Thursday, December 17, 2009

Shers.In

Shers.In


Lakh Dil Ko Samjhaaya Parr

Posted: 16 Dec 2009 05:00 AM PST

Lakh Dil Ko Samjhaaya Parr,
Zalim Zazbaat Maante Nahin.
Bardaasht Ki Hadd Hoti Hai,
Log Hamara Dard Samajhte Nahin.

By Pramod Kumar Sharma


Bahut Roye Tujhe Bida Karke

Posted: 16 Dec 2009 04:55 AM PST

Bahut Roye Tujhe Bida Karke,
Socha Ab Jee Ke Kya Karenge.
Teri Yaad Ne Marne Na Diya,
Jee Lenge Teri Tasveer Dekh Ke.

By Pramod Kumar Sharma


Ek Se Badh Ke Ek Behatreen Log Thhe

Posted: 16 Dec 2009 04:54 AM PST

Ek Se Badh Ke Ek Behatreen Log Thhe,
Par Tum Hi Mere Dil Ko Bhaye.
Bagiya Phoolon Se Sazi Thi Par,
Rat-Rani Ki Khushboo Bhula Na Paye.

By Pramod Kumar Sharma


Bekhof Muskurate Hain

Posted: 16 Dec 2009 04:51 AM PST

Bekhof Muskurate Hain,
Gulab, Kanton Ke Saye Mein.
Kuchh Aise Bhi Shuks Hain,
Jinhen Phoolon Se Shikayat Hai.

By Pramod Kumar Sharma


Woh Aaye Hamari Mehfil Mein

Posted: 16 Dec 2009 04:50 AM PST

Woh Aaye Hamari Mehfil Mein,
Khushiyon Ki Sogaat Le Ke,
Kudha Karr Ki Woh Har Mehfil Mein,
Aaye Ek Naya Pegaam Leke .

By Mehnaz Ansari


Tum Marham Leke Ab Aaye Ho

Posted: 16 Dec 2009 04:46 AM PST

Tum Marham Leke Ab Aaye Ho,
Jab Ham Dard Sahane Ke Aadi Ho Gaye.
Kapde Silwa Ke Tab Aaye Ho,
Jab Bina Sile Odhne Ke Din Aa Gaye.

By Pramod Kumar Sharma


Kal Raat Meri Aankh Se Ek Aansu Nikal Aaya

Posted: 16 Dec 2009 04:45 AM PST

Kal Raat Meri Aankh Se Ek Aansu Nikal Aaya,
Mene Uss Se Pucha Bahar Kyun Aaya,
To Usne Mujhe Bataya Ki,
Tumhari Aankhon Mein Koi Etna Hai Samaya,
Ki Chahakar Bhi Mein Apni Jagha Na Bana Paya.

By Naresh Pohiya


Jinki Yaad Mein Jaan Nikal Gayi

Posted: 16 Dec 2009 04:42 AM PST

Jinki Yaad Mein Jaan Nikal Gayi,
Ve Ab Milne Aaye Hain.
Aye Zindagi Jaraa Laut Ke Aa,
Dekh Kaun Apne Aaye Hain.

By Pramod Kumar Sharma


Main Udne Ki Khwaish Mein Yaha Aaya Hoon

Posted: 16 Dec 2009 04:40 AM PST

Main Udne Ki Khwaish Mein Yaha Aaya Hoon,
Maine Aasmano Ki Farmaish Pe Yaha Aaya Hoon.
Dur Chamakne Wala Chiraag Jise Tum Suraj Kehte Ho,
Main Usse Bujhane Ki Koshish Mein Yaha Aaya Hoon.

By Sirey


Jise Tum Mil Gaye Wo Kyon

Posted: 16 Dec 2009 04:37 AM PST

Jise Tum Mil Gaye Wo Kyon,
Dar-Dar Ki Thokrein Khayega.
Woh Harr Roz Eid Har Roz,
Diwali Jaisi Manaayegaa.

By Pramod Kumar Sharma


Chot Khaye Insaan Ka Kaleja

Posted: 16 Dec 2009 04:33 AM PST

Chot Khaye Insaan Ka Kaleja,
Bhi Bade Kaam Ka Hota Hai.
Khote Sikke Ki Tarah Laut Ne,
Ke Baad Bhi Kismat Aajmata Hai.

By Pramod Kumar Sharma


Shayri Karo To Aise Karo

Posted: 16 Dec 2009 04:31 AM PST

Shayri Karo To Aise Karo, Ki Mil Jaye Dilo Se Jakar,
Ashiqi Karo To Aise Karo, Ki Judh Jay Khuda Se Jakar,
Mausiki Karo To Aise Karo, Ghul Jay Rumaniat Mein Jakar,
Dosti Karo To Aise Karo, Kidost Lag Jay Galy Se Aakar

By Saima Khatoon


Khush-Amdeed Tumhare Nakhre

Posted: 16 Dec 2009 04:29 AM PST

Khush-Amdeed Tumhare Nakhre,
Aur Wahiyat Hamaari Zarooraten,
Kya Mukkaddar Paya Hai Tumne,
Aur Be-Rukhi Wa Be-Basi Hamne.

By Pramod Kumar Sharma


Iss Zamane Mein Wafa Ka Ehsaas Nahin Hai

Posted: 16 Dec 2009 04:27 AM PST

Iss Zamane Mein Wafa Ka Ehsaas Nahin Hai,
Jaam Un Ko Mile Hain Jine Pyaas Nahin Hai,
Main Khuddar Hun Ishare Talab Kar Nahin Sakta,
Aur Sakhi Samjh Ta Hai Ke Mujhe Pyaas Nahin Hai.

By Shani


Kabhi Waqt Laga Hamein Aap Tak Aane Mein

Posted: 16 Dec 2009 03:33 AM PST

Kabhi Waqt Laga Hamein Aap Tak Aane Mein,
Kabhi Friyad Ki Khuda Se Aapko Pane Mein,
Kabhi Dil Tod Kar Mat Jana Hamne To Umar,
Laga Di Aapka Pyaar Pane Mein.

By Uttam Kumar Agarawal


No comments:

Post a Comment