Haiwaniyat Ki Mandi Mein Posted: 07 Dec 2009 04:17 AM PST Haiwaniyat Ki Mandi Mein, Aman Ka Sauda Karne Ki Baat. Toofani Raat Mein Andhere, Ko Jaise Ek Diye Ki Saugaat. Gar Toofan Se Ladna Hi Hai, To Ek Pahaad Khadaa Kar Do. Jin Unthon Ko Unchaae Pe Guroor, Hai, Unhe Pahaad Dikha Do. By Pramod Kumar Sharma  
|
Sapnon Ke Mehal Posted: 07 Dec 2009 04:15 AM PST Sapnon Ke Mehal Sapna Tootte Hi, Toot Jaya Karate Hain. Gar Iraadon Mein Ho Dam To, Sapne Haqiqat Ho Jate Hain. By Pramod Kumar Sharma  
|
Saliqa Jine Ka Jise Aa Gaya Posted: 07 Dec 2009 04:13 AM PST Saliqa Jine Ka Jise Aa Gaya, Wo Mar Ke Bhi Zinda Rahega. Gulab Bananaa Jise Aa Gaya, Wo Bikhar Ke Bhi Khushboo Bikherega. By Pramod Kumar Sharma  
|
Tohfe Kisi Kam Ke Nahin Hote Posted: 07 Dec 2009 04:10 AM PST Tohfe Kisi Kam Ke Nahin Hote, Tohfe To Sirf Nam Ke Hi Hote, Tohfe Dena Hi Hai To Koi Elm Dedo, Bujhte Diye Ko Raushan Kar Do. By Pramod Kumar Sharma  
|
Lafzon Ke Gul Se Posted: 07 Dec 2009 04:09 AM PST Lafzon Ke Gul Se, Zakhm Ko Sahlati Hai Ghazal, Machle Kabhi Je Dard, To Bahlati Hai Ghazal. By Rizwanul Haque  
|
Basti Ke Har Gali Kone Par Posted: 07 Dec 2009 04:07 AM PST Basti Ke Har Gali Kone Par, Ghum Ki Ek Dukan Hai, Paan Beedi Gutkhe Ke Libas, Mein Maut Mehmaan Hai. By Pramod Kumar Sharma  
|
Kuchh Ye Bhi Hua Tha Posted: 07 Dec 2009 04:06 AM PST Kuchh Ye Bhi Hua Tha, Meri Maa Ne Mujhe Maara Tha, Par Mumkin Nahin Us Raat, Woh Roye Bagair Soi Ho. By Junaid  
|
Tasliyon Ke Sahare Kab Tak Jiunga Posted: 07 Dec 2009 03:51 AM PST Tasliyon Ke Sahare Kab Tak Jiunga, Majboor Banke Kab Tak Tadaphata Rahunga, Aasman Ki Or Dekhte Muddat Hue, Pyasi Fasalko Kab Tak Lahu Se Sinchunga. By Pramod Kumar Sharma  
|
No comments:
Post a Comment