Tuesday, October 13, 2009

Shers.In

Shers.In


Royi Thhi Teri Judai Mein Bahut

Posted: 12 Oct 2009 06:12 AM PDT

Royi Thhi Teri Judai Mein Bahut,
Lekin Tujhe Na Thha Iska Koi Ghum,

Aansu Bhi Mere Thhe Aur Dard Bhi Mera,
Tujhe Na Thhi Iski Koi Samajh,

Agar Samajh Sake To Samajhna Mere Pyar Ki Qimat,
Nahi To Samajhna Mere Aansuon Ki Ahmiyat.


Hum Ruthe To Kiske Bharose

Posted: 12 Oct 2009 06:11 AM PDT

Hum Ruthe To Kiske Bharose
Kaun Hai Jo Aayega Hume Manane Ke Liye
Ho Sakta Hai Taras Aa Bhi Jaye Aapko
Par Dil Kaha Se Laau Aapse Ruth Jane Ke Liye


Tujhe Bhoolna Thhi Meri Majburi

Posted: 12 Oct 2009 06:10 AM PDT

Tujhe Bhoolna Thhi Meri Majburi,
Isme Teri Thhi Na Koi Kamjori,

Par Tu Bhoola Kuch Is Kadar Mujhe,
Jaise Intezaar Thha Is Pal Ka Tujhe,

Kya Samjhu Teri Is Bekhudi Ko,
Tu Thha Bewafaa Ya Mai Kar Na Pai Wafa.


Kasoor Na Unka Thha Na Hamara

Posted: 12 Oct 2009 06:09 AM PDT

Kasoor Na Unka Thha Na Hamara
Hum Dono Hi Rishto Ki Rasam Nibhate Rahe
Woh Dosti Ka Ehsaas Jatate Rahe
Hum Mohabbat Ko Dil Mein Chhupate Rahe


Ek Dard Hai Saare Jahan

Posted: 12 Oct 2009 06:09 AM PDT

Ek Dard Hai Saare Jahan
Or Koi Nahi Apna Yahan

Kaise Jiye Ham Yahan
Pyar Bikta Hai Jahan

De Kar Dard Karte Hai Duwa
Sada Khush Raho Tum Wahan

Bhool Jayo Ye Jahan
Or Tum Chale Jayo Wahan

Dilwale Nahi Diljale Rehte Hai Jahan


Phir Dil Mein Ek Nai Aag Jala Di Usne

Posted: 12 Oct 2009 06:08 AM PDT

Phir Dil Mein Ek Nai Aag Jala Di Usne
Dehakte Zakhmon Ko Khoob Hawa Di Usne

Mohabbat Mein Woh Bhi Hamari Pagal Hain
Har Taraf Yeh Jhooti Afwaah Udaa Di Usne

Jhoothe Khwaabon Ki Kahani Bana Di Usne
Deta Raha Woh Fareb Mohabbat Ke Naam Par

Peete Rahe Hum Zehar Wafaaon Ke Jaam Bhar
Khilti Rahi Muskurahat Uske Labon Par Har Baar

Wafa Se Chehre Pe Bewafai Saja Di Usne
Mohabbat Ki Aankh Sharm Se Jhuka Di Usne

Dil Se Nikli Ek Aah Jo Zuban Tak Aayi Nahi
Nabz Hi Khud Jab Dhadkan Ko Soon Payi Nahi

Tohmaton Ke Takiye Ko Saja Diya Hothon Par
Begunaah Laash Chattanon Mein Daba Di Usne

Mohabbat Ki Yeh Akhiri Rasm Bhi Nibha Di Usne


Adaa Unki Aur Diwane Hum Bane

Posted: 12 Oct 2009 06:07 AM PDT

Adaa Unki Aur Diwane Hum Bane,
Wafa Woh Na Kar Sake Aur Bewafa Hum Bane,
Yun To Hazaro Thhe Bheed Mein, Shukria Hai Unka,
Jo Unki Nazron Ke Nishane Hum Bane.


Tu Jaega Is Kadar Chhod Ke Mujhe

Posted: 12 Oct 2009 06:06 AM PDT

Tu Jaega Is Kadar Chhod Ke Mujhe,
Is Baat Ki Khabar Thhi Na Mujhe,

Agar Aitbar Thha To Thha Tujhpar Aur Apne Pyar Par,
Ki Tu Aaega Ek Din Lene Mujhe,

Par Hua Na Aisa Kuchh Bhi,
Na Aaya Tu Aur Na Aai Teri Koi Khabar.


Tum Hum Per Bawafai Ka

Posted: 12 Oct 2009 06:05 AM PDT

Tum Hum Per Bawafai Ka Ilzam Na De Pao Gay
Jaan Se Zaida Kya Fermaish Kar Paogay

Pyaar Koi Khial Nahi Jo
Tum Asaani Se Khail Jao

Hume Tuhfe Ki Surat Main
Judai Se Zaida Kya De Pao Gay


Ruthe Hain Woh Humse Bina Baat Ke

Posted: 12 Oct 2009 06:04 AM PDT

Ruthe Hain Woh Humse Bina Baat Ke
Ke Ab Intezaar Karna Naseeb Ho Gaya
Kaise Manaein Use Jo Hamara Ho Kar Bhi
Kisi Or Ka Ho Gaya.


Yehi Wafa Ka Silaah Hai

Posted: 12 Oct 2009 06:03 AM PDT

Yehi Wafa Ka Silaah Hai, To Koi Baat Nahi
Yeh Dard Tum Ne Diya Hai, To Koi Baat Nahi

Yehi Bahut Hai Ke Tum Dekhte Ho Sahil Se
Safeena Doob Raha Hai, To Koi Baat Nahi

Rakha Thha Aashiyana-E-Dil Main Chhupa Ke Tumko
Woh Ghar Tumne Chor Diya Hai To Koi Baat Nahi

Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Thha
Tum Hi Ne Tod Diya Hai To Koi Baat Nahi

Kiskii Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana
Agar Yeh Tumne Kaha Hai To Koi Baat Nahi


Uski Mujh Par Neegaah Rahi Chaar Din

Posted: 12 Oct 2009 06:02 AM PDT

Uski Mujh Par Neegaah Rahi Chaar Din
Chahat Ki Chah Rahi Chaar Din

Main Aaina Dekh Ke Sharmati Rahi
Woh Bhi Karwata Raha Shringaar Chaar

Din Gulabi Aur Chandni Raatein Rahi
Duniya Hasin Lagti Rahi Chaar Din

Dil Mein Dard Ki Tarah Bas Gaya Woh
Main Uski Bimaar Rahi Chaar Din


Kyun Rooth Gayi Kismat Mujhse

Posted: 12 Oct 2009 06:01 AM PDT

Kyun Rooth Gayi Kismat Mujhse
Kyun Khafa Ho Gaye Saathi Humse

Kaash Mil Jate Raah Chalte Kisi Din
Aur Dekh Lete Ek Nazar Pyar Se Hume

Phir Ghum Na Hota Marne Ka Bhi Hume
Bhool Jate Tumhari Di Hui Woh Sari Taklife


No comments:

Post a Comment