Saturday, October 24, 2009

Shers.In

Shers.In


Ik Muddat Hui Ik Zamaana Hua

Posted: 23 Oct 2009 06:01 AM PDT

Ik Muddat Hui Ik Zamaana Hua
Khaak-E-Gulashan Mein Jab Ashiyaana Hua,

Zulf -E-Baraham Ki Jab Se Shanasai Hui,
Zindagi Ka Chalan Mujrimana Hua,

Phool Jalte Rahe Chand Hansta Raha,
Arzoo Ka Muqqammal Fasana Hua,

Daag Dil Ke Shahanshah Ke Sikke Bane,
Dil Ka Muflis-Kada Jab Khazana Hua,

Rahbar Ne Palat Kar Na Dekha Kabhi,
Rahr-O-Raste Ka Nishana Hua,

Hum Jahan Bhi Gaye Zaug-E-Sajda Liye,
Har Jagha Aap Ka Aa Satana Hua,

Dekh Mizarab Se Khoon Tapakane Laga,
Saaz Ka Taar Marg-E-Tarana Hua,

Pehle Hoti Thi Koi Wafa -Parvari,
Ab Tou Vibha Yeh Kissa Purana Hua


Taras Jaoge Tum Mehfil-E-Wafa Ke Liye

Posted: 23 Oct 2009 06:00 AM PDT

Taras Jaoge Tum Mehfil-E-Wafa Ke Liye,
Kisi Se Pyar Na Kar Khuda Ke Liye,
Jab Lagegi Ishq Ki Adalat Ek Din,
Tum Hi Chune Jaoge Saza Ke Liye.


Yaad Dil Se Teri Main Bhulane Chali

Posted: 23 Oct 2009 05:59 AM PDT

Yaad Dil Se Teri Main Bhulane Chali,
Teri Har Nishani Ko Dil Se Mitane Chali,

Yun Tou Yaad Tujhe Main Din Raat Karti Hoon,
Aaj Tu Nahi Hai Yeh Dil Ko Main Samjhane Chali,

Tujhse Kabhi Zindagi Jeene Ka Bahana Milta,
Aaj Ussi Zindagi Par Khaakh Udaane Chali,

Tune Tham Liya Haath Gair Ka Mujhe Khwaab Dikhakar,
Aaj Teri Tasveer Ke Saath Khudko Jalane Chali,

Tu Kar Ke Vadaa Mujhse Milne Ka Phir Kabhi Na Aaya,
Yehi Vadaa Ab Dil Mein Liye Raahon Per Teri Aane Chali,

Todi Kasame Wafa Ki Tume Tou Bas Iss Zamane Ke Liye,
Zamane Se Bagawat Karke Teri Kasmon Ko Main Tou Nibhane Chali


Guzre Hue Lamhon Ka, Zakhm Hai Dil Par

Posted: 23 Oct 2009 05:58 AM PDT

Guzre Hue Lamhon Ka, Zakhm Hai Dil Par
Bichdi Hui Yaadon Ka, Asar Hai Hum Par

Kisi Ki Yaad Mein Rona, Mustakbil Hai Apni
Ghut Ghut Kar Jeena Bhi, Taqdeer Hai Apni

Yeh Badnasebi Hai Meharbaan Hum Par
Guzre Hue Lamhon Ka, Zakhm Hai Dil Par

Raaton Ko Jagna Fitrat Hai Apni
Dard-E-Dil Ko Seena Bhi Kismat Hai Apni

Bewafa Hone Ka Ilzaam Hai Hum Par
Guzre Hue Lamhon Ka Zakhm Hai Dil Par


Mehfil Mein Tanha Rehna Sikh Gaya

Posted: 23 Oct 2009 05:56 AM PDT

Mehfil Mein Tanha Rehna Sikh Gaya,
Tere Pyaar Ne Duniya Se Jhuth Kehna Sikh Gaya,
Dard Ya Khushi Ka Ehsas Nahi Ab,
Kuch Zindagi Se Chup-Chap Sehna Sikh Gaya


Dil Lagane Se Pehle Dil Ko Bhi Jana Karo

Posted: 23 Oct 2009 05:54 AM PDT

Dil Lagane Se Pehle Dil Ko Bhi Jana Karo,
Ho Tumhare Jaise Jo Usko Hi Bas Mana Karo,
Mausam Ki Tarah Jo Badal Jate Hai,
Tum Bhi Unko Mausam Sa Bhul Jaya Karo


Din Bhar Teri Yaad Kiya Karte Hai

Posted: 23 Oct 2009 05:54 AM PDT

Din Bhar Teri Yaad Kiya Karte Hai
Auron Se Bhi Teri Baat Kiya Karte Hai

Tera Chehra Basa Hai Hamari In Aankho Mai
Neend Humein Na Aaye Bas Yahi Dua Katre Hai

Unhe Aab Ja Ke Hua Ye Ehsas Ke Hum Unhe Pyar
Kitna Karte Hai


Mujhe Is Baat Ka Yakeen Na Ho Saka

Posted: 23 Oct 2009 05:51 AM PDT

Mujhe Is Baat Ka Yakeen Na Ho Saka,
Katil Ko Laga Mein Use Pheechan Na Saka,
Aakhe Hi Phod Di Zalim Ne Meri, Magar
Dosto Ko To Pheechante Thhe Hum Khushboo Se Har Jagah.


Aapni Sare Nishaniya Le Jaa

Posted: 23 Oct 2009 05:49 AM PDT

Aapni Sare Nishaniya Le Jaa,
Wo Phool, Rumal, Letter, Gift Le Jaa,

Yahan Tak Ki Aapne Haatho Ki Lakere Mene Tujhe De Di,
Ye Bhi Kuch Kaam Na Aaye To Mera Mukkdar Le Jaa,

Kaise Chutegi Meri Jaan Likhne Ki Aadat,
Kaat Kar Meri To Ungaliya Le Jaa.


Phir Koi Naam Mere Dil Pe Likha Jayega

Posted: 23 Oct 2009 05:48 AM PDT

Phir Koi Naam Mere Dil Pe Likha Jayega,
Yaani Kishto Mein Mera Katal Kiya Jayega,
Hoke Guzregi Mere Dil Se Wo Shoole Ki Lakeer,
Jab Tere Maang Mein Sindhoor Bahra Jayega.


Na Jaane Haseenon Ko Etne Bahaane

Posted: 23 Oct 2009 05:46 AM PDT

Na Jaane Haseenon Ko Etne Bahaane
Kahaan Se Aajaate Hain
Hum Unko Majboor Samjhte Hain
We Hamen Majboor Kar Jaate Hain

Pramod Kumar Sharma


Jeene Ka Luft Wahi Le Sakata

Posted: 23 Oct 2009 05:45 AM PDT

Jeene Ka Luft Wahi Le Sakata
Jise Maut Ki Parwaah Na Ho
Marane Ka Luft Wahi Le Sakata
Hai Watan Jiski Jaan Ho

Pramod Kumar Sharma


No comments:

Post a Comment