Sunday, July 19, 2009

Shers.In

Shers.In


Suna Bahut Hai Sharab Main Nasha Hota Hai

Posted: 18 Jul 2009 05:57 AM PDT

Suna Bahut Hai Sharab Main Nasha Hota Hai
Pee Kabhi Nahi Hai Mujhe Khaas Pata Nahi Hai…

Mayekhaane Se Aate Logo Se Main Zara Puchhta
Isse Pehle Inke Bahekte Kadam Kidhar Mud Jaate Hai…

Sharab Mai Nahaye Inke Chehre Dekh Main
Sochta Hu Hosh Mai Na Hoke Bhi Hosh Mai Hote Hai…

Peene Walo Ne Chaahe Kitni Bhi Pee Rakhi Ho
Ghar Woh Kabhi Apna, Jaane Kiyo Bhulte Nahi Hai…


Jiss Simt Dekhun, Tu Hi Tu Hain

Posted: 18 Jul 2009 05:52 AM PDT

Jiss Simt Dekhun, Tu Hi Tu Hain
Ghairmaujood, Magar Ru-Bu-Ru Tu Hai,

Tasuwwar Tera Din Mein, Khwab Shab Ko,
Aur Har Nayi Sahar Ki Shuru Tu Hai

Kar Yakeen Merey Is Laailaz Marz Ka
Har Sans, Har Lamhaye-Hosh Justaju Tu Hai

Aey Meri Kashtiye-Viraan-Zindagi Ke Nakhuda
Aankhon Se Duur Sahi, Magar Dile-Ku-Ba-Ku Tu Hai

Jab Tujhey Socha, Besakhta, Badhawas, Bekhud
Ris Ris Ke Baha Jo Jigar Se, Woh Range-Lahu Tu Hai.


Zubase Kahi Dastan Jo Juda Hogayi

Posted: 18 Jul 2009 05:49 AM PDT

Zubase Kahi Dastan Jo Juda Hogayi.
Aankho Se Bahejo Aasun To Unse Ye Faryaad Ho Gayi.
Afsane Sunae The Hamne Bhi Kabhi Unhe.
Chali Jo Hava To In Sason Se Kisiki Khusbu Aayegi.


Ham Kyu Gam Kare Ki Vo Hame Mila Nahi

Posted: 18 Jul 2009 05:47 AM PDT

Ham Kyu Gam Kare Ki Vo Hame Mila Nahi,
Ham Kyu Gam Kare Ki Vo Hame Mila Nahi,
Are Gam To Use Hona Chahiye Jise Ham Mile Nahi…


Khamosh Lehje Mere Hamdam Kabhi Bola Nahin Kerte

Posted: 18 Jul 2009 05:44 AM PDT

Khamosh Lehje Mere Hamdam Kabhi Bola Nahin Kerte,
Dard-O-Gham Ko Her Kisi K Samnay Khola Nahin Kerte,

Mohabbat To Mohabbat Hai, Bari Anmol Hoti Hai,
Mohabbat Ko Tarazu Main Kabhi Tola Nahin Kerte,

Mere Khamosh Rehne Per Koi Ilzam Mat Dena,
Samandar To Samandar Hai, Kabhi Bola Nahin Kerte,

Mohabbat Hum Bhi Kerte Hain Magar Shikwa Nahi Kerte,
Hum Apni Mohabbat Ko Yun Ruswa Nahi Kerte,

Jo Paas Aa Baithe Usey Dil Se Chahtey Hain,
Jo Uth Ker Chala Jaye Usey Roka Nahi Kerte…


Dard Ko Bhi Aaj Mujhe Dekh Ke

Posted: 18 Jul 2009 05:42 AM PDT

Dard Ko Bhi Aaj Mujhe Dekh Ke,
Takleef Mehsoos Huyi,
Jab Dekha Tumhe Kisi Aur Ke Saath….
Tu Dard Ko Bhi Meri Maut Ki Guzarish Huyi,

Diye Itne Gum Tune Mujhe….Ki Aaj
Dard Ko Bhi Mere Anso Ke Zariye Bhi
Jane Ki Khwaish Huyi

Tanha Akeli Aaj Khadi Hoon Mein Yahan
Aaj Dard Ko Bhi Meri Bebasi Mehsoos Huyi
Pyarr Karke Sabse Badi Bhool Ki
Aaj Ye Baat Mere Dard Ko Bhi Kabool Huyi

Mano Ek Baat Meri Mere Dosto
Dard Hai Tumhara Humdard Aaj Ye Baat
"Simran" Ko Mehsoos Huyi

Na Karna Apni Zindagi Kisi Ke Naam…
Ye Baat Mere Masoom Dil Ko Mehsoos Huyi
Toote Bikhre Pade Hai Dil Ke Tokde
Aaj Uss Bewafa Ki Bewafaii Mehsoos Huyi……


Kismat Ne Kar Diya Jo Mayasir Utha Liya

Posted: 18 Jul 2009 05:38 AM PDT

Kismat Ne Kar Diya Jo Mayasir Utha Liya
Pathar Utha Liya Kabhi Gohar Utha Liya

Peimana E Jaam Meena O Sagar Utha Liya
Saki Ne Jo Dey Diya Sar Par Utha Liya

Woh Aadmi Farishta Hai Jis Ne Qadam Qadam
Gheiroon Ka Ghaam Bhi Apna Samjh Kar Utha Liya

Kia Karbaal Key Zalimoon Ki Laye Koi Misaal
Manga Jo Pani Bachoon Ne Nashtar Utha Liya

Mujh Say Gureiz KarNe Lagey Mere Hum Safar
Main Ne Qadam Jo Rah Mein Behtar Utha Liya

Ehbaab Mujh Say Ess Liye Naraz Hain Qamar
Kiun Ous Ne Mujh Ko ApNe Barabar Utha Liya


Hawa Mein Taash Ka Ghar Nahi Banta

Posted: 18 Jul 2009 05:32 AM PDT

Hawa Mein Taash Ka Ghar Nahi Banta,
Rone Se Bigda Mukkaddar Nahi Banta,
Duniya Ko Jitney Ka Hausla Rakho Yaaron,
Ek Jeet Aur Haar Se Koi Sikkandar Ya Faqir Nahi Banta.


Vo Meri Mohabat Ka Sila Kyon Nahi Dete

Posted: 18 Jul 2009 05:30 AM PDT

Vo Meri Mohabat Ka Sila Kyon Nahi Dete,
Karte Hain Mohabat To Bata Kyon Nahi Dete,

Chahat Mere Suun Kar Khafa Hone Lage Hai,
Arman Mere Sine Mein Daba Kyon Nahi Dete,

Ejhare Mohabat Per Ho Jate Hai Vo Barham,
Mujri Ko Mohabat Ki Saja Bata Kyon Nahi Dete,

Vo Jagate Hai Mujhe Khawabon Mein Aakar,
Aagosh Mohabat Mein Sula Kyon Nahi Dete.


Bahut Din Ro Chuka Ab Muskurana Chahata Hun

Posted: 18 Jul 2009 05:29 AM PDT

Bahut Din Ro Chuka Ab Muskurana Chahata Hun,
In Aankhon Mein Hansi Sapne Sajana Chahata Hun,

Vo Chandi Sa Badan Vo Bhili Bhali Chand Si Surat,
Karib Uske Hi Aapna Aashyana Chahata Hun Mein,

Uski Pyari Aankho Mein Samandar Jaise Gaharai,
Usi Gahrai Mein Ab Dub Jana Chaha Ta Hun Mein,

Bahut Bhari Hai Pathar Ishq Ka Magar
Phir Bhi Uthana Chahata Hun Mein,

Junun Ishq Ko Pagal Pan Kahati Rahe
Duniya Aasman Ke Chand Ko Dharti Per Lana Chahata Hun Mein,

Jarasi Der Mera Saath Dede Jindgi Meri,
Ye Lamhe Anek Pahlu Mein Bita Ta Chahata Hun Mein,

Jo 'Vishal' Ke Betab Chahare Ko Tasalli Ki Jhalak Dede,
Gajal Aise Sare Mahfhil Sunana Chahata Hun Mein.


No comments:

Post a Comment