Wednesday, July 22, 2009

Shers.In

Shers.In


Samandar Si Gahrayi Liye Bethe Hain

Posted: 21 Jul 2009 06:11 AM PDT

Samandar Si Gahrayi Liye Behthe Hain
Majmooyen Main Tanhai Liye Behthe Hain

Ek Tum Jhool Rahe Hoon Raqeeb Ki Bahoon Main
Yeh Dekhthe Hue Bhi Hath Shenai Liye Behthe Hai

Kabhi To Paoge Fursat Zamana-E-Dillagi Se Tum Bhi
Isi Khayal Main Hum Khawabgaahi Liye Behthe Hain

Jo Koi Kahe Aqs Majnoo Sa Haal Kyon Kar
Kahthe Hain Hum Majnoo Si Danayi Liye Behthe Hain


Main Usay Kaise Akela Chord Dun Is Rah Main

Posted: 21 Jul 2009 06:08 AM PDT

Main Usay Kaise Akela Chord Dun Is Rah Main
Sath Jo Chalta Raha Majboriyon Ke Baad Bhi

Ban Ke Khushboo Rach Gaya Hai Yun Mere Ehsas Main
Door Ho Paya Nahin Wo Dooriyon K Baad Bhi

Rafta Rafta Us Ko Bhi Ye Duniya Raas Aa Gae !
Muskra Ke Wo Mila Hai Ranjishon Ke Baad Bhi

Faslay Kab Kam Hoye Hain Raabton Ke Baad Bhi
Ajnabi They Ajnabi Hain “Mohabbaton” Ke Bäad Bhi !


Bewafaa – Bewafai Karke, Gum Mujhe De Gayi

Posted: 21 Jul 2009 06:05 AM PDT

Bewafaa – Bewafai Karke, Gum Mujhe De Gayi,
Chaha Tha Maine Use Kitna,
Tanha Mijhko Wo.., Chhod Gayi…!!

Aaj Mere Gum Mein…, Duba Hai.. Ye Samaa…,
Usko Meri Yaad Nahi,
Jane Hai Wo Kahaan…???

Ji Raha Hoon Ab, Uski Hi Khaatir..,
Meri Kya Galti Thi, Aakhir…!!

Bewafaa… Bewafai Karke.., Gum Mujhe.. De Gayi,
Chaha Tha Maine Use Kitna,
Tanha Mijhko Wo.., Chhod Gayi…!!

Hathon Me Lakeer Nahi Hai, Jaise…,
Lagta Hai Takdeer Khafa Hai Mujhse…!!

Jo Manga Usne…,Maine Usko Diya…,
Phir Jane Kyun Usne Gum Mujhko Diya…!!

Shaam Savere Rab Se Meri… Yahi Dua Hai,
Mil Jaye Mujhko Kahi Wo…
Jisko Maine Pyar Kiya Hai…!!

Bewafaa… Bewafai Karke.., Gum Mujhe.. De Gayi,
Chaha Tha Maine Use Kitna,
Tanha Mijhko Wo.., Chhod Gayi…!!

Anmol Hai Pyar Uska.. Mere Liye,
Jaan Bhi Apni De Dunga… Uske Liye,
Jii Raha Hoon Ab, Uski Hi Khaatir…,
Meri Kya Galti Thi, Aakhir…???

Bewafaa… Bewafai Karke.., Gum Mujhe.. De Gayi,
Chaha Tha Maine Use Kitna,
Tanha Mijhko Wo.., Chhod Gayi…!!


Khilwat Se Wasl Tak Ke Tere Intezaar Mein

Posted: 21 Jul 2009 06:03 AM PDT

Khilwat Se Wasl Tak Ke Tere Intezaar Mein
Humne Uthaaye Luft Se Ghum Tere Pyaar Mein

Paane Ki Aarzoo Mein Kya Khote Rahe Hain Hum
Jana Ye Phool Ne Faqat Lut Ke Bahaar Mein

Raah E Wafa Mein Mor Ek Aisa Bhi Aa Gaya
Aata Nahi Qaraar Dil E Beqaraar Mein

Guzra Vo Waqt Hum Teri Baahon Mein Qaid The
Dooba Hua Hai Dil Mera Ab Tak Khumaar Mein

Aata Hai Humko Har Jagah Chehra Tera Nazar
Soorat Nahi Hai Doosrii Jaise Dayaar Mein

Apna Bana Ke Bhoolna Na Seekh Paaye Hum
Warna Nahi Tha Kya Humaare Ikhtiyaar Mein

Kahna Bhala Bura Khud Hi Ko Roz Roz Hai
Kahte Nahi Bura Tumhe Dil Ke Ghubaar Mein

Kab Ke Nikaale Jaa Chuke Dil Se Kisi Ke Hum
Phir Bhi Diya Jale Hai Kyon Koocha E Yaar Mein


Aansoon Se Tar Ho Meri Nazar Tum Ko Is Se Kya

Posted: 21 Jul 2009 06:02 AM PDT

Aansoon Se Tar Ho Meri Nazar Tum Ko Is Se Kya
Yaa Toote Mere Dil Pe Qehar Tum Ko Is Se Kya

Tanhai Mujhe Das Rahi Hai Saanp Ki Tarah’n
Furqat Se Mujhe Lagta Hai Dar Tum Ko Is Se Kya

Roti Hai Shab Ki Be Basi Taqdeer Se Mil Kar
Gham Khuwaa’n Hai Mere Dukh Ki Sehar* Tum Ko Is Se Kya

Qisse Hamarey Jab Se Huwey Aam Zubaa’n Par
Tab Sey Udoowey Jaa’n* Hai Shehar Tum Ko Is Se Kya

Talwar Ban Ke Yaadein Barasti Hain Tumhari
Gar Kat Bhi Gaya Mera Jigar Tum Ko Is Se Kya

Tum Majma *E Aghyaar* Mai Khushiyo K Piyo Jaam
Main Dukh Ka Pee Raha Hu Zehar Tum Ko Is Se Kya

Tum Zindagi Ko Dhoond Rahe Ho Mere Baghair
Main Jeete Ji Hoo Khaak Basar Tum Ko Is Se Kya


Banaa Ke Shauq Tujhe Tera Ahtimaam Karun

Posted: 20 Jul 2009 11:11 PM PDT

Banaa Ke Shauq Tujhe Tera Ahtimaam Karun
Tujhey Deekh Ke Din Tujh He Se Shaam Karun

Meri Ruuh Ki Taskeen Meri Jaan Tujh Se Hai
Tujhay Paa Ke Ye Zindagi Tere Naam Karun

Main Teri Zulfoon Ko Chheerun Unhein Ghazal Keh Duun
Laboon Se Chuum Ker Ghazal Ko Jaam Karun

Na Bicharne De Ge Ussey Teri Vafaa Haider
Main Tera He Naam Liye Tujhay Salaam Karun


Ajj Ginda Pya Haan Tare Main

Posted: 20 Jul 2009 11:10 PM PDT

Ajj Ginda Pya Haan Tare Main..
Jehde Tere Naal Pal Gujare Main..
Ajj Mennu Fir Oh Pal Chette Aye Ne..
Tenu Yaad Kardeya Hu Akhan Vicho Hanju Kyu Aye Ne..


Main Toh Tere Pyar Mein Deewana Ho Gaya

Posted: 20 Jul 2009 10:59 PM PDT

Main Toh Tere Pyar Mein Deewana Ho Gaya,
Dilruba Yeh Bata Kya Karu Tere Siva,
Main Toh Tere Pyar Mein Deewana Ho Gaya,

Dasne Lagi Hain Mujhe Kyon Yeh Tanhaaiyan,
Har Pal Main Dekhu Bas Teri Parchhaiyaan,
Rab Di Kasam Main Toh Jaana Tere Pyar Mein,
Bhale Marr Jaaun Par Sahu Na Judaaiyaan,

Khana Nahi Pina Nahi Tere Intezaar Mein,
Rog Yeh Anokha Mila Mujhe Tere Pyar Mein,
Tadpu Main Tere Bin Ghadi Ghadi Palchhin,
Uljha Ke Chhoda Tune Isi Rozgaar Mein,

Main Toh Tere Pyar Mein Deewana Ho Gaya,
Dilruba Yeh Bata Kya Karu Tere Siva,
Main Toh Tere Pyar Mein Deewana Ho Gaya.


Sookhi Jhurriyon Se Bana Chehra

Posted: 20 Jul 2009 10:52 PM PDT

Sookhi Jhurriyon Se Bana Chehra,
Per Aankhein Paani Bhari,
Aundhey Letay, God Mein Sar,
Kaise Bhul Jaun Raatey Kahani Bhari.

Kuch Darawni, Kuch Hairatangez,
Kuch Musalsal Mazakiya,
Kuch Mazhabi, Kuch Siyasati,
Shehzadey, Shehzadi Aur Rani Bhari.

Na Thaktey Hum Tum,
Na Aati Humain Jamhai Ya Angrai Bhi,
Jab Tak Tum Kholay Rakhti Potli,
Kahaniyan Nayi Aur Purani Bhari.

Ab Khud Ek Baap Hun Or Sochta Hun
Tumhari Kahaniyon Ko,
Wohi Kissey Sunata Hoon Meri Gudiya Ko,
Par Tumhari Zubani Bhari.

Lagta Hai Kyun Mujhay,
Un Kisson Ke Kirdar Hain Jaaney Huay,
Sabkuch Khayali Tha,
Ya Phir Kuch Usme Thi Tumhari Zindagani Bhari?

Kyun Tumhari Kahaniyon Mein
Hamesha Raja Gum Ho Jata Tha?
Ab Bhi Yaad Hain Karwa-Chauth Ke Din
Ankhen Tumhari Viraani Bhari.

Kyun Ho Jatey Thay Shehzadey
Juda Nayi Riyasat Ki Khoj Mein?
Kyun Chuttiyon Ke Bad Humari Wapsi
Ko Dekhti Tum Pareshani Bhari?

Kahani Khatam Hone Per Bhi Jab Hum
Poochtey Aur Fir "daadi"
“Dungi Jawab Ik Roz”, Kaha Tumnay
Chamakti Aankhey Sayaani Bhari.

To Yeh Hai Jawab "aur Fir Ka",
Kafan Mein Lipti Beherkat Leti Hui!
Har Kissa Hota Hain Khatam Ek Din,
Kitni Bhi Ho Usmey Rawani Bhari,

Ab Merey Kissey Bhi Alag Aur
Muktlif Huay Daadi Ke Kisson Se,
Jo Sunata Hun Kissay Gudiya Ko,
Unmey Hoti Hai Ab Meri Jawani Bhari.

Aundhey Letay, God Mein Sar,
Kaise Bhul Jaun Raatey Kahani Bhari….


No comments:

Post a Comment