Wednesday, October 14, 2009

Shers.In

Shers.In


Kadam Kadam Pe Hai Dhokhe

Posted: 13 Oct 2009 05:19 AM PDT

Kadam Kadam Pe Hai Dhokhe
Vishwaas Bahoot Door Hai
Na Karna Tum Bewafai Unse
Jo Dil Ke Kareeb Hai.


Duniya To Duniya Hai

Posted: 13 Oct 2009 05:18 AM PDT

Duniya To Duniya Hai
Apne Bhi Beech Raste Mein Chhod Jate Hain

Hum Ne Jis Par Bharosa Kiya Usi Ne Rulaya Hai
Zindagi Samajh Kar Pyaar Kiya Jise

Usi Ne Bewafai Ki Humse


Ek Saal Purana Hai Yeh Kissa Hamara

Posted: 13 Oct 2009 05:17 AM PDT

Ek Saal Purana Hai Yeh Kissa Hamara
Paa Liya Thha Unke Pyaar Ka Sahara

Naa Dekha Phir Kabhi Piche Mudkar Dobara
Kismat Ne Lekin Aisa Chakkar Ghumaya

Toot Gaya Mehalon Ka Woh Ghar Hamara
Naa Saathi Raha, Naa Sahara Raha,

Sheesh Mahal Ka Sapna Adhura Hi Reh Gaya.


Woh Chale Gaye Humse Itni Door Ke

Posted: 13 Oct 2009 05:16 AM PDT

Woh Chale Gaye Humse Itni Door Ke,
Mudkar Phir Kabhi Naa Dekha Hume.

Hum Reh Gaye Raha Takte Unki,
Woh Naye Jahan Mein Ghum Ho Gaye.

Shayad Phir Kabhi Naa Ho Mulakat Unse,
Phir Bhi Dil Ki Yahi Dua Hai.

Woh Khush Rahe Us Jahan Mein,
To Kya Hua Agar Hum Is Jahan Mein Tadapte Rahe.


Kabhi Raaste Juda Ho Jate Hain

Posted: 13 Oct 2009 05:15 AM PDT

Kabhi Raaste Juda Ho Jate Hain
Kabhi Log Khafa Ho Jate Hain
Hum To Sabse Wafa Karte Hain
Par Jaane Kyun Log Bewafa Ho Jate Hain


Khoye Hain Hum Jinki Yaadon Mein

Posted: 13 Oct 2009 05:15 AM PDT

Khoye Hain Hum Jinki Yaadon Mein,
Jane Woh Kahan Hai,

Kaise Samjhaye Hum Dil Ko,
Saathi Woh Bewafaa Hai.

Jinhe Chaha Thha Humne,
Jaan Se Bhi Badhkar.

Yun Hata Diya Hume,
Jaise Raah Pade Koi Pathar.


Yun Dhoka Mila Hai Pyar Mein Ke

Posted: 13 Oct 2009 05:14 AM PDT

Yun Dhoka Mila Hai Pyar Mein Ke
Jeete Jee Hum Mar Gaye

Naa Jaane Kya Bhool Hui Thhi Humse
Woh Beech Raah Se Hi Chale Gaye

Bharosa Kiya Thha Jispar Humne
Saathi Majhdhar Mein Hi Chhod Gaye


Raaste Khud Hi Tabahi Ke Nikale Humne

Posted: 13 Oct 2009 05:13 AM PDT

Raaste Khud Hi Tabahi Ke Nikale Humne
Kar Diya Dil Kisi Patthar Ke Hawale Humne
Haan! Hume Maalum Hai Kya Cheez Hai Mohabbat Yaaro
Apna Hi Ghar Jala Ke Dekhe Hain Ujjale Humne


Naksh Kuch Mitte Rahe Kuchh Suratein Banti Rahi

Posted: 13 Oct 2009 05:11 AM PDT

Naksh Kuch Mitte Rahe Kuchh Suratein Banti Rahi
Ranj Ki Beshi Se Kabhi Raahatein Banti Raheen
Mera Sarmaayaa Umeedon Ke Sivaa Kuchh Bhi Na Thha
Kuch To Yaadein Ban Gayi Kuchh Hasratein Banti Rahi


Woh Hamare Nahi To Kya Ghum Hai

Posted: 13 Oct 2009 05:10 AM PDT

Woh Hamare Nahi To Kya Ghum Hai
Hum To Unhi Ke Hain Yeh Kya Kam Hai
Na Ghum Kam Hain Na Aansu Kam Hai
Dekhte Hain Rulane Wale Mein Kitna Dam Hai


Dosti Aur Majboori Dono

Posted: 13 Oct 2009 05:09 AM PDT

Dosti Aur Majboori Dono
Ek Sath Nahin Chalti
Ye Wo Shamma Hai Jo Aandhion
Ki Parwah Nahin Karti

Pramod Kumar Sharma


Etibar Bhi Unhi Pe Keejiye

Posted: 13 Oct 2009 05:08 AM PDT

Etibar Bhi Unhi Pe Keejiye
Jin Mein Jazbaat Ho
Aise Pedon Se Kya Haasil
Jin Mein Khaar Hi Khaar Hon

Pramod Kumar Sharma


Nasha Hum Kiya Karte Hai

Posted: 13 Oct 2009 05:06 AM PDT

Nasha Hum Kiya Karte Hai,
Ilzaam Sharab Ko Diya Karte Hai,
Kasur Sharab Ka Nahi Unka Hai,
Jinka Chehra Hum Har Jaam Mein Talash Kiya Karte Hai.


Kitna Roya Hoga Aasman

Posted: 13 Oct 2009 05:05 AM PDT

Kitna Roya Hoga Aasman
Jamin Ke Ghum Dekh  Ke
Bhar Diye Saare Samunder
Nayano Ki Khari Dhaar Se

Pramod Kumar Sharma


At Night At The Sea

Posted: 13 Oct 2009 05:04 AM PDT

At Night At The Sea.
When There You Will Be.

In The Wind You And Who,
You Will Dance With The Wind

When The Start Never End
With The Waves Both Flow,

Dropp Me Back To The Rain
Keep With You The Love’s Chain

Then Back Me To The Bow,
The Amazing One Are You.

Water Me And The Buds.
Teach The Buds How To Grow,

Your Words Like The Touch,
Your Touch Like The Dew,


No comments:

Post a Comment