Wednesday, October 21, 2009

Shers.In

Shers.In


Ek Muddat Main Chup Raha Hoon

Posted: 20 Oct 2009 06:08 AM PDT

Ek Muddat Main Chup Raha Hoon Zamaney Ke Liye
Ab To Aaja Tu Mujhe Yaar Manane Ke Liye

Jab Bhi Sunta Hoon Sir-E-Aarsh Tere Aaney Ka
Phool Chunta Hoon Raston Main Bichaney Ke Liye

Tu Keh Ke Dekh Ek Dafa Main Tod Laounga
Chaand Tarey Bhi Teri Maang Sajaney Ke Liye

Tujhe Se Bichra To Kisi Per Na Bharusa Aaya
Werna Her Shakhes Mila Dost Banaey Ke Liye

Jaan Jaow Gay Kisi Sham Meri Ulfat Ko
Per Na Paow Gay Mujhe Pyaar Jataney Ke Liye

Teri Dunya Se Bhut Dur Chala Aaya Hoon
Phir Bhi Ek Umar Chahta Hoon Bhulaney Ke Liye

Koun Khurram Kisi Ka Derd Baant Sekta Hai
Sab Hain Hum Derd Magar Rasem Nibhaney Ke Liy


Mahek Teri Aaj Bhi Meri Saanso Mein Hai

Posted: 20 Oct 2009 06:06 AM PDT

Mahek Teri Aaj Bhi Meri Saanso Mein Hai,
Har Ek Ada Teri Meri Ankhon Mein Hai,
Tu Bhale Hi Bhula De Mujhe,
Teri Jagah Aaj Bhi Meri Yaadon Mein Hai


Yehi Wafa Ka Silaah Hai

Posted: 20 Oct 2009 06:05 AM PDT

Yehi Wafa Ka Silaah Hai, To Koi Baat Nahi
Yeh Dard Tum Ne Diya Hai, To Koi Baat Nahi

Yehi Bahut Hai Ke Tum Dekhte Ho Sahil Se
Safeena Doob Raha Hai, To Koi Baat Nahi

Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Main Choopa Ke Tumko
Woh Ghar Tumne Chor Diya Hai To Koi Baat Nahi

Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Thha
Tum Hi Ne Tod Diya Hai To Koi Baat Nahi


Ishq Ke Phool Bhi Khilte Hain

Posted: 20 Oct 2009 06:04 AM PDT

Ishq Ke Phool Bhi Khilte Hain, Bikhar Jaate Hain
Zakhm Kaise Bhi Hon, Kuch Roz Main Bhar Jaate Hain

Us Khwabon Main Ab Koi Nahi Aur Hum Bhi Nahi
Itne Roz Se Aaye Hain, Chup Chaap Guzar Jaate Hain

Nurm Aawaaz, Bholi Baatain, Mohazzab Lehjaa
Pehle Baarish Main Hi, Sab Rang Utar Jaate Hain

Raasta Roke Khari Hai, Wahi Uljhan Kab Se
Koi Puche To Kahen Kya Ke Kidhar Jaate Hain


Bhoolne Waale Se Koi Keh De Zara

Posted: 20 Oct 2009 06:03 AM PDT

Bhoolne Waale Se Koi Keh De Zara
Is Tarah Yaad Aane Se Kya Faaida

Jab Mere Dil Ki Duniya Basati Nahin
Phir Khayalon Mein Aane Se Kya Faaida

Kya Kahun Aapse Kitni Umeeden Thhi
Aap Kya Badle Duniya Badal Si Gayi

Aasra De Ke Dil Tod Te Hain Mera
Is Tarah Sataane Se Kya Faaida


Daastaan-E-Ghum-E-Dil Unko Sunai Na Gayi

Posted: 20 Oct 2009 06:02 AM PDT

Daastaan-E-Ghum-E-Dil Unko Sunai Na Gayi
Baat Bigdi Kuch Aisi Ki Banai Na Gayi

Sab Ko Ham Bhool Gaye Josh-E-Junon Mein Lekin
Ek Teri Yaad Thhi Aisi Ki Bhulai Na Gayi

Ishq Par Kuch Na Chala Dida-E-Tar Ka Jadu
Usne Jo Aag Lagaa Di Woh Bujhai Na Gayi


Mana Teri Nazar Mein

Posted: 20 Oct 2009 06:00 AM PDT

Mana Teri Nazar Mein Tera Pyaar Hum Nahi,
Kaise Kahen Ki Tere Talabgaar Hum Nahi

Khud Ko Jala Ke Khak Kar Dala, Mita Diya,
Lo Aab Tumhari Raah Mein Dewaar Hum Nahi

Jis Ko Sanwara Humne Tamannaon Ke Khoon Se,
Gulshan Mein Us Bahar Ke Haqdaar Hum Nahi

Dhokha Diya Hai Khud Ko Muhobbat Ke Naam Se,
Kaise Kahen Ki Tere Gunahgaar Hum Nahi


Aye Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya

Posted: 20 Oct 2009 05:59 AM PDT

Aye Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya,
Jaane Kyun Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya

Yun To Har Shaam Ummeedon Mein Guzar Jaati Thhi,
Aaj Kuch Baat Hai, Jo Shaam Pe Rona Aaya

Kabhi Taqdir Ka Maatam, Kabhi Duniya Ka Gila,
Manzil-E-Ishq Mein Har Ghum Pe Rona Aaya

Jab Hua Zikr Zamaane Mein Mohabbat Ka,
Mujhko Apne Dil-E-Bekaam Pe Rona Aaya


Chaman Ki Bahaaron Mein Thha Aashiyana

Posted: 20 Oct 2009 05:58 AM PDT

Chaman Ki Bahaaron Mein Thha Aashiyana
Na Jaane Kahan Kho Gaya Wo Zamana

Tumhen Bhulane Ki Main Koshish Karunga
Ye Vaada Karo Ke Na Tum Yaad Aana

Mujhe Mere Mitne Ka Ghum Hai To Ye Hai
Tumhen Bevafa Kah Raha Hai Zamana

Khudara Meri Qabr Pe Tum Na Aana
Tumhen Dekh Kar Shaq Karega Zamana


Sukoon Milta Hain Tera Chehra Dekhkar

Posted: 20 Oct 2009 05:57 AM PDT

Sukoon Milta Hain Tera Chehra Dekhkar
Rozana Pyaar Mein Dil Gehra Dekhkar

Har Lamha Bitana Chahta Hoon Saath Tere
Lout Aata Hoon Ghar Per Pehra Dekhkar

Taza Rakha Kuredkar Aashiqui Ka Zakhm
Ke Yaadein Bewafa Aaye Zakhm Dekhkar

Ye Husno Ishq Siyasi Lagte Hain Bahut
Chalna Zindagi Mein Sahi Mohra Dekhkar


Dariye Ka Shore Fuzool Nahin Hota

Posted: 20 Oct 2009 05:48 AM PDT

Dariye Ka Shore Fuzool Nahin Hota
Khatron Ka Ahsaas Hai
Phoolon Mein Khushbu Yoon Hi Nahin Hoti
Pyaar Ka Andaaz Hai

Pramod Kumar Sharma


Teri Judai Wich Assi Hanju Enne Baha Laye

Posted: 20 Oct 2009 05:46 AM PDT

Teri Judai Wich Assi Hanju Enne Baha Laye
Ke Hun Ta Samundar Ve Duhai-Duhai Karda Hai
Ek Tu Hi Najane Kyun Pighali Nahi
Ethe Ta Sauraj Ve Muhn Chupae Baitha Hai

Amit


Zamane Mein Aise Bhi Log Hain Jinhen

Posted: 20 Oct 2009 05:41 AM PDT

Zamane Mein Aise Bhi Log Hain Jinhen
Do Waqt Ki Roti Naseeb Nahin,
Kuchh Aise Bhi Hain Jinse Hai Ye Zamana
Par Unhen Khud Ke Liye Waqt Nahin.


Ek Yehi Surat Bachi Hai

Posted: 20 Oct 2009 05:39 AM PDT

Ek Yehi Surat Bachi Hai Aajma Ke Dekhiye
Dusmano Ko Bhi Kabhi Samjha-Bujhake Dekhiye

Aankho Se Rangin Chassme Ko Hata Ke Dekhiye
Jindgi Ke Rang Thoda Paas Jake Dekhiye

Roz Khus Hone Mein Hai Maza Yaaro Kuch Nahi
Jayka Badle Jara Sa Ghum Bhi Kha Ke Ke Dekhiye

Aaj Badi Masumiat Se Aaine Ne Ye Kaha
Mujko Ko Bhi Kabhi Muskura Ke Dekhiye

Khusio Ke Kafille Jayenge Khud Hi Dur Tak
Ek Jara Sa Phollon Ko Hansa Kar Dekhiye

Prince Sharma


No comments:

Post a Comment