Thursday, December 10, 2009

Shers.In

Shers.In


Raahein Mudti Gayi, Humbhi Mudte Gaye

Posted: 09 Dec 2009 04:49 AM PST

Raahein Mudti Gayi, Humbhi Mudte Gaye…
Manzil Nahi Pata, Magar Chalte Gaye…

Thakne Par Kahin Aaram Kar Lete The,
Khud-Bakhud Apne Haalaat Sambhalte Gaye…

Pasine Se Hum Hadtak Naha Hi Chuke The,
Haalaat Aise The Ki Hum Chalte Gaye…

Mushkile Aati Rahi..N, Magar Pata Na Chala,
Bas Apni Dhun Mein Hum, Yunhi Chalte Gaye…

By Shadab Ashq


Har Pal Chalnaa Hota Hai

Posted: 09 Dec 2009 04:47 AM PST

Har Pal Chalnaa Hota Hai,
Har Pal Sambhalna Hota Hai.
Zindagi Aaraamgah Nahin,
Sangharsh Karke Jeena Hota Hai.

By Pramod Kumar Sharma


Raat Jaagna Kabhie-Kabhie

Posted: 09 Dec 2009 04:47 AM PST

Raat Jaagna Kabhie-Kabhie…
Nazrein Churaana Kabhie-Kabhie…

Khubsurat Ho Tum, Yeh Kehkar,
Itraana Kabhie-Kabhie…

Chand Ke Saamne, Sharmakar,
Chali Jana Kabhie-Kabhie…

Khwaabon Mein Mujhko Dekhkar,
Muskurana Kabhie-Kabhie…

Aaiene Mein Husn Dekhkar,
Chandni Mein Jaana Kabhie-Kabhie…

Kitaab Ke Panne Palatte Hue,
Seene Se Lagana Kabhie-Kabhie…

Nazrein Churakar Duniya Se,
Milne Aana Kabhie-Kabhie….

By Shadab Ashq


Baantne Ki Nasihat

Posted: 09 Dec 2009 04:45 AM PST

Baantne Ki Nasihat,
Chiraag Ke Paas Bemisaal Hai.
Rah Kar Andhere Mein,
Raushni Bantataa Behisaab Hai.

By Pramod Kumar Sharma


Chand, Tare, Phool, Khushboo Se Suniye

Posted: 09 Dec 2009 04:43 AM PST

Chand, Tare, Phool, Khushboo Se Suniye
Sabko Pata Hai Naam Aapka Kisi Se Suniye

Dard Agar Mahsoos Ho To Mud Kar Dekhna
Dawa Kya Hogi, Us Dard Se Suniye

Aankhon Mein Nami Ka Samandar Hai To
Muskurahat Kya Cheez Hain,Ashkon Se Suniye

Khwaabon Mein Ho Unka Deedar Jinki Kami Hai To,
Unka Kya Mukaam Hai, Un Khwabon Se Suniye

Tanhai Kya Marz Hai, Gar Nahi Maloom To
Hamne Kati Hai Sari Zindagi Tanha, Hamse Suniye……

By Shadab Ashq


Kanton Ki Basti Mein Aashian Hai

Posted: 09 Dec 2009 04:42 AM PST

Kanton Ki Basti Mein Aashian Hai,
Mera, Phoolon Ka Naamo-Nishan Nahin.
Dosti Karoon To Kis Se Karoon,
Kanton Ki Dosti Pe Mujhe Yakin Nahin.

By Pramod Kumar Sharma


No comments:

Post a Comment