Saturday, October 17, 2009

Shers.In

Shers.In


Dur Jakar Bhi Unse Dur Na Ja Sake

Posted: 16 Oct 2009 06:13 AM PDT

Dur Jakar Bhi Unse Dur Na Ja Sake,
Kitne Roye Ki Kisi Ko Bata Na Sake,
Dard Ye Nahi Ki Wo Hame Na Mil Sake,
Dard Ye Hai Ki Ham Unhe Bhula Na Sake.


Dill To Woh Hai Jisay Koi Jaan Nahi Skta

Posted: 16 Oct 2009 06:11 AM PDT

Dill To Woh Hai Jisay Koi Jaan Nahi Skta
Dill Mein Kya Hai Koi Phechan Nahi Skta

Shayeron Ne Di Hai Isay Sheshey Se Tashbi
Hakikat To Ye Hai Ke Ye Shesha Bhi Nahi

Sheshay Ke Tutnay Se Shor Sunayi Deta Hai
Sab Ko Pata Chalta Hai Sab Ko Khabar Hoti Hai

Dil Ko Janay Woh, Jano Tum Ya Hum
Kyon Karte Hain Is Par Yun Itnay Sitam

Dil To Sabhi Tod Dete Hain
Todte Huye Ye Kyon Nahi Sochte Hain

Un Ke Sine Mein Bhi Dil Dharakta Hai
Sochein Agar Woh To Kaisa Lagta Hai


Har Ek Baat Ki Vajah Nahin Hoti

Posted: 16 Oct 2009 06:09 AM PDT

Har Ek Baat Ki Vajah Nahin Hoti
Sabke Naseeb Main Fatah Nahin Hoti
Husn Walon Se Pooch Lo Tumhen Bata Denge
Sabke Liye Dil Main Jagah Nahin Hoti


Jab Bhi Baadal Garajte Hain

Posted: 16 Oct 2009 06:08 AM PDT

Jab Bhi Baadal Garajte Hain
Tab Yaad Tumhari Bahut Aati Hai

Woh Tumhara Hume Baraish Mai Bheegana
Beeghte Bheegte Najdeek Humara Aa Jana

Aur Phir Chupke Se Tumhara
Hume Apni Bahon Mai Samet Lena

Kya Yeh Haqeqat Hai Ya Hai Koi Sapna?


Har Pal Sochta Hoon Ye Kya Ho Gaya Hain

Posted: 16 Oct 2009 06:07 AM PDT

Har Pal Sochta Hoon Ye Kya Ho Gaya Hain
Zindagi Ke Is Mod Pe Ye Pyaar Kya De Gaya Hain
Jo Chalta Rahta Hain Hardum Hi Sath Mere
Andhere Mein Mera Saya Bhi Bewafa Ho Gaya


Sirf Dastak Hi Na Degi Varan

Posted: 16 Oct 2009 06:01 AM PDT

Sirf Dastak Hi Na Degi Varan
Viraaje Gi "Laxmi Ji" Aap Hi Ke Ghar Dwaar,
Lou Jahan Bhi Jalti Hai Ram Ki,
Kripa Bhi Vahin Hoti Hai Hanuman Ki


Lakhsmi Ka Haath Ho

Posted: 16 Oct 2009 05:58 AM PDT

Lakhsmi Ka Haath Ho,
Saraswathi Ka Saath Ho,
Ganesha Ka Niwas Ho,
Aapke Jeevan Mai Prakash Hi Prakash Ho


Diwali Parva Hai Khushio Ka

Posted: 16 Oct 2009 05:57 AM PDT

Diwali Parva Hai Khushio Ka
Ujalo Ka, Laxmi Ka

Is Diwali Aapki Jindagi
Khushio Se Bhari Ho

Duniya Ujalo Se Roshan Ho
Ghar Par Maa Laxmi Ka Aagman Ho


Chaand Ki Kami Poori Karne

Posted: 16 Oct 2009 05:51 AM PDT

Chaand Ki Kami Poori Karne
Sare Chiraag Aagaye
Aasman Se Teergi Na Gayi
Jamin Pe Diwali Ho Gayi

Pramod Kumar Sharma


Aangan Mein Jalta Chiraag Hai

Posted: 16 Oct 2009 05:49 AM PDT

Aangan Mein Jalta Chiraag Hai
Ya Kisi Ke Maathe Ki Bindiya
Jo Ye Jale Katar Mein To
Sharma Jaye Sindoor Ki Rekha

Pramod Kumar Sharma


Diwali Pe Dil Waali Sath Ho

Posted: 16 Oct 2009 05:47 AM PDT

Diwali Pe Dil Waali Sath Ho
Haathon Mein Uske Mera Haath Ho
Dil Mein Khushion Ki Barsaat Ho
Diwali Man Gayi Din Ho Ya Raat Ho

Pramod Kumar Sharma


Ye Jo Ladkion Ke Baal Hote Hain

Posted: 16 Oct 2009 05:45 AM PDT

Ye Jo Ladkion Ke Baal Hote Hain
Ladkon Ko Phansane Ke Jaal Hote Hain
Chush Jatin Hain Ladkon Ka Sara Khun
Tabhi To Inke Hoth Lal Hote Hain

Rani Verma


Hamara Har Lamha Chura Liya Aapne

Posted: 16 Oct 2009 05:43 AM PDT

Hamara Har Lamha Chura Liya Aapne
Aankhon Ko Ik Chand Dikha Diya Aapne
Hamein Zindagi To Di Kisi Aur Ne
Par Pyaar Itna Dekar Jeena Sikha Diya Aapne

Nitesh


No comments:

Post a Comment