Tuesday, December 22, 2009

Shers.In

Shers.In


Jo Dil Mein Hain Unhen Dhadkanon

Posted: 20 Dec 2009 09:22 PM PST

Jo Dil Mein Hain Unhen Dhadkanon,
Se Door Kiya Nahin Ja Sakta.
Jo Dhadkan Ban Ke Dhadkte Hain,
Unke Binaa Zia Nahin Ja Sakta.

By Pramod Kumar Sharma


Dard Jab Dawaa Ban Jaye To Kaun Saani

Posted: 20 Dec 2009 09:05 PM PST

Dard Jab Dawaa Ban Jaye To Kaun Saani,
Zehar Jab Hawaa Ban Jaye To Kaun Saani,
Kuch Log Apne Ban Ke Aaye Thhe Zindagi Mein,
Jab Apne Hi Dagaa Kar Jaye To Kaun Saani.


Aati Hain Khidki Se Yaadein Purani

Posted: 20 Dec 2009 08:44 PM PST

Aati Hain Khidki Se Yaadein Purani,
Vo Muskaan Chehre Pe Aakhon Mein Pani,
Mili Thi Hamein Ek Nai Zindgani,
Hova Khtam Sub Kuch Abb To Hamara,
Mila Na Hamein Abb Kisi Ka Sahara.

By Shiraz


Ve Javaan Boodhon Se Bhi Bad-Tar Hain

Posted: 20 Dec 2009 08:41 PM PST

Ve Javaan Boodhon Se Bhi Bad-Tar Hain,
Jo Nakaam Zindagi Jee Rahe Hain.
Khuda Umra-Daraaj Kare Un Boodhon Ko,
Jo Auron Ke Liye Jee Rahe Hain.

By Pramod Kumar Sharma


Muskurane Ki Arzoo Mein

Posted: 20 Dec 2009 08:38 PM PST

Muskurane Ki Arzoo Mein Chupaya Jo Dard Ko,
Ansoon Meri Ankhoon Mein Pathar Ke Ho Gaye.

By Faisal Malik


Bahaaron Ko Dekh Ke Khuda Ki

Posted: 20 Dec 2009 08:22 PM PST

Bahaaron Ko Dekh Ke Khuda Ki,
Daria-Dili Ka Nazaara Dekha.
Aabo-Hawa Ko Zeher Kar Rahe,
Khudgarz Logo Ka Rela Dekha.

By Pramod Kumar Sharma


Insaan Kitna Hi Khudgarz Ho

Posted: 20 Dec 2009 08:21 PM PST

Insaan Kitna Hi Khudgarz Ho,
Khuda Use Apne Se Zuda Nahin Karta.
Hakeem Kitnaa Hi Be-Dard Ho,
Davaa Ke Naam Pe Zahar De Nahin Sakta.

By Pramod Kumar Sharma


No comments:

Post a Comment