| Kiya Hai Pyar Aap Se Posted: 09 Nov 2009 09:56 PM PST Kiya Hai Pyar Aap Se, Chahe Duniya Ruth Jaye Hamse, Chalti Hai Hamari Sanse Tumse, Ruk Jayegi Dhadkan Durr Na Jana Hamse.  
|
| Hasrat Tumhe Paane Ki Posted: 09 Nov 2009 09:54 PM PST Hasrat Tumhe Paane Ki, Ik Hasrat Bann Kar Reh Gayi, Yaadein Tumhari Simat Kar, Tasveer Bann Kar Reh Gayi, Karte Thee Baatein Pyar Ki, Wo Baatein Yaad Bann Kar Reh Gayi, Milte Thee Jin Rahoon Pe, Wo Raahein Shamshaan Si Ho Gayi.  
|
| Jo Log Pyar Ko Gam Samajhte Hain Posted: 09 Nov 2009 09:53 PM PST Jo Log Pyar Ko Gam Samajhte Hain, Wo Pyaar Ko Kam Samajhate Hain, Dard Hota Hai Kitna Judai Mein, Wo Hum Samajhate Hain.  
|
| Dil Hai Ya Ik Khilona, Yeh Hamne Nahi Jana Posted: 09 Nov 2009 09:46 PM PST Dil Hai Ya Ik Khilona, Yeh Hamne Nahi Jana, Tu Khel Raha Jisse, Ab Toot Chuka Hai, Tu Khush To Bahut Hoga,Yeh Khel Tha Tera Ik, Aur Hum Bhi Jante The,Par Chup Hi Rahe The, Teri Hi Khushi Dekhi,Pana Na Kabhi Socha, Hum Haare Hai Ulfat Mein,Tu Jeet Gaya Hai…  
|
| Unki Galiyon Se Jab Guzre To Manzar Ajeeb Thha Posted: 09 Nov 2009 09:44 PM PST Unki Galiyon Se Jab Guzre To Manzar Ajeeb Thha, Dard Thha Magar Woh Dil Ke Kareeb Thha, Jise Hum Dhoondhte Thhe Apni Haathon Ki Lakeeron Mein, Woh Kisi Dusre Ki Kismat,Kisi Aur Ka Naseeb Thha.  
|
| Tamam Umar Bhatakte Rahe Gulistanon Mein Posted: 09 Nov 2009 09:42 PM PST Tamam Umar Bhatakte Rahe Gulistanon Mein, Kisi Ek Phool Mein Wafa Ki Mehek Na Mili, Hawas Ke Naam Par To Mooh Khul Gaye Khazanon Ke, Wafa Ke Naam Pe Maanga To Bheek Tak Nahin Mili.  
|
| Motiyon Mein Piroye Huye Sapno Ko Toot Te Dekha Posted: 09 Nov 2009 09:40 PM PST Motiyon Mein Piroye Huye Sapno Ko Toot Te Dekha, Maut Ko Bhi Maine Kafi Nazdeek Se Dekha, Apne Ko Aaj Maine Begana Hote Dekha, Mehboob Ko Bhi Pal Main Bewafa Bante Hue Dekha.  
|
| Kya Khubsoorat Zakhm Diya Banke Dost Humara Posted: 09 Nov 2009 09:34 PM PST Kya Khubsoorat Zakhm Diya Banke Dost Humara, Rahega Yaad Woh Bharam Diya Banke Dost Humara, Andaaz Dekhiye Zakhm-E-Dil Dene Ka Unka, Ilzaam Bhi Hum Pe Lagate Hain Banke Rahbar Humara, Karam Toh Dekhiye Mouz-E-Ghazal Dene Ka Unka, Na-Qaabil Dost Ho Tum Aaj Kaha Hai Banke Aftaab Hamara, Ilzaam Lagana Ka Hai Bada Hi Shurfiyaana Andaaz Unka, Tanhai Mein Hi Toh Lagaya Hai Ilzaam Banke Khairkhwaah Hamara, Vibha Ke Zakhm Par Namak Bhi Lagaya Hai Marham Ki Tarah, Ghusl-E-Kafan Bhi Diya Hai Janaab Ne Banke Dost Hamara  
|
| Pathar Hi Lagein Gay Tujhe Her Simt Se Aa Kar Posted: 09 Nov 2009 09:26 PM PST Pathar Hi Lagein Gay Tujhe Her Simt Se Aa Kar, Yeh Jhoot Ki Duniya Hai Yaha Sach Na Kaha Kar, Ab Rota Hai Tujh Se Kai Baar Kaha Tha, Haalat Ke Dhaiaray Ke Mukhalif Na Baha Kar. By Awais Alam  
|
| Kal Raat Ek Ajeeb Baat Ho Gayi Posted: 09 Nov 2009 09:21 PM PST Kal Raat Ek Ajeeb Baat Ho Gayi, Main Jagta Raha Kambakht Raat So Gayi. Mere Jagne Ka Sabab Thi Teri Yaad, Yaad Se Bhi Afjal Thi Teri Muskurahat Bhari Baat. By Wali Farooqui  
|
| Hum Ne Pyaar Jinse Kiya Posted: 09 Nov 2009 09:19 PM PST Hum Ne Pyaar Jinse Kiya, Unhone Nafrat Ke Kabil Bhi Na Samajhaa. Un Se To Aznabi Achchhe, Jinhone Kabhi Dard Diya Na Liyaa. By Pramod Kumar Sharma  
|
| Ghum Ki Ek Kaali Ghataa Posted: 09 Nov 2009 09:18 PM PST Ghum Ki Ek Kaali Ghataa, Khushiyon Ke Sooraj Pe Bhari Hoti Hai, Apnon Ki Ek Chot, Gairon Ke Har Sitam De Nyaari Hoti Hai. By Pramod Kumar Sharma  
|
| Doston Ki Dosti Barbadi Ke Posted: 09 Nov 2009 09:16 PM PST Doston Ki Dosti Barbadi Ke, Ess Kagaar Pe Le Aaye, Pataa Nahin Doston Ne Dosti, Ki Yaa Dushmani Nibhai. By Pramod Kumar Sharma  
|
| Hamara Pasina Watan Ki Poonji Banaakar Posted: 09 Nov 2009 09:14 PM PST Hamara Pasina Watan Ki Poonji Banaakar, Ve Apna Khoon Bahaa Gaye. Hum Ne Zarurat Ki Har Chiz Banaai, Un Jaisa Koi Bana Na Paye. By Pramod Kumar Sharma  
|
| Uski Yaadon Mein Kho Kar Posted: 09 Nov 2009 09:14 PM PST Uski Yaadon Mein Kho Kar, Hum Khud Ko Bhulaaye Chale Thhe, Uski Khushi Dekhne Ke Liye, Apna Har Gham Chhupaye Chale Thhe, Na Samjhe Woh Dil-E-Nadaan Ko, Jo Unki Hansi Ke Liye Apne Aansu Bahaaye Chale Thhe, Waqt Ne Kaisa Dhoka Diya Mujhe, Jinko Apna Samjha, Woh Gair Ko Apna Banaye Chale Thhe, Hum Toh Mar Mitte Unki Adaaon Pe Iss Tarah Se Ke, Phoolon Ki Tarah Kaante Raahon Mein Bichhaye Chale Thhe, Hum Na Samjhe Dastur Iss Zamane Ka, Jo Dhoke Pe Dhoka Khaaye Chale Thhe.  
|
| Sher Shayari Karne Main Toh Bada Maja Aata Hai Posted: 09 Nov 2009 09:09 PM PST “Sher Shayari Karne Main Toh Bada Maja Aata Hai” “Sher Shayari Karne Main Toh Bada Maja Aata Hai” “Jab Asli Ka Sher Saamne Aata Hai, To Saam Ne Ki Gili Aur Piche Ki Pili Ho Jati Hai” By Bosco Khan  
|
No comments:
Post a Comment