Sunday, October 11, 2009

Shers.In

Shers.In


Tum Hum Per Bawafai Ka Ilzam

Posted: 10 Oct 2009 05:47 AM PDT

Tum Hum Per Bawafai Ka Ilzam Na Dey Pao Gay
Jaan Sy Zaida Kya Fermaish Kar Paogay

Pyaar Koi Khial Nahi Jo
Tum Asaani Sy Khail Jao

Hume Tuhfe Ki Surat May
Judai Say Zaida Kya Dey Pao Gay


Jo Dekhi Berukhi Unki Toh Dil Se Yeh Sada Aayi

Posted: 10 Oct 2009 05:46 AM PDT

Jo Dekhi Berukhi Unki Toh Dil Se Yeh Sada Aayi
Iss Mehfil Se Achchi Hai Kisi Sehra Ki Tanhai

Bhari Mehfil Mein Woh Hamara Haath Na Thaam Sake
Aur Karte Hai Daave Ke Tum Ho Mere Dil Mein Samayi

Na Ban Sakte Hai Hum Bewafa Na Ho Sakte Unse Khafa
Par Mere Pyaar Ka Silaa Usne Diya Banke Harjaayi

Har Nuksaan Ka Hisaab Kitaab Hota Hai Bazaar Mein
Jo Tode Hai Usne Mere Sapne Uski Kya Hogi Bharpaayi

Likhte Likhte Jo Qalam Thaki Na Kabhi
Aaj Kyun Pheeki Pad Rahi Hai Uski Likhayi

Jitna Chahte Hai Usko Hum Bhulana
Kyun Na Chahte Hue Bhi Uski Yaad Chali Aayi


Raat Ki Khamoshi Mein Kuch Gunguna Lete Hai

Posted: 10 Oct 2009 05:45 AM PDT

Raat Ki Khamoshi Mein Kuch Gunguna Lete Hai
Dard Ko Lafzon Mein Dhaal Kar Har Nagma Bana Lete Hai

Ashq Toh Aakhon Se Yunhi Nahi Behte Hai
Hawa Ke Anchal Se Unko Dil Mein Utar Lete Hai

Tanhaai Ki Roshni Hai Itni Mash-Hoor
Ke Hum Saare Diye Bhuja Lete Hai

Ban Baithe The Unke Pyaar Mein Itne Deewane
Ke Ab Baat Be-Baat Muskura Lete Hai

Poochhta Hai Jab Koi Wajah Iss Dard Ki
Toh Reit Mein Tera Naam Likh Likh Ke Mita Lete Hai

Ki Jisne Bewafai Woh Toh Ho Chuke Kisi Aur Ke
Aur Bewafai Ka Ilzaam Hum Par Laga Lete Hai.

रात की खामोशी मे कुछ गुनगुना लेते है
दर्द को लफ्ज़ो मे धाल कर हर नगमा बना लेते है

अश्क़ तो आंखो से युंही नही बहते है
हवा के आँचल से उनको दिल मे उतार लेते है

तन्हाई की रोशनी है इतनी मशहूर
के हम सारे दीये भुझा लेते है

बन बैठे थे उनके प्यार मे इतने दीवाने
के अब बात बे-बात मुस्कुरा लेते है

पूछता है जब कोई वजह इस दर्द की
तो रेत मे तेरा नाम लिख लिख के मिठा लेते है

कि जिसने बेवफाई वो तो हो चुके किसी और के
और बेवफाई का इल्ज़ाम हम पर लगा लेते है.


Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hain

Posted: 10 Oct 2009 05:43 AM PDT

Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hain
Ke Ashq Rokna Tum Se Mohaal Hona Hain

Har Ek Lab Pe Hain Meri Wafa Ke Afsanay
Tere Sitaam Ko Abhi Lazawab Hona Hain

Tumhain Khabar Hi Nahin Tum To Loot Jaogi
Tumharay Hijar Main Ek Lamha Saal Hona Hain

Humari Rooh Pey Jaab Bhi Azaab Utrain Hain
Tumhari Yaad Ko Is Dil Ki Dhaal Hona Hain

Kabhi To Royegi Woh Bhi Kisi Ki Bahoon Main
Kabhi To Us Ki Hansi Ko Zawal Hona Hain

Milaygi Hum Ko Bhi Apne Naseeb Ki Khushiyaan
Bas Intizaar Hain Kab Yeh Kamal Hona Hain

Har Ek Shaks Chalay Ga Humari Rahoon Per
Mohabatoon Main Humahin Woh Misaal Hona Hain

Zamana Jis Ke Kham-O-Peech Main Ulajh Jaye
Humari Zaat Ko Aisa Sawal Hona Hain

Yaqeen Hain Mujhe Woh Loot Ayegi
Usay Bhi Apne Kiye Ka Malal Hona Hain

अभी तो इश्क़ मे ऐसा भी हाल होना है
के अश्क़ रोकना तुम से मोहाल होना है

हर एक लब पे है मेरी वफा के अफसाने
तेरे सितम को अभी लाज़वाब होना है

तुम्हे खबर ही नही तुम तो लूट जाओगी
तुम्हारे हिज्र मे एक लम्हा साल होना है

हमारी रूह पे जब भी अज़ाब उतरे है
तुम्हारी याद को इस दिल की धाल होना है

कभी तो रोयेगी वो भी किसी की बाहो मे
कभी तो उस की हंसी को ज़वाल होना है

मिलायेगी हम को भी अपने नसीब की खुशियाँ
बस इन्तेज़ार है कब ये कमाल होना है

हर एक शक्स चलेगा हमारी राहो पर
मोहब्बतो मे हमे वो मिसाल होना है

ज़माना जिस के खम-ओ-पीच मे उल्झ जाये
हमारी ज़ात को ऐसा सवाल होना है

यक़ीन है मुझे वो लूट आयेगी
उसे भी अपने किये का मलाल होना है.


Aankhon Mein Basne Wale Aansu

Posted: 10 Oct 2009 05:40 AM PDT

Aankhon Mein Basne Wale Aansu Bankar Nikal Gaye
Dil Mein Rehne Wale Dil Jalakar Nikal Gaye

Jis Raahon Per Mera Kabhi Intzaar Karte Thhe
Aaj Usi Raah Mein Chehra Chhupakar Nikal Gaye

Jinse Mehakti Thhi Kabhi Mere Khwabon Ki Galiyan
Wohi Mere Sapnon Ko Aag Lagakar Nikal Gaye

Jis Pyar Ki Khushboo Basi Thi Mere Aagan Mein
Woh Bewafa Phoolon Ko Murjhakar Nikal Gaye

Kis Tarah Ab Guzregi Yeh Jeevan Ki Sawari
Jab Mujhe Maut Ki Galiyan Dikha Kar Nikal Gaye

Jab Bayan Ki Apne Jeevan Ki Kahani
Toh Log Wah !! Wah !! Suna Kar Nikal Gaye

आंखो मे बसने वाले आंसू बनकर निकल गये
दिल मे रहने वाले दिल जलाकर निकल गये

जिस राहो पर मेरा कभी इन्तेज़ार करते थे
आज उसी राह मे चेहरा छुपाकर निकल गये

जिनसे मेहकती थी कभी मेरे ख्वाबो की गलियाँ
वोहि मेरे सपनो को आग लगाकर निकल गये

जिस प्यार की खुशबू बसी थी मेरे आंगन मे
वो बेवफा फूलो को मुर्झाकर निकल गये

किस तरह अब गुज़रेगी ये जीवन की सवारी
जब मुझे मौत की गलियाँ दिखा कर निकल गये

जब बयान की अपने जीवन की कहानी
तो लोग वाह !! वाह !! सुनाकर निकल गये.


Intezaar To Kare, Ke Jab Woh Aaye Bhi

Posted: 10 Oct 2009 05:38 AM PDT

Intezaar To Kare, Ke Jab Woh Aaye Bhi
Bhool Jaaye Hum, Chhode Jo Mere Saaye Bhi

Kal Subah Yeh Zindagi Jo Na Rahi
Tamaasha Dekhenge Apne Aur Paraaye Bhi

Woh Gair Hai To Gair Ban-Na Bhi Seekh Le
Yaado Mein Aake Baar-Baar Aazmaaye Bhi

Kehte Hai Duniya Ko, Chhod Denge Hume
Mud Ke Dekhe Baar-Baar, Ghabraaye Bhi

Yeh Kaisa Khuda Hai Mere Dosto
Khud Hi Lagaaye Aag, Khud Hi Bujhjaaye Bhi

Shikwa Bhi To Kya Kare Hum Kisi Se
Khoya Ek Humsafar To Laakho Rehnuma Paaye Bhi

इन्तेज़ार तो करे, के जब वो आये भी
भूल जाये हम, छोडे जो मेरे साये भी

कल सुबह ये ज़िन्दगी जो ना रही
तमाशा देखेंग़े अपने और पराये भी

वो गैर है तो गैर बन-ना भी सीख ले
यादो मे आके बार-बार आज़माये भी

कहते है दुनिया को, छोड देंग़े हमे
मुड के देखे बार-बार, घबराये भी

ये कैसा खुदा है मेरे दोस्तो
खुद ही लगाये आग, खुद ही बुझाये भी

शिकवा भी तो क्या करे हम किसी से
खोया एक हमसफर तो लाखो रहनुमा पाये भी


In Lehron Pe Chalna Sikhaya Hai Tumne

Posted: 10 Oct 2009 05:35 AM PDT

In Lehron Pe Chalna Sikhaya Hai Tumne
Pyaar Mein Apno Pe Jalna Sikhaya Hai Tumne

Hum Toh Daaman Bacha Lete Magar
Duniya Walo Ke Saamne Mujhe

Ruswa Karaya Hai Tumne
Pyaar Karna Nahi Aata Thha Mujhe

Pyaar Kerna Sikhaya Hai Tumne
Bhool Na Paaunga Saari Zindagi Ab Jise

Aisa Gum Tohfe Mein Diya Hai Tumne
Bada Mashhoor Tha Hansne Hasaane Ko

Hothon Se Tabassum Churaya Hai Tumne
Tujh Ko Kaise Dua Doon Ke Khush Tu Rahe

Meri Duaon Ko Baddua Banaya Hai Tumne
Main Toh Roshan Bhi Na Ho Saka Tha Abhi

Chadhte Suraj Ko Kaise Dubaya Hai Tumne.

इन लहरो पे चलना सिखाया है तुमने
प्यार मे अपनो पे जलना सिखाया है तुमने

हम तो दामन बच्चा लेते मगर
दुनियाँ वालो के सामने मुझे

रुसवा कराया है तुमने
प्यार करना नही आता था मुझे

प्यार करना सिखाया है तुमने
भूल ना पाऊंगा सारी ज़िन्दगी अब जिसे

ऐसा गम तोहफे मे दिया है तुमने
बडा मश्हूर था हंसने हसाने को

होठो से तबस्सुम चुराया है तुमने
तुझ को कैसे दुआ दूँ कि खुश तू रहे

मेरी दुआओ को बदुआ बनाया है तुमने
मै तो रोशन भी ना हो सका था अभी

चढते सुरज को कैसे डुबाया है तुमने


Dil Ne Jab Bhi Fareb Khaya Hai

Posted: 10 Oct 2009 05:30 AM PDT

Dil Ne Jab Bhi Fareb Khaya Hai
Tera Andaaz Yaad Aaya Hai

Yeh Bhi Khuch Manzilon Se Kam To Nahin
Raasto Mein Joh Khoya Paaya Hai

Tum Numaaish Liye Ho Daagon Ki
Humne Zakhmon Ko Bhi Chuppaya Hai

Koi Marta Nahin Kisi Ke Liye
Humne Duniya Ko Aazmaya Hai

Waqt-E-Hizraan Ya Vasl Ho Ashique
Humne Dono Mein Tujhko Paaya Hai


Kuch Mil Gaya Is Jahan Mein

Posted: 10 Oct 2009 05:29 AM PDT

Kuch Mil Gaya Is Jahan Mein
Kuch Kho Gaya Is Jahan Mein

Apne Huye Paraye Yun
Ke Chhod Gaye Humay Is Jahan Mein

Tumse Thhi Na Hume Umeed Ye
Ke Tum Bhi Shamil Ho Jaaoge Us Jahan Mein

Itni Chahat, Pyaar, Mohabbat Huyi Hume
Ke Sochte Rahe Tumhe Is Jahan Mein

Wafa Karne Ka Sila Ye Mila
Ke Pa Rahe Hain Saza Is Jahan Mein

Kyon Bhool Jate Ho Tum Ke
Hum Bhi Majod Hain Is Jahan Mein

Har Pal, Har Lamha Aati Rahe Yaad Meri
Ke Bhool Paoge Na Tum Hume Is Jahan Mein

Ro Ro Kar Kati Raatein Jo
Tujh Ko Bhi Neend Na Mile Is Jahan Mein

Ankhon Mein Aaye Ansoo Jo
To Nam Ho Jaye Ankhein Teri Is Jahan Mein

कुछ मिल गया इस जहाँ मे
कुछ खो गया इस जहाँ मे

अपने हुये पराये यूँ
के छोड गये हमे इस जहाँ मे

तुमसे थी ना हमे उम्मीद ये
के तुम भी शामिल हो जाओगे उस जहाँ मे

इतनी चाहत, प्यार, मोहब्बत हुई हमे
के सोचते रहे तुम्हे इस जहाँ मे

वफा करने का सिला ये मिला
कि पा रहे है सज़ इस जहाँ मे

क्यो भूल जाते हो तुम के
हम भी मौजूद है इस जहाँ मे

हर पल, हर लम्हा आती रहे याद मेरी
कि भूल पाओगे ना तुम हमे इस जहाँ मे

रो रो कर कटी राते जो
तुझ को भी नींद ना मिले इस जहाँ मे

आंखो मे आये आंसू जो
तो नम हो जाये आंखे तेरी इस जहाँ मे


Dard-E-Dil, Dil Todne Wale Kya Jaane

Posted: 10 Oct 2009 05:26 AM PDT

Dard-E-Dil, Dil Todne Wale Kya Jaane
Mohabbat Ki Riwaze Yeh Duniya Wale Kya Jaane
Hoti Hai Kitni Takliff Kabr Mein
Yeh Upar Se Phool Rakhne Wale Kya Jaane


Sukoon Mil Gaya Aaj Mujhe Badnaam Ho Kar

Posted: 10 Oct 2009 05:26 AM PDT

Sukoon Mil Gaya Aaj Mujhe Badnaam Ho Kar
Tere Har Ek Ilzaam Pay Yun Bezabaan Ho Kar

Kya Hua Gar Bulaya Mujhe Bey Izzat Karne Ke Liye
Khush Hu Main Teri Mehfil Mein Mehmaan Ho Kar

Log Parh Hi Lenge Mohabbat Teri Aankhon Mein
Chahe Karle Lakh Inkaar Tu Anjaan Ho Kar

Ilzaam Muj Par Lagakar Khud Roye Ja Rahi Hai
Kya Payega Mera Hamdard Shar-E-Aam Ho Kar

Mil To Gaya Suboot Mujhe Teri Mohabbat Ka
Ab Afsos Nahi Tere Ishq Mein Nakaam Ho Kar

सुकून मिल गया आज मुझे बदनाम होकर
तेरे हर एक इल्ज़ाम पे यूँ बेज़बान होकर

क्या हुआ गर बुलाया मुझे बे इज़्ज़त करने के लिये
खुश हूँ मै तेरी मेहफिल मे मेहमान होकर

लोग पड ही लेंग़े मोहब्बत तेरी आंखो मे
चाहे कर ले लाख इंकार तू अंजान होकर

इल्ज़ाम मुझ पर लगाकर खुद रोये जा रही है
क्या पायेगा मेरा हमदर्द शर-ए-आम होकर

मिल तो गया सुबूत मुझे तेरी मोहब्बत का
अब अफसोस नही तेरे इश्क़ मे नकाम हो कर


Raaz-E-Ulfat Chupa Kar Dekh Liya

Posted: 10 Oct 2009 05:25 AM PDT

Raaz-E-Ulfat Chupa Kar Dekh Liya
Dil Ko Bahut Jala Kar Dekh Liya

Aur Kya Dekh Ne Ko Baqi Hai
Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya

Woh Mere Ho Kar Bhi Mere Na Huye
Unn Ko Apna Bana Ke Dekh Liya

Aaj Unn Ki Nazar Mein Hum Ne
Sab Ki Nazar Bacha Kar Dekh Liya


Chaht Hai Ki Aapko Mayusi Ki

Posted: 10 Oct 2009 05:20 AM PDT

Chaht Hai Ki Aapko Mayusi Ki Sikayat Na Mile
Aansu Ko Aapki Aankho Mein Izzajat Na Mile
Itni Khosiya Bhar De Daman Me Aapke
Aapko Rone Ki Kabhi Fursat Na Mile


Zakhamon Pe Mere Vi Namak

Posted: 10 Oct 2009 05:19 AM PDT

Zakhamon Pe Mere Vi Namak
Chhidak Kar Yoon Chal Diye
Unki Mehez Ek Aadat
Hamaare Ghaav Hare Ho Gaye

Pramod Kumar Sharma


Chaku Se Dosti Ki Hai

Posted: 10 Oct 2009 05:18 AM PDT

Chaku Se Dosti Ki Hai
To Sambhal Ke Chal
Yahan Maafi Nahi, Har Kasoor
Ki Sazaa Khoon Hai

Pramod Kumar Sharma


No comments:

Post a Comment