Thursday, November 19, 2009

Shers.In

Shers.In


Bahaaron Ki Chahat Mein

Posted: 18 Nov 2009 04:17 AM PST

Bahaaron Ki Chahat Mein,
Sookhe Ko Bhi Khushi-Khushi Saha Gaye.
Phoolon Ki Khoaahish Mein,
Kanton Se Bhi Guzar Gaye.

By Pramod Kumar Sharma


Zindagi Jeene Kaa Bhi

Posted: 18 Nov 2009 04:16 AM PST

Zindagi Jeene Kaa Bhi,
Ek Saleeka Hota Hai.
Ki Beech Keechad Ke Bhi,
Kamal Khila Hota Hai.

By Pramod Kumar Sharma


Ek Tasveer Hi To Mangi Thhi

Posted: 18 Nov 2009 04:14 AM PST

Ek Tasveer Hi To Mangi Thhi,
Koi Takdeer To Nahin.
Hamara Dil Bahal Jata,
Tumhen Koi Farak Padta Nahin.

By Pramod Kumar Sharma


Nafrat Se Aakhir Kisko Kyaa Milaa Hai

Posted: 18 Nov 2009 04:13 AM PST

Nafrat Se Aakhir Kisko Kyaa Milaa Hai.
Kisi Ko Aansoon Kisi Ko Kafan Milaa Hai.

By Pramod Kumar Sharma


Chhoone Bhar Se Hi Jo Jalaa De

Posted: 18 Nov 2009 04:08 AM PST

Chhoone Bhar Se Hi Jo Jalaa De,
Use Aag Kehate Hain.
Paate Hi Jo Khud Ko Bhulaa De,
Use Sharaab Kehate Hain.

Dekhte Hi Jo Hosh Uda De ,
Use Shabaab Kehate Hain.
Kisi Kaa Yaar Roothh Jaaye,
Use Bad-Naseeb Kehate Hain.

By Pramod Kumar Sharma


Rote Rahane Se Kyaa Haasil Hoga

Posted: 18 Nov 2009 04:06 AM PST

Rote Rahane Se Kyaa Haasil Hoga,
Bachchon Ke Aansoo Kaun Poochhenga.
Baadal Hi Saara Paani Pee Lenge,
To Dharti Walon Kaa Kyaa Hoga.

By Pramod Kumar Sharma


Ladkhadaye Kadam, Bhul Jaon Har Gam

Posted: 18 Nov 2009 04:03 AM PST

Ladkhadaye Kadam, Bhul Jaon Har Gam,
Hos Me Na Rahu, Pilana Na Mujko Kam,

Rota Hi Raheta Hu, Hose Mein Jab Raheta Hu,
Apno Ki Bheed Mein Ajnabi Lagata Hu,

Badi Muskilose Khada Rahe Pata Hu,
Tukde Tukde Na Ho Jaon Bas Yahi Gam….

Isqe Ne Ye Mera Haal Hi Kar Diya,
Jisse Bhi Mila Who Dekhke Dar Gaya,

Ye Dekho Ek Or Insan Hewan Ban Gaya,
Firbhi Na Bhula Saka Use Bas Yahi He Ranj.
Hose Me Na Rahu Pilana Mujko Kam…..

By Musafir


No comments:

Post a Comment