Thursday, October 22, 2009

Shers.In

Shers.In


Jab Mujhe Chod Ke Ek Din

Posted: 21 Oct 2009 05:38 AM PDT

Jab Mujhe Chod Ke Ek Din Tu Chali Jaayegi
Kasam Khuda Ki Mujhe Teri Yaad Bahut Aayegi
Jab Kabhi Lagegi Thokar Tere Patthar Dil Ko
Tab Ja Kar Kahin Tu Apne Kiye Pe Pachhtayegi


Aaj Kisi Ko Raste Mein Dekha

Posted: 21 Oct 2009 05:37 AM PDT

Aaj Kisi Ko Raste Mein Dekha
Bahut Thha Shramsaar Usse Jo Dekha

Main Aayi Thhi Jiske Kadam Se Kadam Milane
Usse Aab Nahi Apne Saath Dekha

Woh Shayad Intzaar Na Hai Kar Saka
Jise Tadpate Hume Din Raat Dekha

Hui To Na Thhi Mujhse Khata Doston
Phir Kyun Uss Ko Hai Iss Tarah Khafa Dekha


Tum Pucho Or Main Na

Posted: 21 Oct 2009 05:35 AM PDT

Tum Pucho Or Main Na
Bataun Aise Tu Halaat Nahi
Ek Zara Sa Dil Toota
Hain Or Tu Koi Baat Nahi

Kis Ko Khaber Thhi Sanwle
Badal Bin Berse Ud Jatay Hain
Sawan Aya Lakin Apni
Kismat Main Bersaat Nahi

Toot Giya Jab Dil Tu Phir Ye
Saans Ka Naghma Kia Maani
Goonj Rahi Hain Kion
Shehnayee Jab Koi Baraat Nahi

Ghum Ke Andheray Main Tujh Ko
Apna Saathi Kion Samjhoon
Too Phir Too Hain Mera Tu
Saya Bhi Mere Saath Nahi

Mana Jeewan Main Aurat
Aik Baar Muhabbat Kerti Hain
Lakin Mujh Ko Ye Bata De
Kia Too Aurat Zaat Nahi

Khatam Hua Mera Afsana
Ab Ye Ansoo Poonch Bhi Lo
Jiss Main Koi Tara Chamkay
Aaj Ki Raat Wo Raat Nahi

Mere Ghumgeen Honay Per
Ehbaab Hain Youn Heraan Qateel
Jesay Main Pather Hoon
Meray Seenay Jazbaat Nahi


Na Jane Zindagi Hame Kaha Le Aayi Hai

Posted: 21 Oct 2009 05:32 AM PDT

Na Jane Zindagi Hame Kaha Le Aayi Hai
Aaj Phir Unki Yaad Aai Hai
Betab Rehti Hai Ankhe Jinke Didar Ke Liye
Unhi Ne Hame Tohfe Mein Di Yeh Tanhai Hai


Hamari Yaari Ka Aisa Sila Diya

Posted: 21 Oct 2009 05:30 AM PDT

Hamari Yaari Ka Aisa Sila Diya,
Jisne Hasana Sikhaya Ussi Ko Rula Diya,
Yaad Rahenge Aapke Diye Saare Ghum,
Hamari Di Khushion Ko To Aapne Kab Ka Bhula Diya.


Barbaad Kar Gaye Woh Zindagi

Posted: 21 Oct 2009 05:29 AM PDT

Barbaad Kar Gaye Woh Zindagi Pyaar Ke Naam Pe
Bewafai Mili Hume Wafa Ke Naam Pe

Aise Zakham De Gaye Woh Dawa Ke Naam Pe
Khuda Bhi Ro Pada Meri Mohabbat Ke Anjaam Pe

Kadam – Kadam Pe Hawaon Se Taalluk Rakhna
Dost Ke Daur Pe Dosti Ka Asra Rakhna

Hamari Yaadon Ki Khusboo Jarur Aayegi
Bas Apne Dil Ka Darwaza Khula Rakhna


Ek Muddat Main Chup Raha Hoon

Posted: 21 Oct 2009 05:28 AM PDT

Ek Muddat Main Chup Raha Hoon Zamaney Ke Liye
Ab To Aaja Tu Mujhe Yaar Mana Ne Ke Liye

Jab Bhi Sunta Hoon Sir-E-Aarsh Tere Aaney Ka
Phool Chunta Hoon Rastoon Main Bichhaney Ke Liye

Tu Keh Ke Dekh Ek Dafa Main Torr Laounga
Chand Tarey Bhi Teri Maang Sajaney Ke Liye

Tujhe Se Bichhra To Kisi Per Na Bharoosa Aaya
Werna Her Shakhes Mila Dost Bananey Ke Liye

Jaan Jaow Gay Kisi Sham Meri Ulfat Ko
Per Na Paow Gay Mujhe Pyaar Jataney Ke Liye

Teri Dunya Se Bhut Durr Chala Aaya Hoon
Phir Bhi Ek Umar Chahta Hoon Bhulaney Ke Liye

Koun Khurram Kisi Ka Dard Baant Sekta Hai
Sab Hain Hum Dard Magar Rasem Nibhaney Ke Liye


Jo Na Mil Sake Wohi Bewafa

Posted: 21 Oct 2009 05:26 AM PDT

Jo Na Mil Sake Wohi Bewafa
Ye Bari Ajeeb Si Baat Hai

Jo Chala Gaya Mujhe Chod Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai

Kare Pyar Lub Pay Gila Na Ho
Ye Kisi Kisi Ka Naseeb Hai

Ye Karam Hai Os Ka Jafa Nahe
Woh Juda Bhi Reh Ker Kareeb Hai

Wohi Aankh Hai Mere Ru Ba Ru
Ussi Haath Main Mera Haath Hai

Mera Naam Tak Jo Na Le Saka
Jo Mujhe Qaraar Na De Saka

Jise Ikhtiyar To Thha Magar
Mujhe Apna Pyar Na De Saka

Wohi Shakhs Meri Talaash Hai
Wohi Dard Meri Hayat Hai

Jo Na Mil Sake Wohi Be-Wafa
Ye Bari Ajeeb Si Baat Hai

Jo Chala Gaya Mujhe Chod Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai


Dil-E-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai

Posted: 21 Oct 2009 05:23 AM PDT

Dil-E-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai
Aakhir Iss Dard Ki Dawa Kya Hai

Hum Hain Mushtaq Aur Woh Baezaar
Ya-Ilaahi Ye Maajra Kya Hai

Jab Ke Tujh Bin Nahi Koi Maujood
Phir Ye Hangaama Aye Khuda Kya Hai

Hum Ko Unsay Hai Wafa Ki Umeed
Jo Nahi Jaantay Wafa Kya Hai

Jaan Tum Per Nisaar Karta Hon
Main Nahi Jaanta Duaa Kya Hai

Main Bhi Mooh Main Zabaan Rakhta Hoon
Kaash Poocho Mudda Kya Hai

Haan Bhala Kar Tera Bhala Hoga
Aur Darwesh Ki Sada Kya Hai

Main Ne Maanaa Ke Kuch Nahi Ghalib
Muft Haath Aaye Tou Bura Kya Hai


Yaadon Ke Samunder Se Baahar Aaun

Posted: 21 Oct 2009 05:09 AM PDT

Yaadon Ke Samunder Se Baahar Aaun,
To Mein Tujhe Koi Geet Sunaun.

Sapnon Ki Duniya Hai Bahut Darawni,
Ye Sapne Tootein To Mein Geet Sunaun.

Kis Ne Kaha Thha Ki Saaj Bajaa,
Kuch Sunai De To Mein Geet Sunaun.

Zindgi Chaurahe Pe Be-Rang Khadi Hai,
Koi Rang Aaye To Main Geet Sunaun.

Pramod Kumar Sharma


Madad Karo Kisi Ki Itni

Posted: 21 Oct 2009 05:05 AM PDT

Madad Karo Kisi Ki Itni
Ki Wo Sambhal Jaye
Khud Bhi Pairon Chalane Lage
Auron Ko Bhi Chalaye

Pramod Kumar Sharma


Hum Wo Gulab Hai Jo Toot Kar Bhi

Posted: 21 Oct 2009 05:04 AM PDT

हम वो गुलाब है जो टूट कर भी मुस्कान छोड़ जाते हैं,
दुसरों के रिश्ते बनाते फिरते हैं और खुद तन्हा रह जाते हैं ।

दुनिया के प्रेम प्रसंगो में हम गुलाबों को टूटना हीं पड़ता है,
और हमे देने वाले हर प्रेमी को झुकना हीं पड़ता है,

कभी हमे फरमाइश कभी नुमाइश बना दिया,
जी चाहा ज़ुल्फों में लगाया,जी चाहा सेज़ पे सज़ा दिया,

मेरे तन को छेड़ कर , दीवाने कैसे मचल जाते हैं,
दुसरों के रिश्ते बनाते फिरते हैं और खुद तन्हा रह जाते हैं ।

बात अभी इतनी होती तो क्या बात थी,
पर अभी और भी काली होने वाली रात थी,

मेरे अरमानों को कुचल कर इत्र बना दिया,
और दिखावटी शिशियों में भर कर सजा दिया,

हम मर कर भी साँसों में महक छोड़ जाते है,
दुसरों के रिश्ते बनाते फिरते हैं और खुद तन्हा रह जाते हैं

Vishnu Khandelwal


Jis Din Da Tu Supne Vich Auna Chad Dita

Posted: 21 Oct 2009 04:56 AM PDT

Jis Din Da Tu Supne Vich Auna Chad Dita
Us Din Da Asin Sauna Chad Dita

Jo Karande Ne Tere Naal Hoyian Mulakatan Nu Yaad
Asin Una Sajna Naal Hath Milauna Chad Dita

Hun Tan Daru Di Botal Hi Nibahu Yaari
Kyonki Asin Sohniyan Shaklan Walean Naal Pyaar Puna Chad Dita


No comments:

Post a Comment