Humko Kisi Aur Ke Liye,
Bhool Na Jaana Tera Kadam Jo Thha Khaas,

Ek Tere Kadam Ne Zindagi Sabki Rula Di,
Vishwaas Ki Har Ek Kiran Bujha Di,

Bewafai Ki Woh Aandhi Barsaa Di,
Tinka Tinka Aasmaan Zameen Hila Di.


Kabhi Kisi Se Zikar-E-Judai-Mat Karna

Posted: 27 Oct 2009 05:54 AM PDT

Kabhi Kisi Se Zikar-E-Judai-Mat Karna,
Is Dil Se Kabhi Ruswai Mat Karna,
Jab Dil Uth Jaye Humse To Bata Dena,
Na Bata Kar Bewafai Mat Karna.


Cheez Bewafai Se Badh Kar Kya Hogi

Posted: 27 Oct 2009 05:53 AM PDT

Cheez Bewafai Se Badh Kar Kya Hogi,
Ghum-E-Halaat Judai Se Badh Kar Kya Hogi,
Jise Deni Ho Saza Maut Ki,
Yaar Ki Bewafai Se Badh Kar Kya Hogi.


Samja Do Apni Yaado Ko

Posted: 27 Oct 2009 05:53 AM PDT

Samja Do Apni Yaado Ko,
Wo Bin Bulaye Pas Aaya Karti Hai,
Aap To Dur Rehkar Satate Ho Magar,
Wo Pas Aakar Rulaya Karti Hai


Teri Bewafai Ka Ashiqui Ka Maatam Hai

Posted: 27 Oct 2009 05:48 AM PDT

Teri Bewafai Ka Ashiqui Ka Maatam Hai,
Zindagi Ki Raahon Mein Zindagi Ka Matam Hai,

Mujhe Dass Gaye Dekho Saanp Astino Ke,
Dushmano Ka Shikwa Kya Dosti Ka Maatam Hai,

Ro Rahe Hain Dushman Bhi Aaj Meri Mayat Par,
Aa Ke Dekha Teri Berukhi Ka Maatam Hai,

Ho Gayi Khata Humse Tum Ko Toot Kar Chaha,
Jo Hume Na Raas Aayi Us Khushi Ka Maatam Hai,

Kal Chiraag Baat-Te The Hum Saari Duniya Ko,
Aaj Khud Mere Ghar Mein Roshni Ka Maatam Hai.


Jo Phir Na Lautenge, Unka Raaste Aake Kyun Dekhe?

Posted: 27 Oct 2009 05:47 AM PDT

Jo Phir Na Lautenge, Unka Raaste Aake Kyun Dekhe?
Jo Hai Hi Nahi, Phir Kyun Unki Kami Mehsus Ho Hume?

Hum Khud Hi Apni Aarzoon Par Kafan Chadha Aaye,
Ab Namuraad-E-Alam Mein Koi Shikwa Nahi Raha,

Hum Apne Hi Aansoon Ka Sila Jo Afsano Mein Likh Aaye,
Jab Dil Hi Na Raha To Dhadakta Hai Kis Liye,

Ab Na Koi Aasre Hain Na Zindagi Se Ranjishein,
Phir Jaane Kyun Namm Hoti Hain Aankhein Jab Din Dhale,

Kyun Khatm Na Ho Jaye Bezaar Zindagi Ke Silsiley,
Ab Bann Gaye Hain Rakeeb Shaam-O-Seher Mujhse,

Phir Rone Ki Sazaa Aayi Sirf Kyun Mere Hisse,
Sashe Tumhari Hasti Hai Chandni Ke Waaste,

Phir Koi De Gaya Hai Daag Tumhare Kaaynaat Pe.


Kaash Yeh Dil Sheshe Ka Bana Hota

Posted: 27 Oct 2009 05:44 AM PDT

Kaash Yeh Dil Sheshe Ka Bana Hota,
Chot Lagti To Beshak Yeh Fanaa Hota,
Par Jab Woh Sunte Sada Is Dil Ki,
Ya Khuda Tab To Unhe Ehsaas-E-Gunah Hota.


Anjaan Thhe Ishq Ke Anjamon Se

Posted: 27 Oct 2009 05:40 AM PDT

Anjaan Thhe Ishq Ke Anjamon Se,
Naadan Dil Kar Baitha Naadani,
De Baithe Jaan Usko Jisne Na Jaani Kader Meri,
Mili Thhi Mulkaton Se Bhi Adhik Khushi,
Nilaam Huwa Dil Nilamion Ke Bich Gali Gali


Just Because Somebody Doesnt Love You

Posted: 27 Oct 2009 05:39 AM PDT

Just Because Somebody Doesnt Love You
The Way You Want Them To,
Doesnt Mean They Dont Love You
With All They Have


Barbaad Kar Gaye Woh Zindagi

Posted: 27 Oct 2009 05:37 AM PDT

Barbaad Kar Gaye Woh Zindagi Pyaar Ke Naam Pe
Bewafai Mili Hume Wafa Ke Naam Pe
Aise Zakham De Gaye Woh Dawa Ke Naam Pe
Khuda Bhi Ro Pada Meri Mohabbat Ke Anjaam Pe


Kadam – Kadam Pe Hawaon Se Taalluk Rakhna

Posted: 27 Oct 2009 05:36 AM PDT

Kadam – Kadam Pe Hawaon Se Taalluk Rakhna
Dost Ke Daur Pe Dosti Ka Asra Rakhna
Hamari Yaadon Ki Khusbu Jarur Aayegi
Bas Apne Dil Ka Darwaza Khula Rakhna


Mana Ki Tu Pardanashi Hai

Posted: 27 Oct 2009 05:05 AM PDT

Mana Ki Tu Pardanashi Hai
Main Bhi Iss Adab Ke Khilaf Nahin
In Aankhon Ka Deedaar Karne De
In Ke Bina Mera  Guzaaraa  Nahin

Pramod Kumar Sharma


Watan Nahin Chahta Ki Log

Posted: 27 Oct 2009 05:04 AM PDT

Watan Nahin Chahta Ki Log
Firkon Mein Baten Rahen
Maan Musibat Mein Ho
Bete Aapas Mein Larhte Rahen

Pramod Kumar Sharma


Duniya Kharab-Gah Nahin

Posted: 27 Oct 2009 05:02 AM PDT

Duniya Kharab-Gah Nahin
Maidan-E-Jung Hain
Har Waqt Musibaten Yahaan
Chain Kahin Nahin Hai

Pramod Kumar Sharma


Tu Khush Rahe Humesha

Posted: 26 Oct 2009 04:50 PM PDT

Tu Khush Rahe Humesha
Dil Se Dua Ye Nikle
Rab Se Dua Hai Meri
Tere Dar Pe Dum Ye Nikle


No comments:

Post a Comment