Thursday, October 8, 2009

Shers.In

Shers.In


Tumhe Jafa Se Yoon

Posted: 07 Oct 2009 05:56 AM PDT

Tumhe Jafa Se Yoon Na Baaz Aana Chahiye Thha
Abhi Kuchh Aur Mera Dil Dukhana Chahiye Thha

Taveel Raat Ke Pehloo Mein Kab Se Soye Hai
Naveed-E-Subah Tujhe Jag Jaana Chahiye Thha

Bujhe Chiragon Mein Kitne Hai Jo Jale Hi Nahi
Savaad-E-Waqt Inhe Jagmagaana Chahiye Thha

Ajab Na Thha Ke Qafas Saath Le Ke Udd Jaate
Tadapna Chahiye Thha Phadphadana Chahiye Thha

Yeh Meri Haar Ke Karya-E-Jaan Se Haara Magar
Bichhadne Wale Tujhe Yaad Aana Chahiye Thha

Tamaam Umr Ki Aasudgi-E-Visal Ke Baad
Aakhri Dhoka Tha Khana Chahiye Thha


Hum Ne Bhi Kissi Se Pyaar Kiya Thha

Posted: 07 Oct 2009 05:55 AM PDT

Hum Ne Bhi Kissi Se Pyaar Kiya Thha
Thoda Nahi Beshumar Kiya Thha
Meri To Zindagi Hi Badal Gai Jab Us Ne Kaha
Are Pagal Maine To Mazak Kiya Thha


Socha Thha Isbar Unko Bhul Jayenge

Posted: 07 Oct 2009 05:54 AM PDT

Socha Thha Isbar Unko Bhul Jayenge
Dekhkar Bhi Unko Undekha Kar Jayenge
Par Jab Jab Samne Aya Chehra Unka
Socha Isbar Dekh Le Agli Bar Bhul Jayenge


Mohabat Ke Bhi Kuch Andaz Hote Hai

Posted: 07 Oct 2009 05:54 AM PDT

Mohabat Ke Bhi Kuch Andaz Hote Hai
Jagti Ankho Mein Bhi Kuch Khwab Hote Hai
Zaroori Nahi Ki Ghum Mein Ansoo Nikle
Muskurati Ankho Mein Bhi Sailab Hote Hai


Ek Chingari Angaar Se Kam Nahi Hoti

Posted: 07 Oct 2009 05:53 AM PDT

Ek Chingari Angaar Se Kam Nahi Hoti
Ek Saadgi Sringar Se Kam Nahi Hoti
Yun To Apni Apni Soch Ka Fark Hai
Varna Dosti Bhi Pyaar Se Kam Nahi Hoti


Aapko Mujhse Gila Hota Na Shikwa Hota

Posted: 07 Oct 2009 05:51 AM PDT

Aapko Mujhse Gila Hota Na Shikwa Hota
Meri Majboori Ko Gar Aapne Samjha Hota

Dard Ki Yaad Mein Bhi Dard Ye Behtar Hota
Aapko Mujhse Gila Hota Na Shikwa Hota

Meri Majboori Ko Gar Aapne Samjha Hota
Apne Zakhmo Ka Hisaab Na Rakha Hota

Khwaab Jo Humne Dekhe Thhe Sab Sach Hote
Sochiye Gar Aisa Hota To Kaisa Hota


Jo Karta Hai Tumse Pyaar

Posted: 07 Oct 2009 05:49 AM PDT

Jo Karta Hai Tumse Pyaar
Vohi Deta Hai Taklif Hazaar

Uske Dil Mein Hota Hai
Tumhari Har Baat Ke Liye Ikraar

Karo Tum Chahe Us Se Kitna Bhi Inkaar
Lagegaa Wo Tumhe Pyaara Har Baar

Rooth Jaoge Toh Manayega Wo
Har Baat Par Tumse Karega Takraar

Par Ek Baar Us Se Keh Kar Dekhna
Zindagi Bhar Karega Tumhara Intezaar

Tumhare Har Dukh Ko Apnakar
Dega Tumhe Khushiyaan Hazaar

Karega Tumhari Hifazat Kuchh Vaise Hi
Jaise Phulon Ki Hifajat Kaante Karte Hai Har Baar


Door Se Dikhate Hai Rasta Sabhi

Posted: 07 Oct 2009 05:48 AM PDT

Door Se Dikhate Hai Rasta Sabhi
Do Kadam Saath Koi Chalta Nahin
Duniya Jalati Hai Is Dil Ko Dost
Khud Shonk Se Koi Jalta Nahin


Jo Chala Gya Mujhe Chod Ke

Posted: 07 Oct 2009 05:48 AM PDT

Jo Chala Gya Mujhe Chod Ke
Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka

Wohi Dorian Wohi Fasle Main
Kabhi Na In Ko Mita Saka.

Kya Use Bhi Mujh Se Pyar Thha
Ya Tabussum Us Ka Shuar Thha

Wo Koi Ajib Sawal Thha
Jo Meri Samajh Mein Na Aa Saka

Meri Zindagi Ka Sakoon Thha
Wo Mere Dil Ka Ik Janon Thha

Meri Bandagi Mera Pyar Thha
Yehi Bat Na Main Bata Saka

Yehi Sochta Thha Main Raat Bhar
Wo Kabhi Mile Ga Jo Raah Par

To Karon Ga Us Se Shikaitain
Wo Mila To Lab Na Hila Saka

Zaroon


Families Are Created Out Of Love

Posted: 07 Oct 2009 05:46 AM PDT

Families Are Created Out Of Love
And Live Within The Cup Of Love’s Large Hands.

No Momentary Pain Can Love Remove
Or Taint The Trust Of One Who Understands.

We Live At Times At Odds With Those Who Love Us,
Colliding In Our Anger Like Great Waves,

Refusing To Have Anyone Above Us
Nor Willing To Give Up What Passion Craves.

But Anger Is A Storm We Know Will Pass,
And Freedom Is The Nature Of The Will.

We Run Like Wild Horses Through The Grass
Yet Know We Are Constrained By Hunger Still.

Sometimes, Obsessed With Losses And With Gains,
We Turn Towards Home And Find That Love Remains.


Dard Badh Kar Bayaan Na Ho Jaye

Posted: 07 Oct 2009 05:46 AM PDT

Dard Badh Kar Bayaan Na Ho Jaye
Yeh Zameen Aasmaan Na Ho Jaye

Dil Mein Dooba Hua Jo Nashtar Hai
Mere Dil Ki Zuban Na Ho Jaye

Dil Ko Lene Dijiye Jo Lena Hai
Phir Yeh Sauda Giraan Na Ho Jaye

Aah Kijiye Magar Lateed Tareen
Lab Tak Aa Kar Duwa Na Ho Jaye


Behold The Mother With Her Newborn Child

Posted: 07 Oct 2009 05:45 AM PDT

Behold The Mother With Her Newborn Child!
An Icon Of A Hope That Never Dies.

Death May Label All We Cherish Lies,
Yet This Love Lies Too Deep To Be Defiled.

We Clear An Inner Field Where Fate Has Smiled,
Letting Play The Pleasures Of Surmise,

Holding Back All Contrary Replies,
As Though Our Thoughts Might Turn The Winters Mild.

Despite The Well-Known Travesties Of Time,
Each Time A Child Is Born We Dream Anew,

For Only Thus Our Losses Are Regained.
Though We Must Share The Destiny Of Slime,

No Passion In Our Palette Is More True
Than That Which Cradles Innocence Unstained


Raahe Dushbaar Se Guzro To Khabar Kar Dena

Posted: 07 Oct 2009 05:36 AM PDT

Raahe Dushbaar Se Guzro To Khabar Kar Dena,
Ghum Ke Majhdaar Mein Utro To Khabar Kar Dena,
Hum Chale Aayenge Daireena Mohabbat Thaire,
Tum Agar Toot Kar Bikhro To Khabar Kar Dena.

Malik


Tera Pyar Teri Wafa Hi Kaafi Hai

Posted: 07 Oct 2009 05:35 AM PDT

Tera Pyar Teri Wafa Hi Kaafi Hai
Tamam Umr Ye Aasra Hi Kaafi Hai
Or Jahan Milo Milkar Muskra Dena
Mere Jeene Ke Liye Ye Silsila Hi Kafi Hai

Malik


Koi Tung Dil Koi Sang Dil

Posted: 07 Oct 2009 05:34 AM PDT

Koi Tung Dil Koi Sang Dil
Koi Dil Darya Hai
Aajaye Jis Pe Dil,Wahi Manjoor
Fuzool Bhatkaav Hai

Pramod Kumar Sharma


No comments:

Post a Comment