Sunday, July 26, 2009

Shers.In

Shers.In


Har Koi Peeta Hai Apne Ansuon Ko

Posted: 25 Jul 2009 06:35 AM PDT

Har Koi Peeta Hai Apne Ansuon Ko,
Har Koi Peeta Hai Apne Ansuon Ko,
Mai Jo Thoda Sa Pee Aya To Ye Shoor Kaisa Hai..

Har Koi Girta Hai Jindagi Ki Raho Me,
Har Koi Girta Hai Jindagi Ki Raho Me,
Mai Jo Thoda Sa Ruk Gaya To Ye Shoor Kaisa Hai..

Har Koi Hasta Hai Dusaro Ki Bebasi Par,
Har Koi Hasta Hai Dusaro Ki Bebasi Par,
Mai Jo Khud Hi Me Hans Diya To Ye Shoor Kaisa Hai..

Har Koi Roota Hai Tanhaye Me Chupkar,
Har Kopi Roota Hai Tanhaye Me Chupkar,
Mai Jo Mahfill Me Roo Diya To Ye Shor Kaisa Hai..

Har Koi Marta Hai Pal Pal Iss Jahan Me,
Har Koi Marta Hai Pal Pal Iss Jahan Me,
Mai Jo Pal Bhar Me Mar Gaya To Ye Shoor Kaisa Hai..

Har Ki Loot Jata Hai Mhobbat Ki Khatir,
Har Koi Loot Jata Hai Mohobbat Ki Khatir,
Mai Jo Thoda Sa Har Gaya To Ye Shoor Kaisa Hai..

Ki Har Koi Rakhta Hai Tasveer Uski Ankho Me,
Har Koi Rakhta Hai Tasveer Uski Ankho Me,
Mai Jo Thoda Sa Dekh Aya To Ye Shoor Kaisa Hai..

Rakesh


Sukhe Patte Ne Pedd Se Kaha

Posted: 25 Jul 2009 06:33 AM PDT

Sukhe Patte Ne Pedd Se Kaha,
Humari Zudai Ka Waqt Aa Gya,

Tadpta Pedd Kuch Keh Na Saka,
Usne Khud Ko Hawa Me Bus Lehlaha Diya,

Ye Hawa Chali Mera Dil Sehma,
Aaj Kismat Ne Kis Ko Zudda Kiya,

Meri Aankh Se Barsaa Pani,
Asaman Ka Seena B Dol Gya,

Main Unke Dard Me Shamil Thi,
Main Unke Dard Me Shamil Thi,

Par Bedard Logon Ne,
Mossam Ka Mazza Liya.


Humein Teri Rahon Se Ab Zuda Ho Jana Hai

Posted: 25 Jul 2009 06:31 AM PDT

Humein Teri Rahon Se Ab Zuda Ho Jana Hai
Kabhi Tere Dil Mein Darkte The Hum,
Ab Teri Rahon Se Hume Door Chale Jana Hai

Saya Ban Tere Sang Rehna Tha Hume
Aab Us Saye Ko Andere Me Gum Ho Jana Hai

Pyar Mitata Nai Kisi Ko
Bus Uske Dard Mein Khud Mitt Jana Hai

Teri Raho Me Phool Bicha Na Sake Hum
Par Teri Raho Se Kanto Ko Hatate Jana Hai

Teri Naffrat Me Chahe Jal Bi Jaye Hum
Par Tuje Har Gum Se Bachate Jana Hai

Tujse Door Reh Kar B Tere Pass Rahenge
Zindgi Ki Har Imtihaan Ko Paar Karte Jana Hai

Fir Mout Bi Ayi To Marr Jayege Hass Kar
Bus Duniya Me Mohabat Ka Paigam Chod Jana Hai


Tumko Dekha To Ye Khayal Aaya

Posted: 25 Jul 2009 06:29 AM PDT

Tumko Dekha To Ye Khayal Aaya,
Tune Kis Chakki Ka Aata Khaya,

Aaj Phir Nahane Ki Tamanna Thii,
Aaj Phir Kambakht Nal Nahin Aaya,

Aaj Tune Khana Apne Haton Se Pakaya,
Isliye Mai Hotel Me Khaa Kar Aaya,

Kal Phir Time Paas Karne Ke Liye,
Maine Kheton Me Bhais Daudaaya,

Aaj Phir Tere Aane Ka Wada Hai,
Aaj Phir Maine Cardiogram Kar Waya.


Manzilein Bhi Uski Thi

Posted: 25 Jul 2009 06:27 AM PDT

Manzilein Bhi Uski Thi,
Rastey Bhi Uske Thhe,

Hum Akele Thhe,
Kafile Bhi Uske Thhe,

Sath-2 Chalne Ki Soch Bhi Uski Thi,
Rastey Badlane K Faisle Bhi Uske Thhe.

Aaj Akela Hun To Dil Sawal Karta Hai,
Duniya To Uski Thi Kya Khuda Bhi Uska Hai?


Mere Dil Par Teri Ulfat Ka Ishq-E-Baar Bahut Hai

Posted: 25 Jul 2009 06:25 AM PDT

Mere Dil Par Teri Ulfat Ka Ishq-E-Baar Bahut Hai
Aati Hai Jab Tu Saamne Mere, Itnaa Didaar Bahut Hai….

Karti Hai Jab Tu Aaine Main Dekh Ke Kabhi Shringaar Apna
Woh Pal Mujh Ko Jaane Kartaa Be-Karaar Bahaut Hai……

Pahin Ke Aai Thi Jis Din Tu Mere Ghar Zebar Saare
Khada Ho Saamne Mere Husn Ka Yeh Bazaar Bahut Hai….

Dahlti Shaam Ko Tera Mere Paas Se Uthke Jaana
Kal Mujhe Karna Pade Tera Intezaar Bahut Hai….

Band Kar Ke Palkon Ko Main Bistar Par Lettaa Thaa Jab
Sapna Koi Tera Aa Jaaye Mujhe Itnaa Manzar Bahut Hai….

Naresh


Mere Dil Ki Raakh Kured Mat

Posted: 25 Jul 2009 06:24 AM PDT

Mere Dil Ki Raakh Kured Mat,
Ise Muskura Ke Hawaa Na De
Ye Charaag Phir Bhi Chiraag Hai,
Kahi Tera Haath Jalaa Na De!

Naye Daur Ke Naye Khwaab Hai,
Naye Mausamon Ke Gulaab Hain
Ye Muhab’baton Ke Chiraag Hai,
Inhen Nafraton Ki Hawaa Na De!

Zaraa Dekh Chaand Kii Pat’tiyon Ne
Bikhar Bikhar Ke Tamaam Shab
Tera Naam Likkhaa Hai Rait Par,
Koi Lah’r Aake Mitaa Na De!

Main Udaasiyaan Na Sajaa Sakoon,
Kabhii Jism O Jaan Kii Mazaar Pe,
Naye Diye Jale Merii Aankh Me.N,
Mujhe Itnii Sakht Sazaa Na De!

Mere Saath Chalne Ki Shauk Me.N,
Bharii Dhoop Sar Pe Uthaayegaa
Teraa Naak Naksh Hai Mom Kaa,
Kahiin Gam Kii Dhoop Ghulaa Na De!

Main Gazal Kii Shabnamii Aankh Se,
Ye Dukhon Ke Phool Chunaa Karoon
Merii Saltanat Meraa Fan Rahe,
Mujhe Takht O Taaj Khudaa Na De!

Nalin


Uski Har “Uff” Pe Hum Apni Jaan Lutate Rahe

Posted: 25 Jul 2009 06:21 AM PDT

Uski Har “Uff” Pe Hum Apni Jaan Lutate Rahe,
Uski Shaqsiyat Ko Karke Buland Hum Khudko Mitate Rahe,
Raahe-E-Mohobbat Mein Hamne Kuch Yun Paya Sila Wafa Ka,
Woh Dete Rahe Zakhm Pe Zakhm Aur Ham Muskurate Rahe.

Nalin


Kya Fark Hota Hai Khuda Or Peer Mein

Posted: 25 Jul 2009 06:16 AM PDT

Kya Fark Hota Hai Khuda Or Peer Mein,
Kya Fark Hota Hai Kismat Or Takdeer Mein,
Agar Kuch Chaho Or Naa Mile To Samajhna,
Kuch Or Accha Likha Hai Haath Ki Lakeer Mein.

Ibrahim


No comments:

Post a Comment