Wednesday, November 18, 2009

Shers.In

Shers.In


Kabhi Pass Aa Gaye

Posted: 17 Nov 2009 04:03 AM PST

Kabhi Pass Aa Gaye,
Kabhi Durr Ho Gaye,

Unhone Ek Baar Bhi Mudd Kar Na Dekha Hame,
Par Hum Unn Ke Liye Bewafa Zarur Ho Gaye,

Kya Galti Hui Hum Se Hum Puchte Rahe,
Aur Woh Kehte Rahe Hum Majboor Ho Gaye,

Hum Mangte Rahe Dua Unki Khushiyon Ki,
Wo Hume Chodh Kisi Aur Ki Aankhon Ke Noor Ho Gaye,

Wo Sochte Rahe Ke Khush Hain Hum,
Par Hum Toot Kar Andar Tak Chakna Choor Ho Gaye,

Mujhe Pyar Karne Ki Mili Itni Badi Saza,
Aur Wo Hume Maar Kar Bhi Bekasur Ho Gaye,

Aaj Bhi Kai Sawaal Hain Iss Dil Mein,
Pyar Ka Gam Bezubaan Hai Is Dil Mein,

Kuch Keh Nahi Paata Yeh Dil Magar,
Uss Bewafa Ke Liye Aaj Bhi Pyaar Hai Is Dil Mein!!


Rulaoge Hum Ko Tadpaoge Hum Ko

Posted: 17 Nov 2009 03:59 AM PST

Rulaoge Hum Ko Tadpaoge Hum Ko,
Rulaoge Hum Ko Tadpaoge Hum Ko,
Kya Hoga Tumhara,
Jab Gairon Ki Baahon Mein Paoge Hum Ko.


Neend Ne Bhi Teri Hi Adaa Paayi

Posted: 17 Nov 2009 03:58 AM PST

Neend Ne Bhi Teri Hi Adaa Paayi,
Bewafa Raat Bhar Na Aayi.


Zindagi Ko Jiyo

Posted: 17 Nov 2009 03:57 AM PST

Zindagi Ko Jiyo,
Kyun Maut Se Pehle Tum Marte Ho,
Bahut Kuchh Hai Duniya Main Mohabbat Ke Siva,
Kyun Kisi Bewafaa Ki Khatir Bemaut Tum Marte Ho.


Tere Dil Mein Pyaar Jaga Kar Rahenge

Posted: 17 Nov 2009 03:56 AM PST

Tere Dil Mein Pyaar Jaga Kar Rahenge,
Teri Berukhi Ko Muskaan Bana Kar Rahenge,

Chaho To Kar Lena Koshish Bhulane Ki,
Marenge To Bhi Tera Pyaar,

Haddein Mohabbat Ki Kar Paar,
Aaj Hum Badnaam Ho Ke Rahenge,

Jis Ka Naa Hai Koi Ilaaj,
Uss Rog Ke Shikar Ho Ke Rahenge,

Wo Bewafaa Thhe Jo Haste Haste,
Duri Ki Sazaa De Gaye,

Thhe Jo Kabhi Mehfilon Ke Chaand,
Bewafaa Ke Saath Se Aaj Bekaar Ho Gaye.


Orr Boondon Se Bana Sakta Tha Moti

Posted: 17 Nov 2009 03:55 AM PST

Orr Boondon Se Bana Sakta Tha Moti,
Agar Tu O Aansu Na Chod Deti.
Pathar Bhi Pigal Ne Wali Thi,
Agar Tu Mere Dil Ko Na Tod Deti.


Ishq Biktaa Hai

Posted: 17 Nov 2009 03:53 AM PST

Ishq Biktaa Hai Yeh Humein,Maaloom Naa Thhaa,
Par Unhe Dekh Kar,Yakeen Aane Laga Hai,
Chalak Raha Hai Sabr Ka Paimanaa,
Aankhon Se Pyaar Ka Nasha Jaane Laga Hai.


Dard Ke Hadd Ki Paribhashaa Jaan Saka Kaun

Posted: 17 Nov 2009 03:52 AM PST

Dard Ke Hadd Ki Paribhashaa Jaan Saka Kaun,
Jitna Dard Saha Kam Raha,Jitna Dard Kaha Kam Laga.
Ishart-E-Katra Hai Dariya Mein Fanaa Ho Jaanaa,
Dard Ka Hadd Se Guzarna Hai Dawa Ho Jaanaa.


Zehan Ne Aaj Phir Mere

Posted: 17 Nov 2009 03:51 AM PST

Zehan Ne Aaj Phir Mere,
Usski Jafaa Ka Parda Hata Diya,

Usski Yaadon Ki Sej Par,
Phir Dil Ne Mujh Ko Baithaa Diya,

Palkon Par Surkh Andhera Thhaa,
Jo Usski Bewafaai Ka Kabhi,

Meri Aankhon Ne Ashq-E-Lahoo Se,
Aaj Ussko Mitaa Diyaa.


Dil Ki Tanhai Mein

Posted: 17 Nov 2009 03:50 AM PST

Dil Ki Tanhai Mein,
Tufaan Hai Teri Yaadon Ka,
Inn Labbon Ki Khamoshi Pe,
Muskaan Hai Tere Vaadon Ki.

Zara Aa,Aake Dekh Kiss Tarah,
Main Jeeti Marti Hoon,
Kal Pyaar Tumhi Se Thha Mujhko,
Ab To Tere Khwaabon Se Bhi Darti Hoon.


Pet Ki Aag Dheere-Dheere

Posted: 17 Nov 2009 03:42 AM PST

Pet Ki Aag Dheere-Dheere,
Khud Hi Bhuj Jaaya Karti Hai.
Nafrat Ki Aag Apne Saath,
Dusre Kaa Ghar Bhi Jalaati Hai.

By Pramod Kumar Sharma


Kash ! Ye Chaand Sirf Mera Hota

Posted: 17 Nov 2009 03:41 AM PST

Kash ! Ye Chaand Sirf Mera Hota,
Mere Liye Hi Ugta, Mere Liye Hi Chhipta.
Duniya Ki Buri Nazron Se Bachaa Rahataa,
Na Usme Daag Hota Na Grahan Lagta.

By Pramod Kumar Sharma


Hawaaon Ke Eshaare Pe Baadal

Posted: 17 Nov 2009 03:36 AM PST

Hawaaon Ke Eshaare Pe Baadal
Bin Barse Hi Chal Diye.
Ve Bade Be-Murrabat Nikle,
Bin Mile Hi Chal Diye.

By Pramod Kumar Sharma


No comments:

Post a Comment