Wednesday, December 2, 2009

Shers.In

Shers.In


Khoaahish-E-Deedar Ne Bahut Rulaya

Posted: 30 Nov 2009 09:07 PM PST

Khoaahish-E-Deedar Ne Bahut Rulaya,
Kabhi Chain Se Rahane Nahin Diya.
Jab Mile To Bahut Der Ho Chuki Thhi,
En Aankhon Ne Dekhanaa Chhod Diya.

By Pramod Kumar Sharma


Etni Zid Bhi Theek Nahin

Posted: 30 Nov 2009 09:06 PM PST

Etni Zid Bhi Theek Nahin,
Jo Pyaar Pe Bhaari Pad Jaaye.
Etna Pyaar Bhi Theek Nahin,
Jo Auron Ka Haq Le Jaaye.

By Pramod Kumar Sharma


Har Mulaqat Par Waqt Ka Takaja Hua

Posted: 30 Nov 2009 09:05 PM PST

Har Mulaqat Par Waqt Ka Takaja Hua,
Har Yaad Par Dil Ka Dard Taja Hua,
Suni Thi Sirf Gazlon Mein Judaai Ki Batien,
Ab Khud Par Biti To Haqiqat Ka Andaza Hua.

By Nasir Husain


Tum Se Tasveer Dil Behlane

Posted: 30 Nov 2009 09:02 PM PST

Tum Se Tasveer Dil Behlane,
Ke Liye Nahin Mangi Thhi.
Bachche Zid Karen To Unhe,
Daraane Ke Kaam Aani Thhi.

By Pramod Kumar Sharma


Ek Jaam Mohbbat Kaa Aankhon Se Pilaa Dena

Posted: 30 Nov 2009 08:56 PM PST

Ek Jaam Mohbbat Kaa Aankhon Se Pilaa Dena,
Mujhe Aaj Nahi'n Shaqi Tu Kal Bhulaa Dena,

Jab Zikr Mohabbat Ka Mehfil Mein Aa Jaye,
Nazrein Jhuka Ker Tum Aapna Ikrar Jataa Dena,

Tere Ishq Se Mehmaa Hain, Yeh Meri Duniya,
Thukara Ker Mujhe Tum Kafiir Na Banaa Dena,

Jab Dard Judai Ka Tumhe Bhi Lage Satanee,
Meri Tarah Tum Bhi Ashq Naa Baha Dena,

Pass Jab Tu Aati Hain,Kheel Sa Jata Mausam,
Bin Uske Jiiyu Ek Pal Bhi,Rab Aisa Na Banaa Dena,

Ishq Ke Rahoon Main Gar Wafa Na Nibha Saka,
Tu Mout Se Badh Kar Mujhe Koi Aur Sazaa Dena,

Teri Ek Pal Ki Bhi Judai Naa Ab Seh Payege Omi,
Meri Khawabo Se Jakar Mujhe Shayar Na Banaa Dena.

By Dilip Kumar


Jeene Ki Etni Khwaish Hai To

Posted: 30 Nov 2009 08:52 PM PST

Jeene Ki Etni Khwaish Hai To,
Jeene Ka Maqsad Bhi Hona Chahiye.
Ghmzadon Ke Aansoon Ko Maqsad Banaa,
Ye Zindagi Sab Ki Khwaish Ho Jayegi.

By Pramod Kumar Sharma


Zindagi Ka Zehar Maarta Nahin

Posted: 30 Nov 2009 08:50 PM PST

Zindagi Ka Zehar Maarta Nahin,
Par Sukoon Se Jeene Bhi Nahin Deta.
Taa-Umra Ek Tadphan Detaa Hai,
Insaan Aahe Bhar-Bhar Ke Jeeta Hai.

By Pramod Kumar Sharma


Duniya Mein Aise Log Bhi Hote Hain

Posted: 30 Nov 2009 08:48 PM PST

Duniya Mein Aise Log Bhi Hote Hain,
Jo Khud Ke Gum Mein Aansoo Peete Hain.
Duniya Mein Aise Humnawa Bhi Hote Hain,
Jo Auron Ke Dukh Mein Rote Hain.

By Pramod Kumar Sharma


Kamyaab Logon Ke Chehre

Posted: 30 Nov 2009 08:47 PM PST

Kamyaab Logon Ke Chehre,
Kuch Alag Nahin Hote Hain.
Ye Baat Zudaa, Unke Maathhe,
Pasine Se Sane Hote Hain.

By Pramod Kumar Sharma


Til Ka Taad Banegaa

Posted: 30 Nov 2009 08:44 PM PST

Til Ka Taad Banegaa,
Sapola Saanp Banega.
Aaj Ek Angul Ka Hai,
Kal Ek Haath Ka Banega.

By Pramod Kumar Sharma


No comments:

Post a Comment