Saturday, July 18, 2009

Shers.In

Shers.In


Waqt Ke Panne Palatkar

Posted: 17 Jul 2009 06:21 AM PDT

Waqt Ke Panne Palatkar
Fir Vo Haseen Lamhe Jeene Ko Dil Chaahtaa Hai,

Kabhi Muskurate The Hum Milkar
Fir Vo Saath Dekhne Ko Dil Chaahtaa Hai,

Kabhi Chahte The Hum Tumhe
Kuch Chaahat Bhare Pal Dohraane Ko Dil Chaahta Hai,

Fasle Bahut Hai Darmiyaa
Ye Faasle Mitaane Ko Dil Chaahtaa Hai,

Ab Aa Bhi Jao Baaho Me
In Baaho Me Figal Jaane Ko Dil Chaahtaa Hai,

Khwaab Hai Ye Adhuraa,
Fir Bhi Ye Khwaab Jeene Ko Dil Chaahtaa Hai,

Ye Sab Yaadein Lekar Hum Chale Jaayenge
In Yaadon Ke Sahaare Hi Jeene Ko Ab Dil Chaahtaa Hai…


Tere Maasum Sawaalon Ke Jawaab Kaise Du

Posted: 17 Jul 2009 06:17 AM PDT

Tere Maasum Sawaalon Ke Jawaab Kaise Du,
Is Dil Mein Chupe Dard Ka Hisaab Kaise Du,
Saath Denaa Chahte Hai Teraa Aaj Bhi Hum,
Par Saath Ke Baad Tujhe Judaai Ka Anjaam Kaise Du….


Hamara Har Lamha Chura Liya Aapne

Posted: 17 Jul 2009 06:16 AM PDT

Hamara Har Lamha Chura Liya Aapne,
Aankhon Ko Ik Chand Dikha Diya Aapne,
Jahaa Jaaye Bas Lagtaa Hai Aap Hi Aap Ho,
Khayaalon Mein Rehkar Hume Diwaana Banaa Diyaa Aapne


Phirse Milne Ki Takdir Mil Jaaye

Posted: 17 Jul 2009 06:15 AM PDT

Phirse Milne Ki Takdir Mil Jaaye,
Jine Ke Haseen Pal Mil Jaaye,
Chal Phirse Banaaye Saagar Pe Ret Ke Makan,
Shayad Wapas Apna Bachpan Mil Jaye…


Chaha To Zindagi Se Bahut Kuch

Posted: 17 Jul 2009 06:14 AM PDT

Chaha To Zindagi Se Bahut Kuch,
Magar Tujhe Pane Ki Ek Pyas Si Reh Jaayegi,
Chah Kar Bhi Tujhe Pa Na Sakenge Hum,
Bus Teri Meethi Si Yaad Reh Jaayegi…


Tumko Dekha To Yeh Khayaal Aaaya

Posted: 17 Jul 2009 06:12 AM PDT

Tumko Dekha To Yeh Khayaal Aaaya
Zindegi Dhoop Tum Ghanaa Saaya

Aaj Phir Dil Me Ek Tamanna Thii
Aaj Phir Dil Ko Humne Samjhaaya

Tum Chale Jaoge To Sochenge
Humne Kya Khoya Hamne Kya Paaya

Hum Jisay Gun-Gunaa Nahi Sakte
Waqt Ne Aysa Geet Kyun Gaaya


Uske Jaane Ka Sadmaa Toh Bahut Hai Mujhe

Posted: 17 Jul 2009 06:09 AM PDT

Uske Jaane Ka Sadmaa Toh Bahut Hai Mujhe
Yeh Baat Aur Hai Rone Ka Waqt Nahi Mila Mujhe….

Uski Yaadon Ke Cheerag Jalaane They Mujhko Dair Tak
Lekin Beete Dino Ki Kitaab Ka Har Lafz Meeta Mila Mujhe…..

Rehte Hai Aankh Mai Aansoon Kahani Banke Saraa Din
Koi Sun Le Ise Aisa Khwaishmand Ab Tak Mila Nahi Mujhe……

Zindgi Ki Dhoop Mai Chalte-Chalte Thakh Gaya Hoon Main
Door Tak Kabhi Koi Saaya Milega, Iska Andaaza Nahi Mujhe…..

Honto Pe Kabhi Di Thii Usne Mujhko Muskaan Apni Sii
Us Baat Ki Kisi Se Ab Sheekayat Karu Yeh Aadat Nahi Mujhe……


Tere Shauq Mein, Kya Se Kya Ho Gaye Hum

Posted: 17 Jul 2009 06:05 AM PDT

Tere Shauq Mein, Kya Se Kya Ho Gaye Hum ..
Haqiqat The, Aik Khawaab Sa Ho Gaye Hum ..

Rah-E-Ishq Mein, Jab Fanaa Ho Gaye Hum,
Shikasta Dilon Ki, Dua Ho Gaye Hum ..

Fasaana Gham-E-Ishq Ka, Kehte Kehte,
Kisi Tute Dil Ki, Sadaa Ho Gaye Hum ..

Jahaa Manzil-E-Muddaa Aayi ‘Kavish’
Wahin !! Karwaan Se Juda Ho Gaye Hum


Muqarrar Ye Dil Jalta Hai

Posted: 17 Jul 2009 06:04 AM PDT

Muqarrar Ye Dil Jalta Hai,Muqarrar Main Ishq Karta Hoon,
Meri Taqdeer Apni Rah Chalti Hai, Main Apni Rah Chalta Hoon.

Girta Hoon Raah Mein Thokar Har Baar Khaa Kar,
Meri Shiddat To Dekhiye, Uth Kar Main Phir Sambhaltaa Hoon.

Hai Rahein Aur Bhi Sheher Mein Jafar,
Jaan Kar Us Bedard Ki Hi Gali Se Nikalta Hoon.

Jaane Kaun Hoon ? Shayad Tufaan Se Ladta Ek Diya Hoon,
Bujhta Hoon Kabhi To Kabhi Jalta Hoon.

Muqaddar Hai Mera Jalna Har Pal; Main Ek,
Aaftaab Hoon ,Har Shaam Ko Usi Dariya Mein Dhalta Hoon.


Aksar Mujhe Pagal Kehta Hai

Posted: 17 Jul 2009 06:01 AM PDT

Aksar Mujhe Pagal Kehta Hai
Aur Main Sochti Hoon Kay
Mujhe Pagal Bananay Wala
Mujhe “Pagal” Kyun Kehta Hai


Kiss Sooch Mein Doobay Retay Ho?

Posted: 17 Jul 2009 05:55 AM PDT

Kiss Sooch Mein Doobay Retay Ho?
Kyon Soay Soay Bethay?

Koi Mujh Se Jub Yeh Pochta Hai
Keh Kis Ko Yeh Dil Pojta Hai?

Kuch Lafz Uchhal Deta Hoo’n
Mein Huns Ker Taal Deta Hoo’n.


Kya Kahu Ab Main

Posted: 17 Jul 2009 05:53 AM PDT

Kya Kahu Ab Main,
Inn Baarish Ki Boondo Ko,
Jo Kay Haath Par Padte Hi,
Kisi Ki Yaad Dila Jaati Hai..

Halki Si Apni Jhalak Dikhate Hi,
Kisi Aur Ki Jhalak Paane Ke Liye,
Buri Tarah Machalwa Jaati Hai…

Kya Kahu Ab Main,
Inn Baarish Ki Boondo Ko,
Jo Kay Saare Samah Ko,
Ek Pal Mein Hi Pyar Bhara,
Dariya Sa Bana Jaati Hai…

Kya Kahu Ab Main,
Inn Baarish Ki Boondo Ko,
Jo Ek Hi Pal Mein,
Tujhe Mere Dil Dimaag Mein,

Iss Kadar Basa Jaati Hai,
Kay Mere Mann Ko Bhi Tujhsey,
Milne Ke Liye Utawala Kar Jaati Hai…

Kya Kahu Ab Main,
Inn Baarish Ki Boondo Ko,
Jo Meeti Par Padte Hi,

Aisi Mehek Bikher Jaati Hai,
Jaisi Kay Mujhey Tujhsey Mil Kar,
Apne Aap Mein Sey Aati Hai…

Ab Issey Jyada Aur Kya Kahu Main,
Inn Baarish Ki Bundo Ko,
Jo Aate Hi Bahut Pyara Sa,
Ehsaas Dila Jaati Hai..

Mere Mann Ko Tere Saath,
Kahi Dur Uda Le Jaati Hai..
Magar Baad Mein Teri Yaado Kay Beech,
Mere Dil Ko Tadapta Chod Jaati Hai…


Aye Roop Nagar Ki Shehzadi

Posted: 17 Jul 2009 05:49 AM PDT

Aye Roop Nagar Ki Shehzadi
Thorhi Se Inaayat Ho Jaye
Ik Roz Agar Tum Chupkay Se
Meri Aankhon Ko Sairaab Karo

Baychain Mera Dil Rehta Hai
Kuch Aur Isay Baytaab Karo
Is Talkh Haqeeqat Sehra Ko
Ik Meetha Sundar Khuwab Karo

Ik Roz Meherban Ho Jao
Maray Dil Kay Nigehbaan Ho Jao
Is Tapti Dhoop Ki Sakhti Main
Ik Shaam Ki Chhao’on Mil Jaye

Murjha Se Gaye Hain Din Maray
Ik Shaam To Meri Khil Jaye
Aur Shayed Maray Honton Se
Har Zakhm Tera Bhi Sil Jaye

Hum Qais Nahi Farhad Nahi
Par Phir Bhi Kaheen Aabad Nahi
Shayed Ye Karishma Ho Jaye
Tumhain Hum Se Mohabbat Ho Jaye

Aye Roop Nagar Ki Shehzadi
Thorhi Se Inayat Ho Jaye


Raat Ki Phailti Khamoshi

Posted: 17 Jul 2009 05:48 AM PDT

Raat Ki Phailti Khamoshi
Aur Ham Teri Yaadon Kay Sehra Main

Teri Talash Ko Niklay To
Udass Ho Gaya Safar
Nagar Nagar , Gali Gali
Yon Hi Urti Rahi

Mairay Wajood Ki Khaak Si
Isi Khaak Main Teri Roshni
Kay Jidhar Jidhar Nigah Uthi
Mairi Khawab Khawab Zindagi

Baras Gai Mairi Chashm-E-Tar
To Phir Dil Say Bhi Na Tham Saki
Na Hi Bujh Sahi

Mairi Rooh Ki Wohi Tishnagi
Mairi Ansoon Say Bhari Nazar
Rahi Dhondti Tujhay Har Nagar
Na Mujhay Kuch Apni Khabar Howi

Jo Main Thak Gai
To Falak Ko Mairi Nigah Uthi
Mujhay Mil Gai Teri Roshni
Teri Rehmaton Main Panah Mili


No comments:

Post a Comment