Wednesday, December 9, 2009

Shers.In

Shers.In


Log Dhundte Rahate Hai Khushi

Posted: 08 Dec 2009 04:12 AM PST

Log Dhundte Rahate Hai Khushi,
Pal Pal Mein Chupi Hai Khusi,

Phir Kyun Log Dhundte Hai Khushi,
Gar Dil Mein Hai Arma Sacche Jajbato Ka ,

Anchuye Ehsaso Ka,
To Dhund Lo Khushi

Jo Rahti Aapke Paas Har Wakt,
Bus Der Use Pahchanne Ki,

Muskurati Rahti Hai Jo
Har Wakt Jhankti Hui Khushi ,

Pal Pal Me Chupi Hai Khushi
Phir Kyun Dhundte Hai Log Khusi

By Saima Khatoon


Tum Hamein Yoon Tanha Chhod Ke Na Jana

Posted: 08 Dec 2009 04:07 AM PST

Tum Hamein Yoon Tanha Chhod Ke Na Jana,
Aansuon Ke Sailaab Aa Jayenge.
Hamare Arman To Doobenge Sanam,
Tum Us Se Tair Ke Bhi Na Jaa Paaoge.

By Pramod Kumar Sharma


Saath Jeene Marne Ki Kasam

Posted: 08 Dec 2009 04:06 AM PST

Saath Jeene Marne Ki Kasam,
Khane Ka Chalan Chalataa Aaya Hai.
Yahaan Koi Apni Marzi Se,
Gaya Na Apni Marzi Se Aayaa Hai.

By Pramod Kumar Sharma


Aanhon Ki Aandhi

Posted: 08 Dec 2009 04:05 AM PST

Aanhon Ki Aandhi, Aansuon Ke,
Sailaab, Dhadkanon Ke Zalzale,
Na Jane Kitni Rukaawate Rahon,
Mein Thhi,Par Maut Ruk Na Saki.

By Pramod Kumar Sharma


Ye Mirch-Masale Bechne Wale

Posted: 08 Dec 2009 04:04 AM PST

Ye Mirch-Masale Bechne Wale, Logon Ki,
Aankhon Mein Aansoo Late Rahate Hain,
Kuchh To Khate Waqt,Kuchh Enke,
Ishtayhaar Se Chalne Wale Seerial Laate Hain.

By Pramod Kumar Sharma


Jaane Anjaane Mein Woh Humse Pyar Kar Gaye

Posted: 08 Dec 2009 04:02 AM PST

Jaane Anjaane Mein Woh Humse Pyar Kar Gaye,
Uske Jaane Se Zindagi Bejaan  Ho Gaye,
Palkon Par Aansu Tham Se Gaye,
Pehle Itna Hasaya Ab Rulakar Chali Gaye.

By Vikram Rawat


Ki Paton Pe Uss Samay Hawa Chal Rahi Thi

Posted: 08 Dec 2009 03:52 AM PST

Ki Paton Pe Uss Samay Hawa Chal Rahi Thi,
Kinaro Par Masumiyat Tair Rahi Thi,
Uo Kuch Is Tarah Dekh Rahi Thi Mujhe,
Uski Har Ek Baat Ishara Lag Rahi Thi.

By Shubham Jain


No comments:

Post a Comment